janab-e-mann "Haider sahib"jis andaaz se aap ne iss kalaam ki pezari ki hai isske liye "shayer" shukriya kehdein to haqq pura ada nahi hoga,aapka andaz-e-daad bahot umda hai. mera jahaan tak khayal hai aap fann-e-shayeri se waqif hote hoe bhi riyaz sahib se baher ke wazan ki jo maang kar rahe hain siwae tanqeed ke pehlo ke kuch nahi,aap itne "kam ilm aur nadaan nahi ke aap ko riyaz sahib ka kalaam padhne ke baad baher ki qism ka ilm na howa hoga,,hosakta hai aap qabiliyat ke aitebaar se ek muqaam rakhte honge lekin andaz-e-daad se yeh zahir hogaya ke aap khud ko sirf khud ko "fann-e-shayeri ke "bahut mahir samajhte hain,yeh ananiyat,yeh tassavurr,yeh apne ilm pe nazaa'n hona siwae ek himaqat ke kuch nahi,kuch riwaeti baatein karlene se ya phir laghwai alfaaz ko istemaal karlene se fann-e- shayeri ke ustaad nahi banjaate,aap ki posts ko padh chuka hoon mein,ek naya unwaan de ke apni baat pe ardhe rehna tumhari ananiyat ki daleel hai,har jagah "mera khayal sub se juda hai likhna,"kya hai yeh janaab?..mei yeh kehta hoon khayal alag nahi aap ka khayal galat hai".kuch likhana zabardasti apne jazbaat ko qubool karwana wah janab...apni fikr aur andaaz ko badaliye..yoindia pe ek raat baith kar likhna ,aur yeh soch kar likhana har koi pasand karega bahot daad milegi ,,kya hai yeh? tum shuru se abtak ek muamma ho..ajeeb zahen saazi hoi hai aap ki ,badal lo iss main koi faiyeda nahi hai...apni khudnumai karna ..kya hai yeh?har post main siwaae khud ko badha chardhane ke dosra kaam aap ne kiya hi nahi..riyaz sahib aap ko waqt mile to haider sahib ka jawaab dein.
Mere a'zeez dost aur Yoindia ke mehmaan, tasleemaat.
buzurg Aap mer baare meN jo khayaalaat rakhte haiN, wo kaafi hadd tak haqeeqat aur waaqieyyat ke khilaaf haiN.
Jo talkh aur shadeed lehja aap ne mere liye ikhtiyaar kiya hai us se aap ke mizaaj ka hi nahiN balke aap ki zehniyyat ka bhi andaaza ho raha hai. Aap mere baare meN jo khayaalaat rakhte haiN wo o'mooman be buniyaad hi nahiN, balke sara sar ilzaamaat haiN.
Kya aap ne kahiN ye nahiN dekha ke maiN ne kisi ko daad bhi di ho.
Khair jaise zehn ka insaan hota hai use nazar bhi waisa hi aata hai. Aik ahm baat apne baare meN ye bata doN ke maiN shohrat pasand insaan nahiN hoN, Haq pasand hoN. Aap ne mujhe kya 2 nahiN kaha woh bhi soch leN aur kaheN....maiN aap ki insaaniyyat aur insaaf pasandi ki daad deta hoN.
Riaz bhai mere a'zeez dost haiN, mujhe un se kis liye hasad hoga?
Kya kisi par tanqeed kar dene ka matlab ye akhz kiya jata hai jo aap ne kiya hai. Aik shayer doosre shayer ke liye kya hota hai, ye aap kya samjhenge. chaliye aap ke liye maiN aik mua'mma hi sahi, kuchh to samjhe aap is naa cheez ko.
akheeran maiN itna hi kehna munaasib samjhoNga ke shayer hone ki haisiyyat se jo mera farz banta tha wo maiN ne anjaam diya. Aap ke khayaalaat meN tabdeeli lana mera farz nahiN hai, ye aap ka kaam hai. Aur jo haqq hai wo Riaz bhai khud tasleem karNge
Unke behtar jawaab ka mujhe bhi intizaar hai.
Meri E-mail ID ye hai aap ko jo bhi mujh se shikaayat ho tafseel se message kar dena.
"
haider_your_friend@yahoo.com"
yahaN par mazeed zaati taveel baateN munaasib nahiN haiN.