HUM BANPHOOL HAIN

by mamta bajpai on May 14, 2010, 05:35:24 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2214 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
CHANDNI RAAT ME DHOOP KI CHADAR BICHA LETE HAIN
HUM LOG BIYABAAN ME BHI SAHARA KA MAZA LETE HAIN

KYON BEKAR BAHATI HO ASHKON KE PANEELE MOTI
YE SHABNAMI QATARE HUME ROZ KAHAN DIKHTE HAIN

HUM BANPHOOL HAIN VEERANO ME BHI KHIL JAYEN
SHAHAR KE PHOOL BADI SHAISTGI SE KHILTE HAIN

FIZAON ME BIKHAR JAYEN RANG-O-BOO KE NAZARE
AISE SUHANE MOUSAM HUME KAHAN SE MILTE HAIN

ZINDAGI JISKI THI USKO HI ATA KAR DI HAMNE
BAAD MUDDAT KE MUH DHAANP KE HUM SOTE HAIN
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 14, 2010, 06:09:56 PM »
Reply with quote
kuch alag hi andaaz hai aapke likhne ka ki hume aapki kavitaayein padhne ke liye majboor karti hai. kavita sabhi likhte hain par aapka likha padhke aisa lagta hai jaise bhasha bhi sharma jaaye. alankaaron ko aap itni khoobsurti se apne kavitaon me istmaal karte hain ki kya kahen. bahut bahut sundar kavita likhi hai aapne Mamta ji.... bahut hi sundar....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2010, 07:50:09 PM »
Reply with quote


shahar key phool badi shaistgi sey khiltey hain....bahut khoob mamta ji Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: May 15, 2010, 03:01:54 PM »
Reply with quote
KLASKAR JI KOTISH DHANYWAAD! AAP KE DWARA KI GAYEE PRASHANSHA MUJHE ATYADHIK PROTSAHIT KARTI HAI.IS SE POORV AUR IS BHANTI MUJHE KISI NE BHI PROTSAHIT NAHI KIYA.PUNAH AAPKO SADHUWAAD PRADAN KARNA CHAHOONGI.SAATH HI YE APEKHSA BHI KAROONGI KI AAP MERI TRUTIYON PAR BHI DHYAN DE KAR MUJHE INGIT KARENGE.AAP KE MADHYAM SE MUJHE EK UTKRISHT AALOCHAK MILEGA JISSE MERI RACHNAYEN AUR PARISHKRIT HO KAR NIKHAR PAYEN.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #4 on: May 15, 2010, 03:34:31 PM »
Reply with quote
teesra aur chautha shair bahot khoob hai


bahot khareeb se tu ne dekha hai zindegi ko...
tere ashaar iss baat ki gawahi dete hain......


Logged
Ek_Shayar
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2010, 04:58:04 PM »
Reply with quote
Nazar ji ye tu tera kya hota hai. Kya aise daad di jati hai. Urdu ki nafaasat bhool gaye ?
teesra aur chautha shair bahot khoob hai


bahot khareeb se tu ne dekha hai zindegi ko...
tere ashaar iss baat ki gawahi dete hain......



Logged
gul.b.ar.ga
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2010, 05:44:01 PM »
Reply with quote
Nazar ji ye tu tera kya hota hai. Kya aise daad di jati hai. Urdu ki nafaasat bhool gaye ?

huzoor a wala eak shayar sahab ,, kai aise azeem shayar aur urdu daan ne tu aur tera se muqatib howe hain apne ashar me ..

tu aur tera se murad kabhi yarana mizaj bhi hota hai ahemaqana nahi.. apki tanqeed pagal pan ki dalil hai .. nazar sahab se adban guzarish hai ke wo kis andaz me muqatib the tarjumani kar den ..


Khair andesh..

Gul.ba.r.ga.

Logged
minhaj.saif
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2010, 06:09:44 PM »
Reply with quote
abdul qadeer bhai ne jo roshni daali hai 'tu aur tera' pe to mein samjhta hoon aap jaise aqel-e- faheem rakhne waale ke liye itna kaafi hai..mujhe lagta hai aapne bahut zyada padhliya ya phir zauq-e-shayeri ki zer-o-zabar tak bhi risai na ki hoo,, qadeer sahaab ne jo tashreeh ki hai "yarana mizaj " bahot khoob hai.nazar sahaab aap bhi thodi si tashreeh karden to munasib hoga.
Nazar ji ye tu tera kya hota hai. Kya aise daad di jati hai. Urdu ki nafaasat bhool gaye ?
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #8 on: May 15, 2010, 06:40:28 PM »
Reply with quote
ZAHE NASEEB NAZAR SAHEB!!!AAP KI DDAD MERI QALAM KO AABAD KARTI HAI.TAHE DIL SE SHUKRIYA.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: May 15, 2010, 06:41:39 PM »
Reply with quote
wah mamta saheba bahoth qoob ,, dad hazir hai qubool karen .. apka andaz hi nirala hai ..allah apko khush rakhe


qadeertoopchi
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: May 15, 2010, 06:45:39 PM »
Reply with quote
SHUKRIYA QADEER BHAI
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: May 15, 2010, 09:13:55 PM »
Reply with quote
Main aap logon ka likha hua padh padh ke hi sikh raha hoon. Mujhe kuch khaas likhna nahi aata. Achcha lagta hai aap sabka likha padh ke. Naya naya bahut kuch sikhne ko milta hai. Main bahut naya hoon is kshetra mein. Jise khud vishay ka gyaan nahi wo dusre ki trutiyaan kahaan dhund paayega. Waise aapke lekh me truti mil paana asambhav hai...!!!

KLASKAR JI KOTISH DHANYWAAD! AAP KE DWARA KI GAYEE PRASHANSHA MUJHE ATYADHIK PROTSAHIT KARTI HAI.IS SE POORV AUR IS BHANTI MUJHE KISI NE BHI PROTSAHIT NAHI KIYA.PUNAH AAPKO SADHUWAAD PRADAN KARNA CHAHOONGI.SAATH HI YE APEKHSA BHI KAROONGI KI AAP MERI TRUTIYON PAR BHI DHYAN DE KAR MUJHE INGIT KARENGE.AAP KE MADHYAM SE MUJHE EK UTKRISHT AALOCHAK MILEGA JISSE MERI RACHNAYEN AUR PARISHKRIT HO KAR NIKHAR PAYEN.
Logged
harish Thakur
Guest
«Reply #12 on: May 16, 2010, 05:35:42 AM »
Reply with quote
Zindagi jiski thi us ko hi ata kar di hamne
baad muddaton ke munh dhaanp ke sote hai

Mamta ji thora khiskne ke baad khoob sambhala, ye sher nahin gazab ka sher hai...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: May 16, 2010, 05:38:20 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA HARISH JI!!!AAP KE PROTSAHAN KI APEKCHA KARTI RAHOONGI.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #14 on: May 16, 2010, 05:42:22 AM »
Reply with quote
KLASKAR JI MAI BHI IS KSHATRA ME ABHI HI AAYEE HOON.ISKE PAHLE HINDI KAVITA ME KUCH PRAYAS KIYE THE.JO APRAKASHIT HAIN.AAPKI SATEEK SAMALOCHNA KI MAI PHIR BHI AKANKSHA KARTI RAHOONGI.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:59:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer