hamesha yaad rakhen gay (by vb)

by vb on September 28, 2013, 12:01:43 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 785 times)
vb
Guest
Reply with quote


Faqat kuch saal he pehlay
Buhat majboor say ho kar
Baray maasoom lehjay main
Hazoor-e-ghaib main hum ne
Faqat ye ilteja ki thi
K ab duniya k melay main
Hamara jee nahi lagta
Hamen dunya say jaana hay
Kisi ko aazmaana hay
Sar-e-baazaar logon say
Bhe hum ne iltejaa kit hi
Faqat ik bad-dua day do
Faqat ik bad-dua day do

Ab akser sochtay hen hum
Kisi maasoom say dil ne
Yaqeenan bad-dua di thi
K ab wo bad-dua jaisay
Hamen jeenay nahi deti
Wohi ik bad-dua lekin
Hamen marnay nahi deti
Na-jaanay kitnay din ab bhi
Hamen jeena na marna hay
Kisi ko yaad karna hay
Kisi ki bad-dua hum ne
Azal say yaad rakhi hay
Abad tak yaad rakhen gay
Kisi maasoom say dil ko
Hamesha yaad rakhen gay!
Hamesha yaad rakhen gay!

*-----------------------*

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil ne tanhaio mein hamesha tujhe yaad kiya hai by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Bhualane par bhi hamesha YAAD aate hai by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
hamesha by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hamesha yaad aaungi main...........LLK by leena loves kamlesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Unki Yaad Hamesha by sinha_0005 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 28, 2013, 01:11:10 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat nazm hai

Hamen dunya say jaana hay
Kisi ko aazmaana hay
Sar-e-baazaar logon say
Bhe hum ne iltejaa kit hi
Faqat ik bad-dua day do
Faqat ik bad-dua day do.. ek pal ke liye is kirdaar ko mahsoos kiya..to chehre pe muskarahat aa gayee..
kyon..pata naheen



Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2013, 01:18:19 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob.



Faqat kuch saal he pehlay
Buhat majboor say ho kar
Baray maasoom lehjay main
Hazoor-e-ghaib main hum ne
Faqat ye ilteja ki thi
K ab duniya k melay main
Hamara jee nahi lagta
Hamen dunya say jaana hay
Kisi ko aazmaana hay
Sar-e-baazaar logon say
Bhe hum ne iltejaa kit hi
Faqat ik bad-dua day do
Faqat ik bad-dua day do

Ab akser sochtay hen hum
Kisi maasoom say dil ne
Yaqeenan bad-dua di thi
K ab wo bad-dua jaisay
Hamen jeenay nahi deti
Wohi ik bad-dua lekin
Hamen marnay nahi deti
Na-jaanay kitnay din ab bhi
Hamen jeena na marna hay
Kisi ko yaad karna hay
Kisi ki bad-dua hum ne
Azal say yaad rakhi hay
Abad tak yaad rakhen gay
Kisi maasoom say dil ko
Hamesha yaad rakhen gay!
Hamesha yaad rakhen gay!

*-----------------------*


Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #3 on: September 28, 2013, 01:30:26 AM »
Reply with quote


Faqat kuch saal he pehlay
Buhat majboor say ho kar
Baray maasoom lehjay main
Hazoor-e-ghaib main hum ne
Faqat ye ilteja ki thi
K ab duniya k melay main
Hamara jee nahi lagta
Hamen dunya say jaana hay
Kisi ko aazmaana hay
Sar-e-baazaar logon say
Bhe hum ne iltejaa kit hi
Faqat ik bad-dua day do
Faqat ik bad-dua day do

Ab akser sochtay hen hum
Kisi maasoom say dil ne
Yaqeenan bad-dua di thi
K ab wo bad-dua jaisay
Hamen jeenay nahi deti
Wohi ik bad-dua lekin
Hamen marnay nahi deti
Na-jaanay kitnay din ab bhi
Hamen jeena na marna hay
Kisi ko yaad karna hay
Kisi ki bad-dua hum ne
Azal say yaad rakhi hay
Abad tak yaad rakhen gay
Kisi maasoom say dil ko
Hamesha yaad rakhen gay!
Hamesha yaad rakhen gay!


Wwaaaaaaaaaahhhh !!!!! Alfaaz naheen hain is tilismaati aur pur fusoon nazm ki taareef ke liye ....jis fiqr aur jamaal se taameer kiya hai ise apne VB us ke liye apko anginat daad aur mubaarakbaad !!!



Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 28, 2013, 08:34:17 AM »
Reply with quote
waah waah
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2013, 01:16:24 PM »
Reply with quote


Faqat kuch saal he pehlay
Buhat majboor say ho kar
Baray maasoom lehjay main
Hazoor-e-ghaib main hum ne
Faqat ye ilteja ki thi
K ab duniya k melay main
Hamara jee nahi lagta
Hamen dunya say jaana hay
Kisi ko aazmaana hay
Sar-e-baazaar logon say
Bhe hum ne iltejaa kit hi
Faqat ik bad-dua day do
Faqat ik bad-dua day do

Ab akser sochtay hen hum
Kisi maasoom say dil ne
Yaqeenan bad-dua di thi
K ab wo bad-dua jaisay
Hamen jeenay nahi deti
Wohi ik bad-dua lekin
Hamen marnay nahi deti
Na-jaanay kitnay din ab bhi
Hamen jeena na marna hay
Kisi ko yaad karna hay
Kisi ki bad-dua hum ne
Azal say yaad rakhi hay
Abad tak yaad rakhen gay
Kisi maasoom say dil ko
Hamesha yaad rakhen gay!
Hamesha yaad rakhen gay!

*-----------------------*



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #6 on: September 28, 2013, 04:13:55 PM »
Reply with quote
bahot achey, dheron daaad  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: September 28, 2013, 08:30:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut pyaari nazm.. behad khoooooooob.. dheron dheron daaaaaad..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: September 29, 2013, 02:12:13 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah Vb ji, kyaa kehne...!!!
Logged
vb
Guest
«Reply #9 on: September 30, 2013, 04:38:52 PM »
Reply with quote
mkv jee!
jub koi shakhs doosron say burai say pesh aata hay tu yaqeenan wo aisay he hay jaisay koi logon say bad-dua ki bheek maang raha ho... and aison par hansna, buri baat nahi... taarifi kalemat ka shukriya...
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: September 30, 2013, 04:40:45 PM »
Reply with quote
Advo.RavinderaRa jee, zarraa jee, sksaini4 jee, Iqtedar jee, aqsh jee and ~Hriday~ jee!

aap sub ka buhat shukriya...
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #11 on: October 01, 2013, 04:52:30 PM »
Reply with quote
wah wah
Logged
vb
Guest
«Reply #12 on: October 01, 2013, 08:59:59 PM »
Reply with quote
shukriya...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:08:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer