- Haaton Ki Lakeer Hum Mitane Lage -

by Meena on July 10, 2005, 12:10:35 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2294 times)
Meena
Guest
Reply with quote
Rah-e-zindagi me koi aage chalta hai to koi piche chalta hai,
Rook lo une, jo apne kadam mere kadam se milane lage,

Hum to tanhai me rehne wale hai aur kuch nadan hai,
Woh to samajhdar hai, phir kyu woh humse najdeekiyan badane lage,

Halat ne pattar bana diya hume, iska hume koi dukh nahin,
Par zakhmi hoga woh agar woh is deewar se takrane lage,

Maud lo rukh hawaon ke, jo mujhe chu kar unki taraf baad rahi hai,
Kahi mere badkismati ke saye se unke kushiyon ke phool na murjane lage,

Kush rahenge woh agar door rahenge humse,
Isslyie apne haaton se unke hone ki lakeer ko hum mitane lage,

Aye Khuda, tum hi samjhao us nasamajh musafir ko,
Kahi hume pane ki tamana me woh apni takdeer se na pachtane lage!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2005, 12:27:36 PM »
Reply with quote
waah .. Meena ji ... bahut hi khoob .. taqdeer ki baat chal rhi hai to kuch hum bhi byaan e taqdeer kartey hai !! mulaiza farmaiye !!!

kya hai "HumTum" ki sada, kya hai daastaan uska
yaad kisko hogi jo utha caravaan uska

din bhi dhalta hai aakhir shab bhi hoti hai tamaam
jeeta hai din gin ke roz imtihaan uska

raazdaan koi na tha humzubaan bhi na mila
ho gayi ghazal phir se haal-e dil bayaan uska

fikr jahannum ki kya hasrat-e jannat kahaan
baksh mujhko ya rab woh hi aastaan uska

waqt is tarah zaalim meri hasti na mita
khaak ho jaaye na yun aakhiri nishaan uska

na de mujhko tu dua na ho mujh pe mehrbaan
yun bhi badhta hai har baat pe gumaan uska

jism-e "HumTum" halaak khaak taakat-o-dimaag
kis tarah raha zinda ab talak imaan uska !!
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #2 on: July 10, 2005, 01:40:43 PM »
Reply with quote

"waqt is tarah zaalim meri hasti na mita
khaak ho jaaye na yun aakhiri nishaan uska  . . . "

KYA BAAT HAI HUMTUM JI

NICE ONE MEENAJI . . .  Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: July 10, 2005, 04:27:52 PM »
Reply with quote
thank u humtum ji, bohot acha likha apne!!!

prem ji :D

 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: July 10, 2005, 06:06:33 PM »
Reply with quote
Meena ...Humtum......very nice...bohot khoob.... !!!!!!!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: July 10, 2005, 06:11:11 PM »
Reply with quote
thank u talat thank u.................................... :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: July 10, 2005, 06:14:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "PREMANSHU"

"waqt is tarah zaalim meri hasti na mita
khaak ho jaaye na yun aakhiri nishaan uska  . . . "

KYA BAAT HAI HUMTUM JI

NICE ONE MEENAJI . . .  Usual Smile


Shukriya Premanshu ji
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: July 10, 2005, 06:14:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
thank you humtum ji, bohot acha likha apne!!!

prem ji :D

 :D


Winking
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: July 10, 2005, 06:17:23 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Meena ...Humtum......very nice...bohot khoob.... !!!!!!!!!!


Shukriya Talat ji ..

khayaal-e-yaar mai tut kar bikhra jo sheesha-e-dil
har akas uski bewafaii ka mire jigar ke pass na hota
ham ba-faa hain shikwa na karenge tujh se koi
gar tu "HumTum"ka dildaar-e-yaar khaas na hota !!  
Logged
tamana
Guest
«Reply #9 on: July 11, 2005, 06:06:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Rah-e-zindagi me koi aage chalta hai to koi piche chalta hai,
Rook lo une, jo apne kadam mere kadam se milane lage,

Hum to tanhai me rehne wale hai aur kuch nadan hai,
Woh to samajhdar hai, phir kyu woh humse najdeekiyan badane lage,

Halat ne pattar bana diya hume, iska hume koi dukh nahin,
Par zakhmi hoga woh agar woh is deewar se takrane lage,

Maud lo rukh hawaon ke, jo mujhe chu kar unki taraf baad rahi hai,
Kahi mere badkismati ke saye se unke kushiyon ke phool na murjane lage,

Kush rahenge woh agar door rahenge humse,
Isslyie apne haaton se unke hone ki lakeer ko hum mitane lage,

Aye Khuda, tum hi samjhao us nasamajh musafir ko,
Kahi hume pane ki tamana me woh apni takdeer se na pachtane lage!


bahut khoob meena ji
Logged
tamana
Guest
«Reply #10 on: July 11, 2005, 06:06:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
waah .. Meena ji ... bahut hi khoob .. taqdeer ki baat chal rhi hai to kuch hum bhi byaan e taqdeer kartey hai !! mulaiza farmaiye !!!

kya hai "HumTum" ki sada, kya hai daastaan uska
yaad kisko hogi jo utha caravaan uska

din bhi dhalta hai aakhir shab bhi hoti hai tamaam
jeeta hai din gin ke roz imtihaan uska

raazdaan koi na tha humzubaan bhi na mila
ho gayi ghazal phir se haal-e dil bayaan uska

fikr jahannum ki kya hasrat-e jannat kahaan
baksh mujhko ya rab woh hi aastaan uska

waqt is tarah zaalim meri hasti na mita
khaak ho jaaye na yun aakhiri nishaan uska

na de mujhko tu dua na ho mujh pe mehrbaan
yun bhi badhta hai har baat pe gumaan uska

jism-e "HumTum" halaak khaak taakat-o-dimaag
kis tarah raha zinda ab talak imaan uska !!


bahut khoob ji
Logged
tamana
Guest
«Reply #11 on: July 11, 2005, 06:07:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Talat"
Meena ...Humtum......very nice...bohot khoob.... !!!!!!!!!!


Shukriya Talat ji ..

khayaal-e-yaar mai tut kar bikhra jo sheesha-e-dil
har akas uski bewafaii ka mire jigar ke pass na hota
ham ba-faa hain shikwa na karenge tujh se koi
gar tu "HumTum"ka dildaar-e-yaar khaas na hota !!  



bahut khoob ji
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: July 11, 2005, 03:30:04 PM »
Reply with quote
shukriya...tamana ji....................................

 :D
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: July 11, 2005, 03:31:45 PM »
Reply with quote
nice hum tum ji............................................... .............
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #14 on: July 17, 2005, 09:45:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Rah-e-zindagi me koi aage chalta hai to koi piche chalta hai,
Rook lo une, jo apne kadam mere kadam se milane lage,

Hum to tanhai me rehne wale hai aur kuch nadan hai,
Woh to samajhdar hai, phir kyu woh humse najdeekiyan badane lage,

Halat ne pattar bana diya hume, iska hume koi dukh nahin,
Par zakhmi hoga woh agar woh is deewar se takrane lage,

Maud lo rukh hawaon ke, jo mujhe chu kar unki taraf baad rahi hai,
Kahi mere badkismati ke saye se unke kushiyon ke phool na murjane lage,

Kush rahenge woh agar door rahenge humse,
Isslyie apne haaton se unke hone ki lakeer ko hum mitane lage,

Aye Khuda, tum hi samjhao us nasamajh musafir ko,
Kahi hume pane ki tamana me woh apni takdeer se na pachtane lage!


wah wah meena sis,bohat khoob Usual Smile

Quote
waah .. Meena ji ... bahut hi khoob .. taqdeer ki baat chal rhi hai to kuch hum bhi byaan e taqdeer kartey hai !! mulaiza farmaiye !!!

kya hai "HumTum" ki sada, kya hai daastaan uska
yaad kisko hogi jo utha caravaan uska

din bhi dhalta hai aakhir shab bhi hoti hai tamaam
jeeta hai din gin ke roz imtihaan uska

raazdaan koi na tha humzubaan bhi na mila
ho gayi ghazal phir se haal-e dil bayaan uska

fikr jahannum ki kya hasrat-e jannat kahaan
baksh mujhko ya rab woh hi aastaan uska

waqt is tarah zaalim meri hasti na mita
khaak ho jaaye na yun aakhiri nishaan uska

na de mujhko tu dua na ho mujh pe mehrbaan
yun bhi badhta hai har baat pe gumaan uska

jism-e "HumTum" halaak khaak taakat-o-dimaag
kis tarah raha zinda ab talak imaan uska !!


kya baat hai humtum,laajawab Usual Smile .
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:11:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer