hazaar gham hen zamaanay men (by vb)

by vb on November 27, 2013, 09:57:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 730 times)
vb
Guest
Reply with quote


Hazaar gham hen zamaanay men tera gham he nahi
Jigar bhe chaak hay jin par ye aankh nam he nahi


Kabhi tu apnay he wattan men aa k dekh zara
Har ake chouk pay bhookay bhikaariyoN ki sada

Ye dekh! Sard havaaoN say bachaanay k liyay
Liya hay maaN ne apnay laal ki takhti ko jala

Na-jaanay sheher men pheli hui hay kaisi vaba
K haspataal say ghaaib huay tabeeb-o-dava

Anaaj tak ko jalaatay hen haasideen, kahin
Kisi kisaan k khetoN say dekh dhuaaN utha

TaraqiyoN ki manaazil ko gaam-zan hay jahaaN
Faqeeh-e-sheher k ghar say bhe uthay sharm-o-haya

Ye qatl-o-ghaarat-e-insaaN usi k haathoN say
Ye ranj-o-karb men doobay huoN ki aah-o-baqa

KahiN tu bhook ne daalaa hua hay dera, kahiN
Nai rasoom k peechhay hua khaanay ka zi’aa

Shikast ho gaya qanoon-o-zaabtay ka wajood
K jub ameer k dar par koi ghareeb jhuka

Ye roze roze siyaasat k nayay makr-o-fareb
K pashemaan hay waadoN pe jin k rooh-e-wafa

KahiN khareed li zardaar ne kisi ki wafa
Tu kahiN bhook ne bazaar men bechi hay qaba

Phata na aasmaaN, k mil k sheher vaaloN ne
Kisi ghareeb ki nanhi kali ko noch liya

Ye jang jis men qatal ho rahay hen kitnay javaaN
Kabhi yahaN, kabhi wahaN koi janaaza utha

Hazaar gham hen zamaanay men tera gham he nahi
Jigar bhe chaak hay jin par ye aankh nam he nahi

Magar ye dekh meray dard-naak naghmoN ne
Kiya kabhi tu faqat tujh say he kalaam kiya

Kabhi chali tu teray gesoovoN ki baat chali
Kabhi roya tu kabhi shikva-e-aalaam kiya

Teray yaaqoot taraashay huay hontoN ki qasam
Tera he zikr kiya, subuh kiya, shaam kiya

Magar ye dukh bhe meray dil ko jalay ga sada
K teri chaahatoN k rekhton ko aam kiya

Meray lahoo k taraanay, meray ashkon ka fasooN
Sukhan-gari ye qalam, ik teray he naam kiya


Hazaar gham hen zamaanay men tera gham he nahi
Jigar bhe chaak hay jin par ye aankh nam he nahi
Mera qalam teri aaghoshe say lipta hay, sahi!
Nahi, k meri sukhan-aavari men dam he nahi


*-----------------------*

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
(*^**Nakherey Hazaar*^**) by Sonu in Love Poetry in Punjabi « 1 2  All »
Roo-b-roo, go ki, bahaaney hazaar kartee hun! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Do hazaar baarah chalaa.... by abdbundeli in Occassion Specific Poetry
Sisak kar is zamaanay men (by vb) by vb in Ghazals
GHAM HAZAAR MUJHE by surindarn in Shairi - E - Zindagi
Saman Firdaus
Guest
«Reply #1 on: November 27, 2013, 10:02:52 PM »
Reply with quote
Wahh!!! wahh!!! wahh!!!
Har ek sher bahot hi umda hai... Marvellous..

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: November 27, 2013, 10:48:48 PM »
Reply with quote
Ye dekh! Sard havaaoN say bachaanay k liyay
Liya hay maaN ne apnay laal ki takhti ko jala

Anaaj tak ko jalaatay hen haasideen, kahin
Kisi kisaan k khetoN say dekh dhuaaN utha

TaraqiyoN ki manaazil ko gaam-zan hay jahaaN
Faqeeh-e-sheher k ghar say bhe uthay sharm-o-haya

Phata na aasmaaN, k mil k sheher vaaloN ne
Kisi ghareeb ki nanhi kali ko noch liya

Ye jang jis men qatal ho rahay hen kitnay javaaN
Kabhi yahaN, kabhi wahaN koi janaaza utha


Bahut khoob janaab bahut khoob, yuN hi likhte rahiye aur bazm ko raushan karte rahiye. HazaaroN daad aur ek Rau meri taraf se.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: November 28, 2013, 01:30:32 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
bohut khub
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: November 28, 2013, 01:40:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 28, 2013, 01:48:35 PM »
Reply with quote
buhat shukriya aap sab ka...
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: November 28, 2013, 01:56:23 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 28, 2013, 04:12:18 PM »
Reply with quote
bahut khoob

thanx...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:01:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer