hume ek wazood banaaya tune MAA... Intezar !

by Intezar on December 11, 2010, 02:31:25 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2323 times)
Intezar
Guest
Reply with quote

   Ki hard dard khud seh kar, hume bada kiya tune Maa
   Ki aaj hume is jahaan kaa ek wazood banaaya tune Maa,

   Na siskiyaan dekhi gayi tujhse hamaari,na aansu hi kabi
   Raat raat bhar jaagkar hume chain se sulaayaa tune Maa,

   Har wo cheez laa kar di jiski zid par humne khaana na khaya
   Phir goad mein bitha kar apne haatho.n se khilaaya tune Maa

   Kitni hi sharaaratein, kitni hi galtiyaan humne ki hongi magar
   Har baar daant kar khud apne seene se hume lagaaya tune Maa

   Har tufaan se bachaaya hume,  har dard se mehfooz rakha aur,
   bhigne na diya baarish me bhi karke duaaon ka saaya tune Maa

   kabhi jo chot lag jaye hume khel khel mein, aankh teri bhar aati
   phir bade pyar se hamare zakhmo par marham lagaaya tune Maa

   ki ajab teri hasti hai Maa,teri koi misaal nah sab jaante hain
   dard hokar bhi hamari khushi k liye har baar muskuraya tune Maa

   ghar laut te shaam ko jab der ho jaati hai gar kabhi to phir mere
   Laut aane tak suni raahon se nazaro ko na kabhi hataaya tune Maa

   Kadee dhoop milti hai jab in raston par kaheen raah chalte hume to
   bahut yaad aati hai us anchal ki chhaw jisme tha chhupaya tune Maa

   Shukriya
   Intezar !
[/color][/size][/font]
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2010, 03:16:07 PM »

Bahut hi adab bhare alfaz likhe hai apne intezar ji..sach mein maa ka pyar anmol hota hai hame unhe poore dil se shukriya karna chahiye apna [yar humper lutane k liye..maa jaisa iss duniya mein aur koi nhi hota...dil se bahut pasand aayi apki ye peshakash mujhe...bahut shukriya itne khubsurat alfaz likhne k liye...take care..Usual Smile
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2010, 04:43:21 PM »
Reply with quote
Behtareeen INTEZAR ji....is khoobsurat kalaam ke liye.....
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2010, 05:49:33 PM »
Reply with quote
Shukriya Geet ji... aapne sahi kaha ki MAA jaisa koi aur duniya mein nahin... Bahut Bahut Shukriya aapka... !

Intezar !

Bahut hi adab bhare alfaz likhe hai apne intezar ji..sach mein maa ka pyar anmol hota hai hame unhe poore dil se shukriya karna chahiye apna [yar humper lutane k liye..maa jaisa iss duniya mein aur koi nhi hota...dil se bahut pasand aayi apki ye peshakash mujhe...bahut shukriya itne khubsurat alfaz likhne k liye...take care..Usual Smile
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2010, 05:51:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Irshad bhai... aapka bahut bahut shukriya aapko pasand aaya...

Intezar !

Behtareeen INTEZAR ji....is khoobsurat kalaam ke liye.....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2010, 05:53:19 PM »
Reply with quote
Bahot khoob Intezar Sahab. Aapne sahi farmaya, maa ka koi badal nahi. Maa ke Jo ahsanaat hum par hain unhen chukana ghair-mumkin hai. Albatta  khidmat aur farmabardari se agar usko khush rakha jaaye to khushnaseebi ki baat hai. Bahot khoob takhleeq hai.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: December 11, 2010, 05:57:32 PM »
Reply with quote
Shukriya Riyaz bhai... aapne is par gaur kiya uske liye bahut bahut shukriya... aur karz to hum par itna hai Maa ka ki.. kitni bhi umre lagen kabhi chuka nahin paayenge... khush rehiye... saath rehiye... shukriya aapka...

Intezar !

Bahot khoob Intezar Sahab. Aapne sahi farmaya, maa ka koi badal nahi. Maa ke Jo ahsanaat hum par hain unhen chukana ghair-mumkin hai. Albatta  khidmat aur farmabardari se agar usko khush rakha jaaye to khushnaseebi ki baat hai. Bahot khoob takhleeq hai.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: December 11, 2010, 06:01:14 PM »
Reply with quote
intezaar ji.....padhte padhte hi aankhein bhar ai...bht hi pyaar se likhi gai hai aapki ye peshkash...ek bete ne apni ma k liye jo fel kiya dil se bas wahi pyaar  wahi izat hai isme.....uss shakhs kliye kuch kar k khush karne ki chahat haiisme..... bas yunhi dil se likhte rahiye......
aapki ek behtareen peshkash hai ye..hamesha sambhal k rakhne layak......
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2010, 06:09:02 PM »
Reply with quote
maine bhi jab likhna shuru kiya tha to 2-4 lines likhte hi samjho jaise aankhe bhar aayi thi ek ajeeb sa feel tha ise likhte wakt... ye sab uski duaayein hain us maa ki jo hume mehfooz rakhti hai... hum kuch bhi karen kabhi kuch zaada nahin kar sakte uske liye... aapke dil tak ye baat pahunchi uske liye bahut bahut shukriya... Kasak ji...

Intezar !

intezaar ji.....padhte padhte hi aankhein bhar ai...bht hi pyaar se likhi gai hai aapki ye peshkash...ek bete ne apni ma k liye jo fel kiya dil se bas wahi pyaar  wahi izat hai isme.....uss shakhs kliye kuch kar k khush karne ki chahat haiisme..... bas yunhi dil se likhte rahiye......
aapki ek behtareen peshkash hai ye..hamesha sambhal k rakhne layak......
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010

View Profile
«Reply #9 on: December 12, 2010, 05:24:18 AM »
Reply with quote
yaar Intezaar---- rulaya mat kar aise.
ye KB bhot emotional banda hai--
ghar se duur akela rahta hai aise me ye kavita padh ke aankhe bhar ai--wo to bhala ho meri ankho ka ke ansu aajtak bahar nhi aye warna gir jaate ansu aaj.
yahi karan tha ke mai padhta nhi Maa aur riston ke upar likhi kavitayen.
Bahut Ehsaas aur pyar bhari kavita--
mere hisse ki wo duayen jo meri maa ne mujhe diya wo tere naam.
khus raho----

Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: December 12, 2010, 05:37:25 AM »
Reply with quote
maa ki duaayein bahut jaada hoti hai... jo baanto bhi dusro ko to kam nahin hoti KB bhai...  aap kyun aise dard samet kar rakhte ho... us maa ki duaayein uske har wazood par humesha rahegi... aur aap door ho kar bhi maa se door nahi hote... bas aap apna khayal rakho aur maa ko yaad rakho sab badhiya hoga bhai... !

Intezar !

yaar Intezaar---- rulaya mat kar aise.
ye KB bhot emotional banda hai--
ghar se duur akela rahta hai aise me ye kavita padh ke aankhe bhar ai--wo to bhala ho meri ankho ka ke ansu aajtak bahar nhi aye warna gir jaate ansu aaj.
yahi karan tha ke mai padhta nhi Maa aur riston ke upar likhi kavitayen.
Bahut Ehsaas aur pyar bhari kavita--
mere hisse ki wo duayen jo meri maa ne mujhe diya wo tere naam.
khus raho----

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 12, 2010, 11:06:26 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat peshkash hai intezar Ji
Logged
Yaash
Guest
«Reply #12 on: December 12, 2010, 12:19:41 PM »
Reply with quote
Bahut Achhey Jazbat Hai
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: December 12, 2010, 01:07:28 PM »
Reply with quote
Shukriya Geet ji... aapne sahi kaha ki MAA jaisa koi aur duniya mein nahin... Bahut Bahut Shukriya aapka... !

Intezar !

Welcome ji..
Logged
SHIRAJ KHAN
Guest
«Reply #14 on: December 12, 2010, 02:15:22 PM »
Reply with quote

   Ki hard dard khud seh kar, hume bada kiya tune Maa
   Ki aaj hume is jahaan kaa ek wazood banaaya tune Maa,

   Na siskiyaan dekhi gayi tujhse hamaari,na aansu hi kabi
   Raat raat bhar jaagkar hume chain se sulaayaa tune Maa,

   Har wo cheez laa kar di jiski zid par humne khaana na khaya
   Phir goad mein bitha kar apne haatho.n se khilaaya tune Maa

   Kitni hi sharaaratein, kitni hi galtiyaan humne ki hongi magar
   Har baar daant kar khud apne seene se hume lagaaya tune Maa

   Har tufaan se bachaaya hume,  har dard se mehfooz rakha aur,
   bhigne na diya baarish me bhi karke duaaon ka saaya tune Maa

   kabhi jo chot lag jaye hume khel khel mein, aankh teri bhar aati
   phir bade pyar se hamare zakhmo par marham lagaaya tune Maa

   ki ajab teri hasti hai Maa,teri koi misaal nah sab jaante hain
   dard hokar bhi hamari khushi k liye har baar muskuraya tune Maa

   ghar laut te shaam ko jab der ho jaati hai gar kabhi to phir mere
   Laut aane tak suni raahon se nazaro ko na kabhi hataaya tune Maa

   Kadee dhoop milti hai jab in raston par kaheen raah chalte hume to
   bahut yaad aati hai us anchal ki chhaw jisme tha chhupaya tune Maa

   MAA SE BADH KAR DUNIYAN ME KOI NAHI
 Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:45:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer