Hume tumse mohabbat hai........!!!!

by Talat on June 07, 2005, 06:15:58 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3939 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hume tumse pyar (kishor) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
HUME MOHABAT HAIN TUMSE by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume tumse kuch kehna he..... by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume tumse mohabbat hui hai.. by Raghu Singh in Songs & Lyrics
Hume tumse mohabbat hui hai.. by Raghu Singh in Songs & Lyrics
Friend_4uall
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2005, 12:22:21 PM »
Reply with quote
Excellent Talat..........!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2005, 01:12:24 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Friend !!! i hope you really liked it !!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2005, 03:51:12 PM »
Reply with quote
wah talat!!!!!!!!!!!!!!! puri poem bohot hi khoobsurat hai par yeh lines

"Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge "

mujhe bohot hi achi lagi!!!!!!!!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #4 on: June 08, 2005, 04:51:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!

bohat khoob Talat,each and every line is so beautiful.

these r soooo lovely lines,touched my heart deeply.Gr8 work.
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2005, 06:25:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
wah talat!!!!!!!!!!!!!!! puri poem bohot hi khoobsurat hai par yeh lines

"Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge "

mujhe bohot hi achi lagi!!!!!!!!!

Thanks a lot Meena.....really i am happy i got such a response !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2005, 06:29:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!

wonderfull sis....very touching..............
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: June 08, 2005, 06:30:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"

bohat khoob Talat,each and every line is so beautiful.

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!

these r soooo lovely lines,touched my heart deeply.Gr8 work.

Thanks a lot Nidhi....jab maine ye shayari apne mann me sochi thi (i nvr write on paper..always write in my mind)  tab yeh nahin soch tha ki iska response aisa milega!! thanks yaar !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2005, 06:32:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"

wonderfull sis....very touching..............

Thanks a lot Nikki........... i am feeling very happy for getting such appreciation !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2005, 02:27:46 PM »
Reply with quote
Na jaane kyon bacha rakhen hain ansoo
Abhi shayad mujhe rona bohot hai!!
Ye ankain aur kya dekhen kisi ko
In ankhon ne tujhe dekha bohot hai!!
Na milne ki kasam kha ke bhi maine
Tujhe har raah main dhoonda bohot hai!!

(nm)
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2005, 02:34:18 PM »
Reply with quote
Ek lamha bhi aisa guzarta nahin
jis main tere bare main socha nahin
khyalon pe mere chaaye ho is tarah
chayee ho aasman pe kaali ghata
har pal bas tujhe yaad karta hai dil
milne ko tujh se tadapta hai dil !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: June 09, 2005, 02:51:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob sis..

dekho kissi ki yaadon mein khud ko na mita dena
yaadein to dil ka khazana hoti hain
sambhlna kahin isse na luta dena

woh ayenge ik roz, hai agar dil ko yaqin
to unhe dil mein basaye rakhna, aur aane ki dua dena..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: June 09, 2005, 04:14:20 PM »
Reply with quote
Wah Talat ji..........ur creation is as sweet as ur....wonderful.........i have saved it as word doc....to keep with me as ur memory.....hope u dont mind.....

Kuch toh bat hai jo tumko hi hum bhul nahi pate,
Rahe hum tumse dur par kareeb hum tumhe pate,
Kya hai hamara rishta, Kya naam du isse main,
Jitna bhi sochte hai hum utna hi ulajhte jate.........:-(
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: June 09, 2005, 05:21:24 PM »
Reply with quote
Thanks Nikki....aur bohot achcha kaha hai.........

Thanks Amit !!!.... Its my pleasure that u liked it so much...mujhe nahin pata tha ki meri ye poetry mere friends ko itni pasand aayegi.... and very nice and touching !!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: June 09, 2005, 05:34:57 PM »
Reply with quote
Zindagi ki haqeeqaton ne tadpaa diya hai mujhe bohot
Kabhi neend main meri tum ek khwaab ban ke aa jana

Main chal rahi hoon ghumon se tapte hue sahra ke beech
Jo ho sake to kabhi saraab ban ke saamne aa jaana

Dunya ke is hujoom main, hai mera apna koi bhi nahin
Jis ka har lafz ho mere liye, wo kitaab ban ke tum aa jana

Mere in aansuon ne hi jala diya hai mujhe sanam
Sulag raha hai wujood mera, tum aab ban ke aa jana

Tumhari har baat mere man ko chu jaati hai
Kabhi mere saamne tum kharaab ban ke aa jana

Thak chali hoon main ab yeh ashk bahate bahate
Tumhe soch ke muskura doon aisi yaad ban kar aa jana!!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:48:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer