GHAZAL.........(Riyaz Ashna)

by riyaz106 on April 06, 2010, 07:26:53 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2760 times)
riyaz106
Guest
«Reply #30 on: April 08, 2010, 05:00:13 PM »
Reply with quote
Mann ji kin lafzon se aapka shukriya adaa karun. Kuchh kehte nahi ban raha hai. Aapne meri ye ghazal padhne ke liye waqt nikaala aur tawajjo se padhkar samjha, mere liye ye bahot badi baat hai. Aapka tahe dil bahot saara shukriya. Khush rahiye.
Riyazzzzzzz Bhai.. Yeh Gazal Such Me Dil Ko Chhoo Gai.. Behad Umda Peshkash hai Dost.. ek ek Lafz Apni Kahani Sa Kahata Nazar aaya..!!  icon_thumleft

Jazzbaaton Ko aur Ehasaason Ko Lafzon Me Bakhoobi Bayan Kiya hai aapne.. Daad Kubool Karen...   icon_salut icon_salut

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SHEHRAY WAFA MAI ANKHEN ASHNA KO... by N.R.MALIK in Shayri-E-Dard
Ghazal---(Riyaz) by riyaz106 in Ghazals
My Shers...(Riyaz) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri
****26/11...KA DARD*****(Riyaz) by riyaz106 in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
MERE MEHBOOB...(Riyaz) by riyaz106 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #31 on: April 10, 2010, 07:23:26 AM »
Reply with quote
Wah Kya kahene , Jawab Nahi Riyaz Sahab , Bahoth qoob Har Ashar Apni hi Wazh me Kya qoob istemaal hai hausle aur safar ka , Wah apki Ghazal Nazar Nawaz howi , hazaro dad hazir hain Qubool karen .. Allah apko khush rakhe ..


Duwa go !!

Qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #32 on: April 10, 2010, 07:32:43 AM »
Reply with quote
Pasand farmaane ke liye aapka tah-e-dil se shukriya Qadeer sahab. Jin khoobsurat alfaaz se aapne ghazal ki pazeerai ki aur hausla afazaai ki, uske liye bhi aapka mashkoor hun. Allah aapko khush rakhe.
Wah Kya kahene , Jawab Nahi Riyaz Sahab , Bahoth qoob Har Ashar Apni hi Wazh me Kya qoob istemaal hai hausle aur safar ka , Wah apki Ghazal Nazar Nawaz howi , hazaro dad hazir hain Qubool karen .. Allah apko khush rakhe ..


Duwa go !!

Qadeertoopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: April 14, 2010, 11:16:07 AM »
Reply with quote
GHAZAL

Ab saath har qadam pe hamare khushi chale
Hasrat hai yun hi teri meri dosti chale
Sahra hai, dhoop sakht hai, saaya nahi koi
Jis jis mein hausla ho safar ko wahi chale
Jung-o-fasaad, hirs-o-hawas mit hi jayenge

Hai shart nek rah pe har aadmi chale
Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                       Hashr=Qayaamt
Rishta chale wahan na koi dosti chale
Kuchh khauf zulmaton ka nahi "Ashna", agar             Zulmat=Andhera
Ilm-o-hunar ki saath tere raushni chale

Riyaz "Ashna"



Bohot Khoob Riyaz ji....aur iss sher pe to dil kaanp sa gaya:

Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                       
Rishta chale wahan na koi dosti chale


Bohot behtareen peshkash....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #34 on: April 30, 2010, 12:43:49 PM »
Reply with quote
Aapka tah-e-dil se shukriya Talat ji ke aapne ghazal ko pasand farmaya.

Bohot Khoob Riyaz ji....aur iss sher pe to dil kaanp sa gaya:

Koi kisi ke kaam na aayega hashr mein                       
Rishta chale wahan na koi dosti chale


Bohot behtareen peshkash....
Logged
nazr ghouri
Guest
«Reply #35 on: July 23, 2010, 12:38:50 PM »
Reply with quote
wah riyaz sahib bhoot khoob janaab har shair umda hai janaab ..ek behatreen ghazal bazm ko ata ki hai aap ne..har shair pe daad .
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #36 on: July 23, 2010, 12:41:18 PM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Nazar Sahab ke aapne meri kawish ko pasand farmaya. Hamesha khush rahiye.
wah riyaz sahib bhoot khoob janaab har shair umda hai janaab ..ek behatreen ghazal bazm ko ata ki hai aap ne..har shair pe daad .
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:48:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer