Haan Main Aaj Bhi Zinda Hoon "Khwaish"

by khwaish on October 06, 2010, 11:24:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4365 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yeh Nazm Ek kahaani Hai Mere Dost Rahim Ki, Jisse Maine Lafzo Mein Utaarne Ki koshish Ki Hai,main Nahi Jaanta Main Uss Ehsaas Ko,Uss jazbaat Ko lafzon Mein Utaar Paaya Hoon Ya Nahi,Par Yeh Jaanta Hoon Ke Iss Nazm ko likhte Waqt Aankhein Bahut Nam Ho gayi Thi..
 Dost Rahim ke Liye Dua zaroor Kare...Shukriya Aap Sab ka...

Aaj Zindagi ka ek Aisa kissa sunaata hoon
ek ladki thi jisse main aaj bhi chaahta hoon

par waqt ke haathon main majboor ho gaya..
jo bahut kareeb thi aaj usse door ho gaya..

Humme kabhi bahut mohabbat thi yeh hum dono jaante hai
Ek duje ko apna sab kuch Hum Maante Hai,
Par naa jaane kyon badalte hue,
mausam ki tarah sab badal gaya
Main dhoondhta raha tujhe har us mod par
par tu naa jaane kis raah se Guzar gaya.

Aaj bhi uss Raah Ko Takhta hoon ke tere kuch Nishaan Mile
Eh mere Bichde hue Humraahi,kaash mujhe phir se jeene ke armaan mile

Par Kya Kahoon Aaj Bhi Tanha Hoon main
Bas Shukar Hai Khuda Ke Haan Zinda Hoon Main!!!!

Tujhe Waffa Naa Nibhaana Tha Naa Sahi!!!
Par Itna To Aaj keh De Ke Haan Tujhe mohabbat Nahi..

Agar Hum Saath The To Kuch to wajeh Zaroor Thi
Kya Mujhse Juda Hona Zaroori Tha,
Kya Waqt Ke haathon Tu Itni Majboor thi..

Jo bhi Hai bas Itna Yaad Rakh Ke Main Tujh Bin Aaj Bhi Tanha Hoon!!!
"Khwaish" Aaj "Rahim" Ki Zubaani kehta hai Ke, HAAN MAIN AAJ BHI ZINDA HOON!!!

                      ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: October 06, 2010, 11:54:36 AM »
Reply with quote
acha likha hai khwahish ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: October 06, 2010, 01:37:02 PM »
Reply with quote
Khwaish Dost,

Teh dil se shukriya pehle toh kay apne isse likha..main bahaut shukar guzar hoon apka..

Dusri baat apne bahaut acha likha hai aur sach kaha 'kay Rahim aj bhi zinda hai.' Bahaut bahaut khoob.. Meri ankhein bhi nam hogayi yeh parr kar..yeh kalam khas rahega dil main mere hamesha kay liye..

Dost, apne aisa kyun kaha kay yeh apki akhri poetry ho yahan. tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed.Dost please likte rahiyega kyun kay apke kalam kisi ko khushi kay do pal dete hai, jeena bhi seekhate hai..
Please likte rahiyega..

Khush rahiye sada aur bahaut sara pyaar aur duaein mere khaas dost..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:21:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer