Mujhko andaaz adaawat ka sikhaya toone,
mujhko chaahat ka junooni bhi banaya toone.
mujhko halaat Ki sazish Ki khabar ho na saki,
main to nadan Thi chalaak banaya toone.
main to har mor pe sabse fatahyaab huii,
mujhko meri hi muhabbat se haraya toone.
zindagi aaj talak mujhse khafa baithi hai,
mujhko meri hi nigahon Mein giraya toone.
meri aankhon Mein tamanna ke diye jalte the,
ashq Ki shabnami jhalar se sajaya toone.
main to ghairon se bhi apnon Ki tarah milti Thi,
mere ehsaas Ki narmi Ki ganwaya toone.
'sana' purjosh Thi har raah Mein har mushkil Mein,
meri ummeed Ki nagri ko dhahaya toone
Mohtarma sana Afroz Sahiba! salam
buhat achi peshkash hay... hamari apni nazar main zameen kafi mushkil thi, aap ne khoob nibhaai... mushkil is liyay.. k .. her sher or her misra "main, mujhko, meri" waghera ka mutaqaazi tha.. her sher khoob hay or mazaameen bhe achay aur aalaa hen..
hasb-e-ravaayat, hamaray kuch mashwaray hen.. shayad koi kaam aa jayay.. aur ager na bhi kaam aa sakay tu, koi nuqsaan tu nahi den gay...
....................
main to har mor pe sabse fatahyaab huii,
is misra men wazan ka chhota sa masla hay.. aisay bhi ker saktay hen..
main to har mor pe sab he se fatahyaab huii,
ya phir
main to har mor pe sabse he fatahyaab huii,
....................
meri aankhon Mein tamanna ke diye jalte the,
ashq Ki shabnami jhalar se sajaya toone.
is sher ka doosra misra wazan men theek hay albata .. ek mashwara hay..doosra misra esay bhi ho sakta hay..
"timtimaatay huay taaron se sajaya toone"
....................
ghazal k aakhri misray, ka wazan mukhtalif hay, lekin is ki ijazat hay... so ager koi aetraz keray k misra wazan main nahi.. tu usay hum se milvaiyay...
Ghazal per ek bar phir bharpoor daad..
dua-go