Har akshar ko kavita ki talaash hai~ Abhi

by AbhiTamrakar on December 10, 2010, 09:55:52 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6022 times)
AbhiTamrakar
Guest
Reply with quote
Dosto kabhi kabhi ham likhne wale likhte likhte bhool jate hain ki ham bhi kabhi naye the ham bhi bahut bura likha karte the fir dheere dheere kuchh theek thak likhna seekha..or bhoolkar ham logo ko padhte waqt unki rachna ko kavita>sher>shayari se compare karne lagte hain jabki hame khud hi pata nnahi hota ki asal me iske or bhi kitne roop hain..eise me ham kuchh logo ka jaane anjaane dil tod diya karte hain..
Bas eise hi kisi waqyat ko padhkar maine ye chhoti si kavita likhi hai, nahi janta ye sahi he ya nahi kisi lihaaj se par likhne chahta tha so likh di..



Har pal me he bat koi
Har shabda ek sansaar hai,
Har lamhe me ek zindagi beet jani he,
Har akshar ek kavita ka saar hai...

Har pustak kitni viraat hai,
Har panne par kitne raaz hai,
syahi har boond shabdon ko peechhe chhode,
Har akshar ko ek kavita ki talaash hai...

Har pankti sher naya ban jatii hai,
Har choupayi ne ek shayari chhupayi hai,
Dhoond rakhe he gazal ne sheron ke teer kai,
Har dil ke paas apni ek rubaai hai...

Har bar chehra jhuta nahi hota,
Har pankti ne yahi baat uthai hai,
kavita kya hai kisise puchhne kyun jaun,
Har shabd ne milkar ek tasveer banai hai~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakhri akshar by jindagi in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Abhi aur baki hai (Poori Kavita aur Adhori Zindagi) by Rajeev_bekhudi in Shayri for Khumar -e- Ishq
dhai akshar prem ka unko samjh mein aaye nahii by ripan dev in Miscellaneous Shayri
!!!..Kala Akshar..!!! by nashwani in Ghazals
akshar bol padte hai, by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 10, 2010, 10:33:41 AM »
Reply with quote
wahhhhwhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh abhi ji kya baat hai......maza aaya padhkar..aur kuch likhne ka dil bhi kiya kai din baad.... koshish karungi sare shabdon ko dhundhkar jodkar kuch achcha banane ki.....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #2 on: December 10, 2010, 10:41:07 AM »
Reply with quote
Mast hai Abhi ji..... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Tera har shabd ek kavita hai
Har akshar ek sher hai.....
Akshar aur shabd bane Gazal
Kavita aur sher bane Najm....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: December 10, 2010, 10:43:50 AM »
Reply with quote
Bahut Hi Sundar Likha Hai Wah !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2010, 12:46:00 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Bahaut khoob bhai..!
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #5 on: December 10, 2010, 01:29:23 PM »
Reply with quote
nice poetry with true feelings abhi....cute n sweet
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: December 10, 2010, 07:02:12 PM »
Reply with quote
Wah! kya peshkash hai Abhi Ji
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: December 11, 2010, 05:17:53 AM »
Reply with quote
wahhhhwhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh abhi ji kya baat hai......maza aaya padhkar..aur kuch likhne ka dil bhi kiya kai din baad.... koshish karungi sare shabdon ko dhundhkar jodkar kuch achcha banane ki.....

jai shri ram~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2010, 05:18:26 AM »
Reply with quote
Mast hai Abhi ji..... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Tera har shabd ek kavita hai
Har akshar ek sher hai.....
Akshar aur shabd bane Gazal
Kavita aur sher bane Najm....

hmm achhi koshish he koyaliya..

no ji business~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: December 11, 2010, 06:25:05 AM »
Reply with quote
Bahut Hi Sundar Likha Hai Wah !

dhanyawad rishi ji~ yunhi sath dijiye~
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: December 13, 2010, 01:02:44 AM »
Reply with quote
I m agree with u ABHI !theek hee kah rahe ho...
Logged
poonam singh
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2010, 11:27:22 AM »
Reply with quote
abhi ji sabse pehle to is sundar rachhna ke liye daad kabool kijiye.ye humaare liye garv ka vishey hai ki itne bhavuk aur samvedansheel shayar is yoindia pariwar ka hissa hai.ishwar aapki kalam ko shohrat bakhshey.par is rachhna ke liye jo prashtbhumi aapne di hai usse me sehmat nahi hu.jis waqyat ka jikr aapne kiya wo maine bhi pada hai.par mujhe nahi lagta ki us baat ke liye hume unki saarvjanik aalochhna karni chahiye.likhte samay wo thoda rude jarur hui.agar unhone apni baat thodi mitaas se kahi hoti to hm sabhi ko jada khushi hoti.aur fir is manch ka sahi uddheshey hi yahi hai ki hum nishpakhsh ho kar comments de.aapki vyaktigat rai par tippadi karne ka muje koi aadhikar nahi hai par aapko chhota bhai mante hui ye sab likhna ka sahas kar rahi hu.dekhiye abhi bhai hum sab yaha apni uljhane bhul kar sukun ke liye aate hai bus is mauhaal me koi kisi ke liye gile shikwe na rakhe bus yehi ishwar se prathana karti hu.pls ise vyaktigat na le.khush rahiye likhte rahiye.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #12 on: December 14, 2010, 07:35:19 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Bahaut khoob bhai..!

dhanyawad rahim bhai..yunhi sath rahiye...
apke copmments padhkar bada achha lagta he~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #13 on: December 14, 2010, 07:37:09 AM »
Reply with quote
nice poetry with true feelings abhi....cute n sweet
jai ram ji ki ...

itna sookha reply dene se pehle tera keyboard jam kyu nhai gaya~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #14 on: December 14, 2010, 07:37:43 AM »
Reply with quote
Wah! kya peshkash hai Abhi Ji

rajesh bhai..apne saraha wahi bahut he..

bahut bahut shukriya~
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:34:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer