"Haan, Insaani Rishte Phir Sawar Rahe Hai"!!!!!!!!

by khwaish on February 23, 2010, 02:50:18 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3934 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
"PESHAWAR, Pakistan, Feb. 22 (UPI) -- Three abducted members of Pakistan's minority Sikh community were beheaded by the Taliban, the Times of India reported On Monday, quoting sources.

The beheadings occurred in Pakistan's tribal areas, the newspaper reported.

The victims Were businessmen, were reported kidnapped more than a month ago from different locations in the Khyber and Orakzai tribal areas.

Sources told the newspaper the They were killed because they were Not paying protection money. Their Beheaded Heads Were Sent To Guruduwara By the Talibans,With A Message "They Will Behead More Sikhs In Coming Time.However, the report quoted security sources in New Delhi as saying they were killed after refusing to convert to Islam."

Yeh Padhkar Aap Sab ka bhi Dil Dhuka Hoga,Jaisa Ke mera Dukha Hai..Ek Bhaari mann Se Kuch Likh Raha Hoon..Aur Yeh Umeed kar raha Hoon Ke Log Khuda Ke bakhse Hue raah Par Chale Aur Neki Ka Raasta chunne...

Jeene Ke Liye Jo Mar Rahe Hai
Aagaaz-E-Hayaat Kar Rahe Hai!!!!

Naa Jaane Kyon Hota Hai yeh Zulm Masoomo Par!!!
insaan Ab Toot Ke Bikhar Rahe Hai!!!

Yeh Kaisi Insaaniyat!! Yeh Kaise Husool!!!
Khud Ki Lagai Hui Aag mein Log Jal rahe Hai!!!

Agar Khuda Ke Tum Koi Nek bande Ho To neki karo!!!!
yeh kaun si raah hai Jisse Hum Sab Guzar rahe Hai....

Kisi Maasum Ki Jaan Lekar Kya Haasil Eh Soye Hue insaan!!!!!
Agar Yeh Insaaniyat Hai To Phir Aaj Insaan Hi insaan Se Darr Rahe hai....

Kabhi Apne Paigambaro Ka Ithihaas Padhkar Dekhna zaroor!!!
Jahan-Jahan Se woh Guzre Hai, Aaj Bhi Uss Raah Ke pathar Nikhar Rahe hai...


"Khwaish" Ki yeh Dua Hai ke Eh khuda Kuch yuh Kar ke Logon ka Zameer jaag uthe..
Kabhi yeh Din Bhi Hum Dekh Kar Kahe Ke "Haan Insaani Rishte Phir sawar Rahe Hai"

                         ~~~~~Khwaish~~~~~~


Logged
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2010, 03:01:55 PM »
Reply with quote
Kya kahe khwaish ji....Rab mehar kare....dil dehal jata hai aisi khabre sunkar....bahut sahi likha hai aapne...jha jha se paigambar gujre hai aaj bhi uss raah k pathar nikhar rahe hai.......ek ek alfaaz khoob likha hai aapne....

 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 23, 2010, 04:09:14 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Khwaish Dost...Behad dukh ki baat hai ki jo log mazhab ke naam pe zulm kar rahe hain, masoom logon ko sata rahe hain, wohi mazhab ki gehraaiyon se, mazhab ki sachchaai se anjaan hain.
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2010, 04:12:10 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI.....

YEH KAISI ZINDAGI AAJ INSAAN JEE RAHE HAI
AAJ INSAAN HI INSAAN KE KHOON PEE RAHE HAI

KYUN INSAAN APNI MILI HUI ZINDAGI NAHI JEE RAHA HAI
KYUN MAALIK KA HAQUE CHIN KAR KHUD HUKUMAT KAR RAHA HAI

KYA UNKA BAROSA OOTHGAYA HAI MALIK PAR KI WO DUNIYA CHALA SAKHTA NAHIN
YAHAN UNKO MALIK KE SIKHAYE HUE PYAR AUR BHAICHARE KE RAASTE PE CHALNA PASAND NAHIN

AAKHIR KYA HAASIL KAR RAHA HAI INSAAN INSAAN KO MAARKAR
KYA MALIK KO BATANA CHAHATA HAI DUNIYA KI TABAHI KAR

BUL KYUN JAATE HAI JAB UNKI KHUD KI ZINDAGI HAI MALIK KE  HAATHON MEIN
FIR KYUN WOH AURON KI ZINDAGI LE RAHE HAI APNE HAATHON MEIN

EH MALIK ISE PEHELE YE LOG APNE NAAPAK IRAADONSE IS DUNIYA KO BARBAAD KARDE
AAP INKO AKAL DE,YAAN INKO UTTALEN,YAAN APNE HAATHON SE YE DUNIYA KHATAM KARDE..

         ....SAMJHO MALIK KO--SAMJHO ZINDAGI KO....

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2010, 07:04:34 PM »
Reply with quote
waah bahut hi khoob khwaish ji...dil sach mein dehel gya apki kavita padhkar...main bhi yahi manti hu ki sab khuda k bande hai kya fark padta hai hindu ho ya muslim...zindgi ek hi hai ise kisi dharam ya jaat mein tabdil karne ki ladai mein aajtak karodo ki jaan ja chuki hai jane kab insan,insan ko bakshega...kaash ise padhkar un logo ka soya zameer jaag jaye jo log is tarah k kaam karte hai aur khud hi apne hatho apne jaati apne dharam apne majhab ka naam badnaam karte hai....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2010, 02:33:29 AM »
Reply with quote
Bahoot Afsoos hua yea khabar sun kar ,... Sach Mea Insaniyaat dheere dheere katam hoti ja rahi hai ...

Aapke Iss Marmam Ghatna par likhe gaye Lafze Bahoot Bahoot Saranaiye hai... Bahoot Khoob!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 24, 2010, 09:28:45 AM »
Reply with quote
Kya kahe khwaish ji....Rab mehar kare....dil dehal jata hai aisi khabre sunkar....bahut sahi likha hai aapne...jha jha se paigambar gujre hai aaj bhi uss raah k pathar nikhar rahe hai.......ek ek alfaaz khoob likha hai aapne....

 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Bahut bahut Shukriya pooja, Jo Aapne Inn jazbaaton Ko Samjha Aur saraha..Iss kalam Ko Aapne Waqt Diya..Teh Dil Se Shukriya Pooja
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2010, 10:03:01 AM »
Reply with quote
Bahut alamnaak khabar hai Khwaish ji. Hamein bhi is baat ka bahot dukh hai. Har koi sabse pahle ek insaan, uske baad koi aur. Aur sab ko banaane wala to sirf ek hi hai. Kaash sabki samajh mein ye baat aa jaaye. Dard aur dukh mein doobi hui aapki poem se neki, muhabbat aur bhaichare ka paigham milta hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 25, 2010, 07:10:27 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Khwaish Dost...Behad dukh ki baat hai ki jo log mazhab ke naam pe zulm kar rahe hain, masoom logon ko sata rahe hain, wohi mazhab ki gehraaiyon se, mazhab ki sachchaai se anjaan hain.

Bilkul sach Kahan Talat Dost Aapne...

Main Bas Yehi Kehna Chaahta Hoon,Jo log Yeh Zulm karte Hai Woh kisi Bhi mazhab ke Nahi Hote,Kyonki Koi bhi Mazhab Yeh Nahi Sikhata...

Aap Ne Iss Ghazal ke Dard Ko samjha,isse mehsoos Kiya..Bahut bahut Shukriya Aapka icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 25, 2010, 07:22:00 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI.....

YEH KAISI ZINDAGI AAJ INSAAN JEE RAHE HAI
AAJ INSAAN HI INSAAN KE KHOON PEE RAHE HAI

KYUN INSAAN APNI MILI HUI ZINDAGI NAHI JEE RAHA HAI
KYUN MAALIK KA HAQUE CHIN KAR KHUD HUKUMAT KAR RAHA HAI

KYA UNKA BAROSA OOTHGAYA HAI MALIK PAR KI WO DUNIYA CHALA SAKHTA NAHIN
YAHAN UNKO MALIK KE SIKHAYE HUE PYAR AUR BHAICHARE KE RAASTE PE CHALNA PASAND NAHIN

AAKHIR KYA HAASIL KAR RAHA HAI INSAAN INSAAN KO MAARKAR
KYA MALIK KO BATANA CHAHATA HAI DUNIYA KI TABAHI KAR

BUL KYUN JAATE HAI JAB UNKI KHUD KI ZINDAGI HAI MALIK KE  HAATHON MEIN
FIR KYUN WOH AURON KI ZINDAGI LE RAHE HAI APNE HAATHON MEIN

EH MALIK ISE PEHELE YE LOG APNE NAAPAK IRAADONSE IS DUNIYA KO BARBAAD KARDE
AAP INKO AKAL DE,YAAN INKO UTTALEN,YAAN APNE HAATHON SE YE DUNIYA KHATAM KARDE..

         ....SAMJHO MALIK KO--SAMJHO ZINDAGI KO....



Bahut bahut Shukriya Caraji..

Aur Aapne Bhi Acha Likha Hai!!! Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 25, 2010, 07:50:08 AM »
Reply with quote
"PESHAWAR, Pakistan, Feb. 22 (UPI) -- Three abducted members of Pakistan's minority Sikh community were beheaded by the Taliban, the Times of India reported On Monday, quoting sources.

The beheadings occurred in Pakistan's tribal areas, the newspaper reported.

The victims Were businessmen, were reported kidnapped more than a month ago from different locations in the Khyber and Orakzai tribal areas.

Sources told the newspaper the They were killed because they were Not paying protection money. Their Beheaded Heads Were Sent To Guruduwara By the Talibans,With A Message "They Will Behead More Sikhs In Coming Time.However, the report quoted security sources in New Delhi as saying they were killed after refusing to convert to Islam."

Yeh Padhkar Aap Sab ka bhi Dil Dhuka Hoga,Jaisa Ke mera Dukha Hai..Ek Bhaari mann Se Kuch Likh Raha Hoon..Aur Yeh Umeed kar raha Hoon Ke Log Khuda Ke bakhse Hue raah Par Chale Aur Neki Ka Raasta chunne...

Jeene Ke Liye Jo Mar Rahe Hai
Aagaaz-E-Hayaat Kar Rahe Hai!!!!

Naa Jaane Kyon Hota Hai yeh Zulm Masoomo Par!!!
insaan Ab Toot Ke Bikhar Rahe Hai!!!

Yeh Kaisi Insaaniyat!! Yeh Kaise Husool!!!
Khud Ki Lagai Hui Aag mein Log Jal rahe Hai!!!

Agar Khuda Ke Tum Koi Nek bande Ho To neki karo!!!!
yeh kaun si raah hai Jisse Hum Sab Guzar rahe Hai....

Kisi Maasum Ki Jaan Lekar Kya Haasil Eh Soye Hue insaan!!!!!
Agar Yeh Insaaniyat Hai To Phir Aaj Insaan Hi insaan Se Darr Rahe hai....

Kabhi Apne Paigambaro Ka Ithihaas Padhkar Dekhna zaroor!!!
Jahan-Jahan Se woh Guzre Hai, Aaj Bhi Uss Raah Ke pathar Nikhar Rahe hai...


"Khwaish" Ki yeh Dua Hai ke Eh khuda Kuch yuh Kar ke Logon ka Zameer jaag uthe..
Kabhi yeh Din Bhi Hum Dekh Kar Kahe Ke "Haan Insaani Rishte Phir sawar Rahe Hai"

                         ~~~~~Khwaish~~~~~~



Saaraa sansaar 'shok' key aansuu bahaa rahaa hai, Khwaish ji! Is 'dushhkratya' ki jitnee bhi mazammat ki jaaye kam hai!
Aapki yah 'rachnaa' dil ko chhootee hai! Shokgrast manavta key 'hitaarth' kiyaa gayaa aapkaa yah 'leykhan' saraahniya hai!

                         - abd bundeli
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 25, 2010, 11:32:14 AM »
Reply with quote
waah bahut hi khoob khwaish ji...dil sach mein dehel gya apki kavita padhkar...main bhi yahi manti hu ki sab khuda k bande hai kya fark padta hai hindu ho ya muslim...zindgi ek hi hai ise kisi dharam ya jaat mein tabdil karne ki ladai mein aajtak karodo ki jaan ja chuki hai jane kab insan,insan ko bakshega...kaash ise padhkar un logo ka soya zameer jaag jaye jo log is tarah k kaam karte hai aur khud hi apne hatho apne jaati apne dharam apne majhab ka naam badnaam karte hai....

Bahut bahut Shukriya Geetji..

Aapki Soch bAHUT Nek Hai...Aapne Jo baatein ki hai,Kaash har insaan inn Baaton Ko Samjhe To Duniya Mein Yeh sab Dukh-Takleef Hi na Ho..Main Aapki Khoobsrat Soch Ko Salaam karta Hoon.. icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 25, 2010, 12:07:23 PM »
Reply with quote
Bahoot Afsoos hua yea khabar sun kar ,... Sach Mea Insaniyaat dheere dheere katam hoti ja rahi hai ...

Aapke Iss Marmam Ghatna par likhe gaye Lafze Bahoot Bahoot Saranaiye hai... Bahoot Khoob!

Bahut Bahut Shukriya Sophi Jo Apane Iss Kaalam Ko padha Aur Iska Dard Samjha..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 26, 2010, 03:07:57 PM »
Reply with quote
Bahut alamnaak khabar hai Khwaish ji. Hamein bhi is baat ka bahot dukh hai. Har koi sabse pahle ek insaan, uske baad koi aur. Aur sab ko banaane wala to sirf ek hi hai. Kaash sabki samajh mein ye baat aa jaaye. Dard aur dukh mein doobi hui aapki poem se neki, muhabbat aur bhaichare ka paigham milta hai.

Bahut Bahut Shukriya Riyaz Jo Aapne Apna Keemti waqt Diya.Aur Aapne yeh Kalaam Ke dard Ko samjha..

Aap Ki Har baat Bilkul Durust Hai..Khuda kare Har Insaan Iss Ehsaas Ko Samjhe..

Shukriya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: February 26, 2010, 04:19:15 PM »
Reply with quote
I M Speech Less Khwaish Bhai.. Mere Paas Lafz Nahi Hain Aapke Likhe In Alfaazon Ki Taareef Ke Liye..!! icon_thumleft

Basssssss Yeh Taaliyaan Hain..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:41:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.303 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer