Haadisa (Air India cresh in Mangalore dt. 22 may 2010)

by aaina on May 23, 2010, 10:07:53 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1237 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Wo to bata rha tha kaii roz ka safar
Zanzeer kheech kar jo musafir uthr gaya(nm)

Jis sehra mai chlte chlte ab
Paaun ke chaale patthar ho gaye hai.n
Jism ki thkaan jab bistar ko chooti hai
To ek bheena sa dard rago pa mai utar jta hai
Magr aaj mere pair is tapti huii
Rait ko maghroor nigaahon se daikh rhe hain
Kyunki mere paaun aaj zameen par nahi
Unko kisi udaan ke pankh lag geye hain
Yahi socha hoga us jhaaz
pe sawaar hone wale ne
Ki jisne apne farz koo nibhate nibhate
Apne jaan de dii
Ye wahi shqs tha ki jiski aankho
Mai nayi subha ka ek sapna tha
Ke jiske chehre pe badi
khush rang lkeerin thin
Jo apne tang dasti mai bhi
khilono ki dukaano se khuch
thaaif khareed laya tha
Ki jisme ek gudya usko
apni bithi si dikhti thi
Jisse ye wahem tha ke kal ka suraj
bhut mehrbaan hoga uspar
Magr afsos ke jo pal khushi ke the
Wahi maatam ke hawaale hain
Wahi.n ussi haath ke barabr
Ek gudia nigaahei.n phaade huway
Kuch daikh rhi hai
Ki usko yahan se koi utha laiga
Aur jahan usko phuchna hai
Wahan usko phucha dega
Jahan kuch umeedein bhari aankhein
Darwaaze pe taq-taqi lagye bhaithi hain
Aaj ki raat bhut bhari hai............







aslam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Air India lol by prempagla in SMS , mobile & JOKES
Happy new year 2010 .wishes from Kavi Deepak Sharma by kavyadharateam in Occassion Specific Poetry
Happy New Year 2010......Rishi by Rishi Agarwal in The Wishes and Celebrations
***Maa*** (9 May 2010...Mother's Day) by AVTAR RAYAT in Share:Miscellaneous Shayari
2010 Ke Beete Din.. Rishi by Rishi Agarwal in Occassion Specific Poetry
KOYAL46
Guest
«Reply #1 on: May 23, 2010, 01:28:39 PM »
Reply with quote
Aaina-ji Bahoot he prompt aur bhavpurn rachna hai aapki...... Applause Applause Applause Applause

Wo to bata rha tha kaii roz ka safar
Zanzeer kheech kar jo musafir uthr gaya(nm)

Jis sehra mai chlte chlte ab
Paaun ke chaale patthar ho gaye hai.n
Jism ki thkaan jab bistar ko chooti hai
To ek bheena sa dard rago pa mai utar jta hai
Magr aaj mere pair is tapti huii
Rait ko maghroor nigaahon se daikh rhe hain
Kyunki mere paaun aaj zameen par nahi
Unko kisi udaan ke pankh lag geye hain
Yahi socha hoga us jhaaz
pe sawaar hone wale ne
Ki jisne apne farz koo nibhate nibhate
Apne jaan de dii
Ye wahi shqs tha ki jiski aankho
Mai nayi subha ka ek sapna tha
Ke jiske chehre pe badi
khush rang lkeerin thin
Jo apne tang dasti mai bhi
khilono ki dukaano se khuch
thaaif khareed laya tha
Ki jisme ek gudya usko
apni bithi si dikhti thi
Jisse ye wahem tha ke kal ka suraj
bhut mehrbaan hoga uspar
Magr afsos ke jo pal khushi ke the
Wahi maatam ke hawaale hain
Wahi.n ussi haath ke barabr
Ek gudia nigaahei.n phaade huway
Kuch daikh rhi hai
Ki usko yahan se koi utha laiga
Aur jahan usko phuchna hai
Wahan usko phucha dega
Jahan kuch umeedein bhari aankhein
Darwaaze pe taq-taqi lagye bhaithi hain
Aaj ki raat bhut bhari hai............







aslam

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 23, 2010, 07:38:37 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurti se likha hai aapne Aslam ji... bahut khoob...!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: May 23, 2010, 11:17:55 PM »
Reply with quote
Very touching poem Aslam ji bahut khoob
bahut dhuk hua jab news dekhi .
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: May 24, 2010, 04:51:53 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aslam ji..dard ka bahut khubsurati se bayan kiya hai apne llafzo mein...khuda har us shakhs ko himaat de jinhone kisi apne ko us crash mein khoya hai....take cre...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: May 24, 2010, 07:38:40 PM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot Khoob Aslam ji.. Bahoot Hi gehre ehsaas ko samet kar likhi gai yea rachna bahoot hi marmik hai..

Good Job !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 25, 2010, 12:08:18 PM »
Reply with quote
Kya kahoon AslamJi..

Vaakai Iss Zindagi Ka Koi Bharosa Nahi..Kisse Pata Tha Uss Jahaz par Ke Woh safar Unka Aakhri Safar Hoga..

Bahut Hi Dardnaak Haadsa Hai Yeh..

Aapne Uss Dard Ko Lafzon Mein Bahut Hi Gehrai Se Bayaan Kiya Hai..

Waheguru unn sab ke pariwaar ko hausla de jo iss Haadse ka shikaar hue hai..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #7 on: May 26, 2010, 02:52:44 PM »
Reply with quote
Wah Aslam Bhai kya kahene Yaar , Jub ye paheli Baar Us hadse ke fauran baad padi thi maine To bus ankhen namm se ho gayi thi ,, Taqeer ke liye mazrath khaw hon ,, Hazaro dad apki is taqleeq ke nazar ,, allah un sub ke gharwalon ko hausla de..khush rahen hamesha..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2010, 05:52:53 AM »
Reply with quote
koyal ji, kapil ji, Madhuwesh, BBL, Sophi, khwaish sahab aur Qadeer bhai aap sab hi ka bhut bhut shukriya is dard mai sharkart aur tahereer ki pasndagi ka, yu.N hi saath daite rahiye



aslam
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:59:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer