GHAZAL.........(Riyaz Ashna)

by riyaz106 on April 06, 2010, 07:26:53 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2738 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
GHAZAL

Ab saath har qadam pe hamare khushi chale
Hasrat hai yun hi teri meri dosti chale
Sahra hai, dhoop sakht hai, saaya nahi koi
Jis jis mein hausla ho safar ko wahi chale
Jung-o-fasaad, hirs-o-hawas mit hi jayenge

Hai shart nek rah pe har aadmi chale
Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                       Hashr=Qayaamt
Rishta chale wahan na koi dosti chale
Kuchh khauf zulmaton ka nahi "Ashna", agar             Zulmat=Andhera
Ilm-o-hunar ki saath tere raushni chale

Riyaz "Ashna"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SHEHRAY WAFA MAI ANKHEN ASHNA KO... by N.R.MALIK in Shayri-E-Dard
Ghazal---(Riyaz) by riyaz106 in Ghazals
My Shers...(Riyaz) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri
****26/11...KA DARD*****(Riyaz) by riyaz106 in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
MERE MEHBOOB...(Riyaz) by riyaz106 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2010, 07:37:00 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Riyaz Ji
Logged
S.hashmi
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2010, 07:39:33 AM »
Reply with quote
GHAZAL

Ab saath har qadam pe hamare khushi chale
Hasrat hai yun hi teri meri dosti chale
Sahra hai,dhoop sakht hai, saaya nahi koi
Jis jis mein hausla ho safar ko wahi chale
Jung-o-fasaad,hirs-o-hawas mit hi jayenge

Hai shart nek rah pe har aadmi chale
Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                  Hashr=Qayaamt
Rishta chale wahan na koi dosti chale
Kuchh khauf zulmaton ka nahi "Ashna", agar             zulmat=Andhera
Ilm-o-hunar ki saath tere raushni chale

Riyaz "Ashna"


Excellent.... Riyaz ji
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2010, 08:26:04 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      RIYAZ106 JI......


ZINDAGI KI RAHA PAR MERE SAATH WO CHALE
JO HAR MUSHKIL RAHA SE KABHI NA DARE
ZINDAGI KE SAFAR MEIN THAME WO MERA HAATH
JO KHUD NEK KAAM KARE AUR ZULUMON KA KABHI NA DE SAATH
KUCH DARR NAHI HAI ZINDAGI KE SAFAR MEIN
AGAR MANN MEIN KISI KE LIYE BURAI NAHI HAI
AUR BAROSA HAI AGAR KHUD MEIN......
 
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2010, 09:30:56 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Riyaz bhai and Cara ji,beautiful gazal.great creation. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
daljeet_faqeer
Guest
«Reply #5 on: April 06, 2010, 10:24:42 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai. Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #6 on: April 06, 2010, 11:00:14 AM »
Reply with quote
GHAZAL

Ab saath har qadam pe hamare khushi chale
Hasrat hai yun hi teri meri dosti chale
Sahra hai,dhoop sakht hai, saaya nahi koi
Jis jis mein hausla ho safar ko wahi chale
Jung-o-fasaad,hirs-o-hawas mit hi jayenge

Hai shart nek rah pe har aadmi chale
Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                 Hashr=Qayaamt
Rishta chale wahan na koi dosti chale
Kuchh khauf zulmaton ka nahi "Ashna", agar            zulmat=Andhera
Ilm-o-hunar ki saath tere raushni chale

Riyaz "Ashna"
Wah!! Riyaz Sahab, kamaal ki qalam hai aapki, Bahut khoob.....

Jab bhi hamare saath chale rahgujar chale,
Aisa nahin hua ki koi hamsafar chale....!
Manzil pe koi karwaan lut jaye na 'Adab'
Teri duva ho saath to apna hunar chale..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 06, 2010, 11:11:31 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Riyazji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: April 06, 2010, 12:40:39 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Rajesh ji, ghazal pasand farmane ke liye.
Bahut Khoob Riyaz Ji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: April 06, 2010, 01:05:37 PM »
Reply with quote
laaaaaaaaajawaaaaaaaaaaab riyaz sb...........puri haqeeqat kaa nichod hai....

inn chud alfaaz main..........!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: April 06, 2010, 02:39:38 PM »
Reply with quote
Hashmi ji aapka bahut shukria. Zarranawazi
Excellent.... Riyaz ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #11 on: April 06, 2010, 05:41:47 PM »
Reply with quote
Bahut shukriya Cara ji. Aapne bhi achha likha hai.
WAH KYA BAAT HAI      RIYAZ106 JI......


ZINDAGI KI RAHA PAR MERE SAATH WO CHALE
JO HAR MUSHKIL RAHA SE KABHI NA DARE
ZINDAGI KE SAFAR MEIN THAME WO MERA HAATH
JO KHUD NEK KAAM KARE AUR ZULUMON KA KABHI NA DE SAATH
KUCH DARR NAHI HAI ZINDAGI KE SAFAR MEIN
AGAR MANN MEIN KISI KE LIYE BURAI NAHI HAI
AUR BAROSA HAI AGAR KHUD MEIN......
 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: April 06, 2010, 06:38:45 PM »
Reply with quote
bahut pyaari ghazal hai Riyaaz ji...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #13 on: April 06, 2010, 08:47:41 PM »
Reply with quote
bahoot khoob riyaz sahib,,behatreen paishkash..
GHAZAL

Ab saath har qadam pe hamare khushi chale
Hasrat hai yun hi teri meri dosti chale
Sahra hai, dhoop sakht hai, saaya nahi koi
Jis jis mein hausla ho safar ko wahi chale
Jung-o-fasaad,hirs-o-hawas mit hi jayenge

Hai shart nek rah pe har aadmi chale
Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                       Hashr=Qayaamt
Rishta chale wahan na koi dosti chale
Kuchh khauf zulmaton ka nahi "Ashna", agar             Zulmat=Andhera
Ilm-o-hunar ki saath tere raushni chale

Riyaz "Ashna"

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: April 07, 2010, 04:07:20 AM »
Reply with quote
Madhu didi aapka bahut bahut shukriya.
Wah bahut khoob Riyaz bhai and Cara ji,beautiful gazal.great creation. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:46:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer