Hamari Haveli ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on May 04, 2010, 09:58:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1799 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
Reply with quote
Ahle Mahefil Adaab

5 Mahine Qabl Jab india gaya tha to Hamare Abba o Ajdad ki haweli ko jana naseeb howa , jahan humne apna adhe se ziyada bachpan guzara .. ussi ki manzar kashi karne ki koshih ki gayi hai ,, apni aara se nawazen..

Hamara Abha-e- Watan

Aaj eak tawil arse ke baad yahan aya hon to dil ki ajeeb kaifiyath hai ,,khuch aisi yadon ka nuzool howa ke maazi ke auraaq khud ba khud khulne lage ..

Yahi wo angan hai jahan kabhi bachpan ki gulkhariyan howa karti thin ,
yahi wo daraqth hai jahan parinde subha ka ilaan kiya karte the ,
yahi wo chabutre hain jahan patang baziyan howa karti thi ,
ye chaupale aaj bhi aama – chachimaa – aur badi maa ki yaad dilate hain ,
yahi wo kursi hai jahan dada jaan baitha karte the,
yahi wo diwaren hain jo kabhi rangin howa karti thi ,
ye wohi taaq hain jahan suraj ke guroob hote hi charag jalaya  karte the ,
aur wo charag haweli ki numayendigi kiya karte the ,
yahi wo kumra hai jahan bachpan din bhar ki halqaan ke baad so jaya karta tha ,
aur khuch aise qaabon ka tana bana bona karta tha,
jiski taabir shayad hi koi bata sake ,,

Magar aaj manzar badal chukka hai ,

Na wo awazen hain , na wo chahere ,
Na wo angan ki gulkhariyan hain ,
na daraqath ka wo Ghana saya hai ,
na uski wo taheniyan , na parinde na unke ghuslen ,
na chubutron pe wo patang baazi hai ,
na chaupalon pe wo raunaq hai, na taaq me wo charag hain ,
na wo diwaron ki ranginiyan , ab yahan khuch nahi hai ,,
na kursi pe wo saqt mizaj dada jaan hain,

bus…

Dada jaan ki ye qaali kursi ,
khud se uktaya howa ye budha daraqath ,
tawil arse se sukha ye kuwan ,  
charag ki maheromi ka matham karte ye benoor se taaq ,
ye dhundlai howi diwaren , ye nangle darwaze ,
char so viraani o bebasi , bus yahi rahe gaya hai hamari is pushteni haweli me ,,

aag lage ye char din ki jawani ko “Qadeer”!!
Chin Liya kambaqath ne Mujh se bachpan mera !!

Qadeertoopchi

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2010, 12:52:01 PM »
Reply with quote
Bahot achhi nazm likhi hai Abdul Qadeer bhai. Purani baatein ya to bahot dinon tak yaad nahi aati lekin jab aati hain to bahot tadpaati hai. Jee karta hai phir usi mahaul usi fiza mein jeene ka mauqa mil jaaye. Magar aisa kabhi nahi ho sakta. Bahot achhi manzarkashi ki hai aapne. Marhaba.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #2 on: May 04, 2010, 01:36:19 PM »
Reply with quote
Bahot achhi nazm likhi hai Abdul Qadeer bhai. Purani baatein ya to bahot dinon tak yaad nahi aati lekin jab aati hain to bahot tadpaati hai. Jee karta hai phir usi mahaul usi fiza mein jeene ka mauqa mil jaaye. Magar aisa kabhi nahi ho sakta. Bahot achhi manzarkashi ki hai aapne. Marhaba.

riyaz sahab zarranawazi hai apki ,, bilkul baja farmaya hai apne ..inayath ke liye shukriya .. allah apko hamesha khush rakhe ..

duwa go

qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: May 04, 2010, 02:45:45 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Qadeer Bhai....

 Massumiyat se bhare ehsaas,Insaan chaahe kitna bhi Bada kyon na ho jaaye,Bachpan Ki yaadein Aur Woh Purana Makaan Jahan Woh rehta Tha,Jahan Woh Khelta Tha,Jahan Usne Zindagi ke sabse haseen Pal Beetaye,Kabhi Nahi Bhool Paata Hai..Yehi sach hai..Aapki iss nazm ne Mujhe Bhi Mere Guzre Hue daur Ki Tasveer dikhayi hai..Maine Meri Padhai Sharjah Jo ki U.A.E mein Ki thi,mujhe bhi mere woh haseen Pal Humesha Yaad Rahenge..Koshish Karunga Ke Inn ehsaas Ko Main Bhi Kabhi Nazm Mein Utaar Paau..

Bahut bahut Khoob Mere Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #4 on: May 04, 2010, 05:07:54 PM »

inayath ka shukriya , apne baja farmaya ha khawish sahab ,, bacha ban jaata hai insaan jab kabhi maazi me chala jaata hai ,, waise apki nazm ka besabri se intezar rahega mere bhai .. allah apko hamesha khush rakhe ..

khadim

qadeertoopchi
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #5 on: May 04, 2010, 09:11:10 PM »
Reply with quote
Kya baat hai mere bhai........lajawab kar diya aapne, dil se daad kabool kare.....

Meri aukaat to nahi ke main bhi aisa kuch keh saku par jo toota foota samajh me aaya isi mauzu par maine bhi likhne ki koshish ki hai jo aapki is khoobsurat peshkash ki nazar kar raha hu..

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayri-for-dard-e-judai/lautoge-kab-ghayel-t56049.0.html;new
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: May 04, 2010, 09:25:48 PM »
Reply with quote
Qadeer sahab bhut hi khoobsruti se piroya hai aapne apne jazbato.N ko alfaazo.n mai.n, gaye dino ke saare qisse aankho.N mai lambi lambi qatarein baandhe khade hote hai.N jinko banyaan karna ek mushkil kaam hi nahi bhlke hosla bhi chahiye un beete huway kal se bahar aane ka bhi, aapki is paishkash ke baare mai kya kaha jaaye lafz nhi hai bas itna hi keh sakta hu.N bhut khoob bhut khoob, likhte rahiye

aslam
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #7 on: May 04, 2010, 11:19:43 PM »
Reply with quote
Kya baat hai mere bhai........lajawab kar diya aapne, dil se daad kabool kare.....

Meri aukaat to nahi ke main bhi aisa kuch keh saku par jo toota foota samajh me aaya isi mauzu par maine bhi likhne ki koshish ki hai jo aapki is khoobsurat peshkash ki nazar kar raha hu..

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayri-for-dard-e-judai/lautoge-kab-ghayel-t56049.0.html;new

bahoth bahoth shukriya is inayath ka .. apki nazron ka kamal hai sajid sahab baaqi hamari kya bisath...sub apke mahubbath hai jo is tarhan se nawazte ho ..dad ke liye mashkor o mumno hon .. allah tumhe khush rakhe .. waise apke kya kahene hamesha se hi lajawab kahete ho app .. link dene ke liye behad shukriya ..

duwa go

qadeertoopchi
Logged
reyan KHAN
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2010, 07:49:48 AM »
Reply with quote
Kya baat hai TOPCHI saahab.
 ainsa manzar to bade dilwale dekhte hain.
 or aapme wo baat hai,bahut khubsurat dil ko chu gaya
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #9 on: May 05, 2010, 02:15:38 PM »
Reply with quote
Kya baat hai TOPCHI saahab.
 ainsa manzar to bade dilwale dekhte hain.
 or aapme wo baat hai,bahut khubsurat dil ko chu gaya

karam nawazi ke liye behad mumnoo hon bhai ,, apki mahubbath hai bhaijaan ,, yunhi nawazte rahiyega ,,hausla afzai ke liye fir se shukriya .. allah apko khush rakhe ..

duwa go
qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #10 on: May 05, 2010, 02:17:22 PM »
Reply with quote
Qadeer sahab bhut hi khoobsruti se piroya hai aapne apne jazbato.N ko alfaazo.n mai.n, gaye dino ke saare qisse aankho.N mai lambi lambi qatarein baandhe khade hote hai.N jinko banyaan karna ek mushkil kaam hi nahi bhlke hosla bhi chahiye un beete huway kal se bahar aane ka bhi, aapki is paishkash ke baare mai kya kaha jaaye lafz nhi hai bas itna hi keh sakta hu.N bhut khoob bhut khoob, likhte rahiye

aslam

bhai aslam sahab ,, ya apka badtpan hai jo hame is tarhan se nawazte ho app .. app ke aage hamari kya bisath bhai .. hausla afzai ka shukriya ,,inayath banaye rakhiyega bhaijaan .. allah apko khush rakhe ..

apka bhai

qadeertoopchi
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2010, 04:24:40 PM »
Reply with quote
bohat khoob likha hai qadeer ji...behtareen Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #12 on: May 05, 2010, 09:57:02 PM »
Reply with quote
bohat khoob likha hai qadeer ji...behtareen Applause Applause Applause Applause

shukriya sahab..

qadeertoopchi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2010, 06:27:43 AM »
Reply with quote
Wah Qadeer ji.bahut dard bhari nazm aapne pesh kiya.apne bachpan ke ehsaaso ko bahut khoobsurti se likha.great work.keep it up.excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: May 06, 2010, 11:51:08 AM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Qadeer Bhai, aapki nazm ne aakhon ke saamne manzar kheench diya.....jaise aankhain wo sab dekh rahi hon jo aapne likha hai......Aur mere paas lafz nahin ki kuch likhun, bas aap ki nazm dil ke qareeb se guzar gayi......
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:40:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer