***gaya waqt laut kar nahi aata***

by kaushikbhawna008 on July 25, 2008, 10:47:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3251 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
ye pal thahar kyu nahi jaata
kyu gaya waqt laut kar nahi aata
 
kitne khush the ham kabhi saath unke
kyu khushi ka wo pal laut nahi aata
 
wo sard mausam mei nange paao se chalna
kyu baarish ka mausam fir saath bhigo kyu nahi jaata
 
hai nikalti to dhoop ab bhi hai har roz
fir gam ka ye mausam dhal kyu nahi jaata
 
na hoti thi kabhi koi dua hothon pe to kabhi
fir aaj uske bin dil ye behal kyu nahi jaata
 
sochti hai BHAWNA yu to dunia chalti hi jaayegi
fir mera hi waqt kuch sambhal kyu nahi jaata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt k saghar mai dub gaya hoo by FArah in Shayri-E-Dard
waqt k saghar mai dub gaya hoo by FArah in Shayri-E-Dard
e waqt tu laut chal kuch piche by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
NAHI AATA by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Laut gaya hai wo Deewana... .. . //annu// by annu_genis in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: July 28, 2008, 06:12:23 AM »
Reply with quote
gujre palo ki chand yaadein
pal pal yu tadpati hai hamein
nahi laut kar kabhi beeta pal hai aata
bas aakar yahi batlaati hai hamein
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #2 on: December 20, 2008, 06:52:45 PM »
Reply with quote
bahoot khoob kahaa bhawna ji aapne.

"Kuch lamhe kuch ehsaas mitaye nahi jate,
Kuch meethe-meethe pal bhulaye nahi jate,
kuch nazre khud hi keh jati hai,
Kuch alfaaz sunaye nahi jate".
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2008, 06:18:14 AM »
Reply with quote
bahoot khoob kahaa bhawna ji aapne.

"Kuch lamhe kuch ehsaas mitaye nahi jate,
Kuch meethe-meethe pal bhulaye nahi jate,
kuch nazre khud hi keh jati hai,
Kuch alfaaz sunaye nahi jate".

shukriya satya ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2008, 06:27:17 AM »
Reply with quote
ye pal thahar kyu nahi jaata
kyu gaya waqt laut kar nahi aata
 
kitne khush the ham kabhi saath unke
kyu khushi ka wo pal laut nahi aata
 
wo sard mausam mei nange paao se chalna
kyu baarish ka mausam fir saath bhigo kyu nahi jaata
 
hai nikalti to dhoop ab bhi hai har roz
fir gam ka ye mausam dhal kyu nahi jaata
 
na hoti thi kabhi koi dua hothon pe to kabhi
fir aaj uske bin dil ye behal kyu nahi jaata
 
sochti hai BHAWNA yu to dunia chalti hi jaayegi
fir mera hi waqt kuch sambhal kyu nahi jaata


wah kya baat kahi hai Bhavna

BITA WAQT GAR LAUT AAYEGA
YEH DIL HAR PAL UNHI KOH PAYEGA
JINDAGI KA MAJA DUGNA HO JAYEGA
AAKOH KA SAPNA, SACH HO JAYEGA


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2008, 06:30:32 AM »
Reply with quote
gujre palo ki chand yaadein
pal pal yu tadpati hai hamein
nahi laut kar kabhi beeta pal hai aata
bas aakar yahi batlaati hai hamein



bahut badiya Bhavna


BITEY WAQT GAR LAUT AATEY
FIR TANHAYI MEH HUM KAHA AATEY
HAR PAL UNHEY SAATH BITHATEY
YEH AAKHEY ROH ROH NA THAK JATEY


JASBIR SINGH


gujre palo ki chand yaadein
pal pal yu tadpati hai hamein
nahi laut kar kabhi beeta pal hai aata
bas aakar yahi batlaati hai hamein



bahut badiya Bhavna


BITEY WAQT GAR LAUT AATEY
FIR TANHAYI MEH HUM KAHA AATEY
HAR PAL UNHEY SAATH BITHATEY
YEH AAKHEY ROH ROH NA THAK JATEY


JASBIR SINGH


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: December 22, 2008, 06:34:43 AM »
Reply with quote
bahoot khoob kahaa bhawna ji aapne.

"Kuch lamhe kuch ehsaas mitaye nahi jate,
Kuch meethe-meethe pal bhulaye nahi jate,
kuch nazre khud hi keh jati hai,
Kuch alfaaz sunaye nahi jate".

wah wah wah bahut badiya Satya


AISEY SUNHERE PAL KOH NA MITANA
WOH PYAR BHAREY LAMHEY NA MITANA
INHI YAADOH SEY JEETEY HAI HUM
PYAR KI YEH SAUGAAT NA MITANA


JASBIR SINGH


Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: December 22, 2008, 07:24:21 AM »
Reply with quote
bohut bohut shukriya jasbir ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: December 22, 2008, 07:26:39 AM »
Reply with quote
bohut bohut shukriya jasbir ji

Thanks Bhavna


Jasbir Singh
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: December 28, 2008, 12:46:14 PM »
Reply with quote
ye pal thahar kyu nahi jaata
kyu gaya waqt laut kar nahi aata
 
kitne khush the ham kabhi saath unke
kyu khushi ka wo pal laut nahi aata
 
wo sard mausam mei nange paao se chalna
kyu baarish ka mausam fir saath bhigo kyu nahi jaata
 
hai nikalti to dhoop ab bhi hai har roz
fir gam ka ye mausam dhal kyu nahi jaata
 
na hoti thi kabhi koi dua hothon pe to kabhi
fir aaj uske bin dil ye behal kyu nahi jaata
 
sochti hai BHAWNA yu to dunia chalti hi jaayegi
fir mera hi waqt kuch sambhal kyu nahi jaata


BHAWNA.. Yaadon Ko.. Dard Ko.. Aur Mohabbat Ko behad Khubsoorati se Pesh Kiya Hai Aapne..!! Aur apni Zindgi se aapne Jo Sawalaat Kiye Hain.. Waqai Dil Ko Chhoo Gaye..!! Bahut Bahut Khooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: December 29, 2008, 05:38:31 AM »
Reply with quote
ji shukriya mann ji

mann ji is kavita ko mein jab jab bhi padhti hoon sach khud bohut hi udaas ho jaati hoon......ye sawaal baar baar mere mann ko jhanjhol dete hain......k kyu aisa hota hai .....kyu kisi ko itna dard aur itni tanhaai milti hai...?

thnx mann ji jo aapne mere likhe ko saraha aur samjha bhi notworthy
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2009, 08:31:15 AM »
Reply with quote
Nice one Bhawna Ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #12 on: March 02, 2011, 09:14:18 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob likha Bhavna ji ek ek labz dil ko chhu gaya  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nitin parmar
Guest
«Reply #13 on: April 04, 2011, 06:16:01 PM »
Reply with quote
wah. aapne purani yade taza kardi .. bhawna ,, thanx .. us pal ko yad dilane ke liye  Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #14 on: April 04, 2011, 07:57:27 PM »
Reply with quote
Bahut umda bhawanaji..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:14:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer