**Ghareeb ki zindagi**

by dead heart on June 19, 2009, 10:05:41 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4338 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Doston...ek ghareeb ki dastaan ya dard sunana chahta hoon...Iss rachna main ek ghareeb baap ki awaaz bhi dalne ki koshish ki hai maine...Main ko pata nahin ke main kahan tak kamyab ho paya hoon...Iss poem ki kabilyat se zada jazbaaton ko dhyan main rakhiyega padte waqt..Main isse complete nahin kar paya kyun ki ro pada likte likte...Toh jo koi bhi chahe isse complete kar sakta hai...

Ek aur personal request aur sandesh dena chahunga unn logon ke liye jinke maa baap itne amir nahin hai...Please please apne maa baap ko paison ki nakamyabi par tokiyega mat...galti se bhi nahin aur gusse main bhi nahin...aap toh keh jaenge par unn par kya bitegi yeh soch bhi nahin sakte aap...Main yahan yoindia par kayi logon se chota hoon toh yeh mat samajiyega ke Rahim bada ban ne ki koshish kar raha hai..main toh bas ek sandesh ponchana chah raha hoon...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai,
Kabhi iske haath toh kabhi uske haath main jhulti hai,
Thokre khata rehta hoon do waqt ki roti ke liye,

Paison ki khoj main har hadd se guzar jata hoon,
Khud bhale roun par apne parivar ko hasata hoon,
Bas kuch yehi alam rehgaya hai meri zindagi ka doston,

Jab kabhi bhi mere bachon ke rote chehre nazar ate hai,
Sach kahoon toh hum bhi andar hi andar toot jate hai,
Kisse acha lagta hai pyaare masoom bachon ko udaas dekhna,

Jab kabhi bhi apne bachon ke liye saste khilone lata hoon,
Unka bigda hua chehra dekh ke bas roo padta hoon,
Kaise bataun main unhe apni majburian doston,

                    ***Rahim***
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
soorat ghareeb see by ekshayar81 in Shayri for Khumar -e- Ishq
**Kya zindagi hai ghareeb ki** by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
hum ghareeb kahaan! by mazHur in Ghazals
~*~ Ghareeb hogaye ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Dil toe ameer hota he laikin ghareeb ka.. by mazHur in Ghazals
k.shael
Guest
«Reply #1 on: June 20, 2009, 07:42:04 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bahut Bhadiya, daad dene ki chah hai!!  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley garib ke baare me soch kar khud ki halat nazar andaaj nahi kar paati mein..kuch likhne ki gustakhi kar rahi ho,

Aaj phir se jhagda hua maa-bouji ke beech me,
Aaj phir se kisi ne subah se ann ka ek dana na khaya,

Bhookh to bardasht karte lekin jhagdo ne rulaya,
Aaj ek jidd, ek jarurat ne phir se sabko bhookhe pet sulaya,

Kyun ye garibi sirf mukaddar me mere hai khuda,
Kya banate waqt taqdeer meri tujhe taras na aaya,

Har cheez ki chah thi,lekin khud ko samjhaya,
Sirf ek cheez nahi, kayii baar khud ke mann ko tarsaya,

Tamam dukh jhele, ro li aankhein bhi bahut baar,
Jaane kyun aab talak ye garibi ka manhoos saya na hatt paya.

Shally.

Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 20, 2009, 10:04:01 AM »
Reply with quote
Shukriya Shally jee padne ke liye...Aapne bhi bahaut bahaut bahaut acha likha hai... Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2009, 12:20:46 PM »
Reply with quote
Kya kahu aapse Rahim ji.....bahut sacha aaina dikhaya h aapne....bahut acha sandesh diya h hum sabko..... Applause Applause Applause

ek baat baar baar dil me aa rahi h...mata-pita
chahe khud kitni bhi garibi me jee le apne bache ko kabhi us garibi ka aehsaas nahi hone dete...wo khud apne shauk pure na kare lekin apne bache ka har shauk pura karte h.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #4 on: June 20, 2009, 12:23:02 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bahut Bhadiya, daad dene ki chah hai!!  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley garib ke baare me soch kar khud ki halat nazar andaaj nahi kar paati mein..kuch likhne ki gustakhi kar rahi ho,

Aaj phir se jhagda hua maa-bouji ke beech me,
Aaj phir se kisi ne subah se ann ka ek dana na khaya,

Bhookh to bardasht karte lekin jhagdo ne rulaya,
Aaj ek jidd, ek jarurat ne phir se sabko bhookhe pet sulaya,

Kyun ye garibi sirf mukaddar me mere hai khuda,
Kya banate waqt taqdeer meri tujhe taras na aaya,

Har cheez ki chah thi,lekin khud ko samjhaya,
Sirf ek cheez nahi, kayii baar khud ke mann ko tarsaya,

Tamam dukh jhele, ro li aankhein bhi bahut baar,
Jaane kyun aab talak ye garibi ka manhoos saya na hatt paya.

Shally.

bahut ache shally ji....khoob darshaya h aapne garib insaan ka dard
 Applause Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: June 20, 2009, 12:24:38 PM »
Reply with quote
Shukriya Shally jee padne ke liye...Aapne bhi bahaut bahaut bahaut acha likha hai... Applause Applause Applause Applause

Shukriya Raheem Ji..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: June 20, 2009, 12:25:31 PM »
Reply with quote
bahut ache shally ji....khoob darshaya h aapne garib insaan ka dard
 Applause Applause Applause

Shukriya Pooja ji, ye garib insaan jiska dard likha hai wo shayad mein hi hoon..
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: June 20, 2009, 12:32:49 PM »
Reply with quote
Shukriya Pooja ji, ye garib insaan jiska dard likha hai wo shayad mein hi hoon..
aise mat kahiye dear shally ji...aapke paas to hum sab k pyar ka khjana h....jo hmesha aapke pass rhega
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 20, 2009, 12:56:00 PM »
Reply with quote
Shukriya Pooja jee..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: June 20, 2009, 01:00:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Pooja ji, ye garib insaan jiska dard likha hai wo shayad mein hi hoon..
Bas yehi kehna chahunga..

Uske lagta hai ke woh paise kama kar amir bangaya hai,
Mujhe lagta hai usne dosti todkar ghareebi hasil karli...

Shally jee doston ke hote hue koi insaan ghareeb nahin toda...Paisa aaj hai kal nahin hoga par dosti paki ho toh woh janmon tak rahegi...Jab tak hum hai aap apne aap ko ghareeb mat samajiye...Arey apke pas dil ko doulat hai,kalam ki takkat hai..Bas iske sahare bhale yahan ghareeb ho par Khuda ke darbaar main amir kehlaoge...God bless you!!!
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: June 20, 2009, 01:07:00 PM »
Reply with quote
Doston...ek ghareeb ki dastaan ya dard sunana chahta hoon...Iss rachna main ek ghareeb baap ki awaaz bhi dalne ki koshish ki hai maine...Main ko pata nahin ke main kahan tak kamyab ho paya hoon...Iss poem ki kabilyat se zada jazbaaton ko dhyan main rakhiyega padte waqt..Main isse complete nahin kar paya kyun ki ro pada likte likte...Toh jo koi bhi chahe isse complete kar sakta hai...

Ek aur personal request aur sandesh dena chahunga unn logon ke liye jinke maa baap itne amir nahin hai...Please please apne maa baap ko paison ki nakamyabi par tokiyega mat...galti se bhi nahin aur gusse main bhi nahin...aap toh keh jaenge par unn par kya bitegi yeh soch bhi nahin sakte aap...Main yahan yoindia par kayi logon se chota hoon toh yeh mat samajiyega ke Rahim bada ban ne ki koshish kar raha hai..main toh bas ek sandesh ponchana chah raha hoon...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai,
Kabhi iske haath toh kabhi uske haath main jhulti hai,
Thokre khata rehta hoon do waqt ki roti ke liye,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Paison ki khoj main har hadd se guzar jata hoon,
Khud bhale roun par apne parivar ko hasata hoon,
Bas kuch yehi alam rehgaya hai meri zindagi ka doston,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Jab kabhi bhi mere bachon ke rote chehre nazar ate hai,
Sach kahoon toh hum bhi andar hi andar toot jate hai,
Kisse acha lagta hai pyaare masoom bachon ko udaas dekhna,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Jab kabhi bhi apne bachon ke liye saste khilone lata hoon,
Unka bigda hua chehra dekh ke bas roo padta hoon,
Kaise bataun main unhe apni majburian doston,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...
                    ***Rahim***

maaf kijiye Rahim Bhai
mere paas lafz hi nahin hai aapke is kalaam ke liye
kuch aisa likha hai jise padhkar i am just speechless
i am sorry....
lekin itna kehna chahungi ki yeh ek aisi haqeeqat hai jis se sabhi ko rubaru karaya hai aapne  bahut bahut shukriya...
bahut khoob....
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2009, 01:08:21 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bahut Bhadiya, daad dene ki chah hai!!  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley garib ke baare me soch kar khud ki halat nazar andaaj nahi kar paati mein..kuch likhne ki gustakhi kar rahi ho,

Aaj phir se jhagda hua maa-bouji ke beech me,
Aaj phir se kisi ne subah se ann ka ek dana na khaya,

Bhookh to bardasht karte lekin jhagdo ne rulaya,
Aaj ek jidd, ek jarurat ne phir se sabko bhookhe pet sulaya,

Kyun ye garibi sirf mukaddar me mere hai khuda,
Kya banate waqt taqdeer meri tujhe taras na aaya,

Har cheez ki chah thi,lekin khud ko samjhaya,
Sirf ek cheez nahi, kayii baar khud ke mann ko tarsaya,

Tamam dukh jhele, ro li aankhein bhi bahut baar,
Jaane kyun aab talak ye garibi ka manhoos saya na hatt paya.

Shally.

too good Shally dear
aapne bhi bahut khoob likha hai
Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: June 20, 2009, 01:24:25 PM »
Reply with quote
maaf kijiye Rahim Bhai
mere paas lafz hi nahin hai aapke is kalaam ke liye
kuch aisa likha hai jise padhkar i am just speechless
i am sorry....
lekin itna kehna chahungi ki yeh ek aisi haqeeqat hai jis se sabhi ko rubaru karaya hai aapne  bahut bahut shukriya...
bahut khoob....
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahaut bahaut shukriya!!Arey di maafi kis baat ki yaar...Apne pada aur tariff ki yehi bahaut hai Rahim ke liye..Aur kehte hai na "lavzon se zada sandesh khamoshi deti hai"...Thanks a lot for reading and commenting..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: June 21, 2009, 07:17:33 AM »
Reply with quote
Doston...ek ghareeb ki dastaan ya dard sunana chahta hoon...Iss rachna main ek ghareeb baap ki awaaz bhi dalne ki koshish ki hai maine...Main ko pata nahin ke main kahan tak kamyab ho paya hoon...Iss poem ki kabilyat se zada jazbaaton ko dhyan main rakhiyega padte waqt..Main isse complete nahin kar paya kyun ki ro pada likte likte...Toh jo koi bhi chahe isse complete kar sakta hai...

Ek aur personal request aur sandesh dena chahunga unn logon ke liye jinke maa baap itne amir nahin hai...Please please apne maa baap ko paison ki nakamyabi par tokiyega mat...galti se bhi nahin aur gusse main bhi nahin...aap toh keh jaenge par unn par kya bitegi yeh soch bhi nahin sakte aap...Main yahan yoindia par kayi logon se chota hoon toh yeh mat samajiyega ke Rahim bada ban ne ki koshish kar raha hai..main toh bas ek sandesh ponchana chah raha hoon...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai,
Kabhi iske haath toh kabhi uske haath main jhulti hai,
Thokre khata rehta hoon do waqt ki roti ke liye,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Paison ki khoj main har hadd se guzar jata hoon,
Khud bhale roun par apne parivar ko hasata hoon,
Bas kuch yehi alam rehgaya hai meri zindagi ka doston,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Jab kabhi bhi mere bachon ke rote chehre nazar ate hai,
Sach kahoon toh hum bhi andar hi andar toot jate hai,
Kisse acha lagta hai pyaare masoom bachon ko udaas dekhna,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...

Jab kabhi bhi apne bachon ke liye saste khilone lata hoon,
Unka bigda hua chehra dekh ke bas roo padta hoon,
Kaise bataun main unhe apni majburian doston,
Mujh jaise ghareeb ki zindagi bhi ajeeb hoti hai...
                    ***Rahim***

Rahim Bhaiiiiiiiii..... Kya Kahun aapke Is Qalaam Ke Liye Dost.. Lafz nahi mil rahe hain mujhe Iski Taareef ke Liye.. Har Lafz ek Succhaai kaha raha hai.. aur Jumla ek Sandesh hai aaj ke insaan ke liye.. Lajawab Likha hai Dost..  Applause Applause Applause

LAJAWAB, BEHTREEN, KHUBSOORAT...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: June 21, 2009, 07:19:51 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bahut Bhadiya, daad dene ki chah hai!!  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley garib ke baare me soch kar khud ki halat nazar andaaj nahi kar paati mein..kuch likhne ki gustakhi kar rahi ho,

Aaj phir se jhagda hua maa-bouji ke beech me,
Aaj phir se kisi ne subah se ann ka ek dana na khaya,

Bhookh to bardasht karte lekin jhagdo ne rulaya,
Aaj ek jidd, ek jarurat ne phir se sabko bhookhe pet sulaya,

Kyun ye garibi sirf mukaddar me mere hai khuda,
Kya banate waqt taqdeer meri tujhe taras na aaya,

Har cheez ki chah thi,lekin khud ko samjhaya,
Sirf ek cheez nahi, kayii baar khud ke mann ko tarsaya,

Tamam dukh jhele, ro li aankhein bhi bahut baar,
Jaane kyun aab talak ye garibi ka manhoos saya na hatt paya.

Shally.

Shallyyyyyyyyy dear.. Lajawab Likha hai Dear.. Sucche aur Asardaar Lafz Likhe hain.. jo Sidha Dil Tak Utar gaye.. Har lafz Ek apni Kahani kaha raha hai.. Bahut Bahut Khoooooooooob.. Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:12:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer