Hamaari simt wo aise nigaah karte haiN

by Ghulam Haider on June 19, 2014, 08:33:52 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1454 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Aik taazah kalaam aHbaab ki khidmat meN.......


Hamaari simt wo aise nigaah karte haiN.
Ke dil ko thaam ke ham aah aah karte haiN.

Gire hai jaise kisi shay pe TooT kar bijli,
Hamara Haal wo aise tabaah karte haiN.

YaqeeN hai ham ko khudaa ke raHeem hone par,
Isi binaa pe to yaaro! gunaah karte haiN.

Hamaare naama e aa'maal ko khudaa jaane,
Farishte kaise safeed o siyaah karte haiN.

Khudaa kare na khabar ho hameN kabhi us ki,
Hamaare ba'd jo khuchh khair-khwaah karte haiN.

Ham un ko z'aoq e samaa't ki daad kya kya deN,
Hamaari aah pe wo waah waah karte haiN.

Hamaari baat meN Haider baRi kharaabi hai,
Samajh ne waale baRaa ishtibaah karte haiN.
Logged
Rajigujral
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 59 minutes.
Posts: 1703
Member Since: Apr 2014


View Profile
«Reply #1 on: June 19, 2014, 08:39:48 PM »
Reply with quote
Bahut Sunder.  hello2 hello2 hello2
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: June 19, 2014, 08:41:43 PM »
Reply with quote
Ham un ko z'aoq e samaa't ki daad kya kya deN,
Hamaari aah pe wo waah waah karte haiN.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoooooooooob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 19, 2014, 10:03:51 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: June 19, 2014, 10:40:31 PM »
Reply with quote
Haider aadaab O tasleemat ...!

Janab badi hi pur asar aur pur lutf kalaam kahi hai aapne ...
Matle se lekar maqte tak waqai qabil e daad ashaar huye haiN ...

Is behad umda aur khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye ....

Likhte rahiye ... bazm meiN aate rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 20, 2014, 12:33:39 AM »
Reply with quote
khubsurat ghazal . Tah e dil se daad.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: June 20, 2014, 02:09:23 AM »
Reply with quote
Waah !! Bahaut hi umdah ghazal Haider sahab !!! Bahaut si daad aap ko !!!
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #7 on: June 20, 2014, 04:16:02 AM »
Reply with quote
Waaaaaaaaah kyaa baat hai Janaab Haider Sahib.
Surindar.N
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
       Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: June 20, 2014, 04:27:16 AM »
Reply with quote
Aik taazah kalaam aHbaab ki khidmat meN.......


Hamaari simt wo aise nigaah karte haiN.
Ke dil ko thaam ke ham aah aah karte haiN.

Gire hai jaise kisi shay pe TooT kar bijli,
Hamara Haal wo aise tabaah karte haiN.

YaqeeN hai ham ko khudaa ke raHeem hone par,
Isi binaa pe to yaaro! gunaah karte haiN.

ji nahin agar jaan boojh kar gunaah karte hain to ye hamaari shaitaani hai.insaaniyat ka taqaaza hai ki gunaah ghalti se surzad ho jaye to nadaamat ho aur tauba kare.n.haan khataaye.n hoti hain ki hum insaan hain per sochte hue jaante hue karte rahe,n to kahaan ki aqlmandi hai. janaab ye sher logical sahi nahin hai.bhale hi sher ke nazariye se ye her norm ko adaa karta ho icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent!
Hamaare naama e aa'maal ko khudaa jaane,
Farishte kaise safeed o siyaah karte haiN.

Khudaa kare na khabar ho hameN kabhi us ki,
Hamaare ba'd jo khuchh khair-khwaah karte haiN.

Ham un ko z'aoq e samaa't ki daad kya kya deN,
Hamaari aah pe wo waah waah karte haiN.

Hamaari baat meN Haider baRi kharaabi hai,
Samajh ne waale baRaa ishtibaah karte haiN.

              aise hi andaaz pe likha sher padh kar!
              dil se hum wah wah karte hain!!


icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
sanchit
Guest
«Reply #9 on: June 22, 2014, 12:48:57 AM »
Reply with quote
Waah waah bahut khoob...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2014, 01:44:30 AM »
Reply with quote
Bahut Sunder.  hello2 hello2 hello2
Janaab Rajigujral ji naZar e karam ke liye shukriya. Hamesha khush raheN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: June 22, 2014, 01:46:09 AM »
Reply with quote
Ham un ko z'aoq e samaa't ki daad kya kya deN,
Hamaari aah pe wo waah waah karte haiN.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoooooooooob
Janab Suresh Sangwan ji tah e dil se aap ka shukr guzaar hooN. Aap ne mera pasandeeda she'r quote kiya hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: June 22, 2014, 01:47:20 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Janaab sksaini ji "aap ki daad baRi qeemati hai". aap ka mamnoon hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: June 22, 2014, 01:51:51 AM »
Reply with quote
Haider aadaab O tasleemat ...!

Janab badi hi pur asar aur pur lutf kalaam kahi hai aapne ...
Matle se lekar maqte tak waqai qabil e daad ashaar huye haiN ...

Is behad umda aur khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye ....

Likhte rahiye ... bazm meiN aate rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...
Mohtaram "ParwaZ" ji tahiyyati lakum !
Mujhe de had khushi hai ke aap ko mera ye kalaam bhi pasand aaya. Daad o sitaaish ke liye tashakkur. Mohtaaj e dua'a
Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: June 22, 2014, 01:56:33 AM »
Reply with quote
Waah !! Bahaut hi umdah ghazal Haider sahab !!! Bahaut si daad aap ko !!!
Janaab "Zarraa" ji ye aap ki zarrah nawaazi hai. Mere paas aap ki moHabbat aur khulooS ke liye tashakkur ke alfaaZ hi haiN.
Shaad o aabaad raheN.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:11:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer