Ghayel hai mera naam.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on July 24, 2011, 02:35:34 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1847 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Iqbal Ashaar bhai ki ek khoobsurat Nazm hai.......Urdu hai mera naam main khusro ki paheli......bas usi zameen par kuch apne baare me kehne ki koshish ki hai.

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Jo sabko samajh aaye wahi sher sunaye
Khamosh ghazal meri bohat shor machaye
Hai mujhko yaqee.N mere liye bhi hai duaye
Allah ka diya sab hai magar hath hai khaali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Yeh sach hai kabhi chehra nahi maine dikhaya
Surat me magar meri mujhe tu nazar aaya
Lagta hi nahi koi bhi ab mujhko paraya
Ek khwaab mai kisi ka hu pehchaan khayaali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Be_baat ki tohmat na kabhi mujh pe lagana
Behtar na zamane se mai aala na zamana
Mil jaye kahi mujhsa koi mujhko batana
Makhlookh nahi dooji koi mujhsi bawali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Rahat* ki tarah humne bhi chehre hai banaye
Sanjeeda bhi Rana* ki tarah hum nazar aaye
Kya baat magar humko koi q na bulaye
Tumne hai suna tumhi zara do baja taali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Sajid Ghayel

------------------------------​--------------------

* Rahat Indori and Munawwar Rana
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Jal gaya nasheman mera.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Mit gaya naam mera naam se pehle pehle....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: July 25, 2011, 05:24:15 AM »
Reply with quote
Iqbal Ashaar bhai ki ek khoobsurat Nazm hai.......Urdu hai mera naam main khusro ki paheli......bas usi zameen par kuch apne baare me kehne ki koshish ki hai.

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Jo sabko samajh aaye wahi sher sunaye
Khamosh ghazal meri bohat shor machaye
Hai mujhko yaqee.N mere liye bhi hai duaye
Allah ka diya sab hai magar hath hai khaali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Yeh sach hai kabhi chehra nahi maine dikhaya
Surat me magar meri mujhe tu nazar aaya
Lagta hi nahi koi bhi ab mujhko paraya
Ek khwaab mai kisi ka hu pehchaan khayaali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Be_baat ki tohmat na kabhi mujh pe lagana
Behtar na zamane se mai aala na zamana
Mil jaye kahi mujhsa koi mujhko batana
Makhlookh nahi dooji koi mujhsi bawali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Rahat* ki tarah humne bhi chehre hai banaye
Sanjeeda bhi Rana* ki tarah hum nazar aaye
Kya baat magar humko koi q na bulaye
Tumne hai suna tumhi zara do baja taali

Ghayel hai mera naam meri baat nirali
Main thoda sharifo sa lagu thoda mawali

Sajid Ghayel

------------------------------​------------------



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kya taa'rruff karaya  hai apna, janaab khoob. Applause Applause Applause Applause Applause

janaab munawwar rana aur rahat indori dono mere pasandida shayron mein se hain.


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: July 25, 2011, 05:53:30 AM »
Reply with quote
Ghayal Sahaab Aadaab!

Janab waah kia kahne aapke... kafi achchi nazm kahi hai..
Aur behad khoob khayaal bayaaN kiye hai... Usual Smile

Humari daad O mubarakbad kabul kijiye...
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile Aate rahiye...

Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: July 25, 2011, 04:48:31 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob ghaayal saaheb!
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2011, 01:31:57 PM »
Reply with quote
bahut behtreen
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #5 on: July 31, 2011, 09:04:49 PM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kya taa'rruff karaya  hai apna, janaab khoob. Applause Applause Applause Applause Applause

janaab munawwar rana aur rahat indori dono mere pasandida shayron mein se hain.




Thanks for ur time and comment Adil saheb.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:07:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer