mamta bajpai
Guest
|
HooN agar aag mai sholoN ko bujhaoN kaise? jo mai hooN aab to phir aag lagaaoN kaise?
zindagee mushkiloN kaa dariyaa hai paar kashtee ko kinaare se lagaaoN kaise?
zakhm haNs haNs ke saje dard kee dukaanoN me wo bhee apnoN se mile haiN ye bataaoN kaise?
ashq sab qaid kiye zabt ke kaashaane me raNg chehare kaa sare bazm chupaaoN kaise?
baad muddat ke koi gul saa khilaa hai dil me usko duniyaa kee nigaahoN se bachaaoN kaise?
Mamta Bajpai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
vb
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 21, 2010, 03:30:02 PM » |
|
Buhat khoob mamta bajpai jee!
yahan say guzar huva tu kahay baghair na raha gaya k buhat khoob likha aap ne...
hum jaantay hain k hum ramooz-e-shairi main bilkul naa-pukhta hain.. lakin 2nd sher ko parh kar hamen laga.. k first misra beher k baahir tu nahi.. lakin is ki beher koi aur hay is ghazal ki beher say nahi.. agar ye ghazal is beher say hotee tu sher kuch yoon hota shayad....
zindagi mushkilon ka darya hay paar kashti ko lagaaoon kaisay?
baaki tamaam sher hamen buhat khoobsurat or beher main perfect lagay.. n buhat maani-khez bhe hain..
maazerat k saath daad qabool kejay...buhat khoob..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 22, 2010, 12:53:30 AM » |
|
Shukriyaa VB jee!aap ne durust farmaayaa...mai aap kee rai se ittefaaq rakhtee hooN...kabhee aasaan see baat bhee zehan se pare ho jaatee hai...aap ne kitani aasaanee se or khoobsuratee ke saath islaah kee ...ek baar phir aap kaa behad shukriyaa...hum bhee ramooz-e-shairi ke taalib e ilm hee haiN.or jo kuch bhee thoRa bahut haasil kiyaa woh aap sabhee kee sohbat kaa hee asar hai..... Mamta Bajpai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 22, 2010, 11:22:41 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 22, 2010, 11:34:22 AM » |
|
bahut khoob mamta jiiii......... kya bat kahi hee sare ashar gajaz dhaa gay he is baar..
dherooon daaad.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
brokenbyluv
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 22, 2010, 04:14:50 PM » |
|
Bahut khoob mamta ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 25, 2010, 05:23:19 PM » |
|
Kasak jee! bahut bahut shukriyaa!aap ne humaare khayaaloN ko jo izzat bakhshi hai hum uske behad shukrguzaar haiN...jahaaN tak thoughts ki baat hai to woh khud b khud hi khayaaloN ki dahleej par aa khade hote haiN...or kuch haasil e zindagi ki bhi meharbaani hum par hai...aap ne pasand kiyaa , achchha laga ...ek baar phir se housla baRhaane ke liye shukriyaa.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 25, 2010, 05:25:14 PM » |
|
Thanks a lot Baadal jee!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 25, 2010, 05:26:29 PM » |
|
shukriya Brokenbyluv jee!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 25, 2010, 05:27:44 PM » |
|
Abhi der saa dhanyawaad!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 26, 2010, 05:23:13 PM » |
|
Koyal dher saare dhanyawaad ke saath tumheN dher saaraa pyaar bhee....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 27, 2010, 12:30:52 PM » |
|
Inaayat hai aapki.....I need that love....thanks....Mamta-di Koyal dher saare dhanyawaad ke saath tumheN dher saaraa pyaar bhee....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
manjupandey
Guest
|
|
«Reply #14 on: May 06, 2011, 02:56:48 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|