Humein Bhula Na Paaoge

by Indu Verma on October 15, 2011, 05:52:05 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 920 times)
Indu Verma
Guest
Reply with quote
Priya Suresh, tumhare ye ehsaas dil ko chuu gae,tumhaare pyaar ki phuhaar mein hum tar-batar ho gae.Hum apne khyal tumhe peshe nazar karte hain...

Vo isey judaai mante hain
Hum to isey nazdik aane ka bahaana jaante hain
Kitne anjaan hain vo kehte hain gale naa lagana
Hum kehte hain ki humaare dil hi mein hai aapka thikaana
Humse duur tum naa jaa paaoge
Pal pal humein hi paas paaoge..

Nazar lage, nazar lagane waalo ko
Hum to har nazar mein tumhaara didar karte hain
Duuriyaan mit jaatie hai,faasle simat jaatein hain
Jab bhi dil mein tumhaara khyaal karte hain
Naadan hain wo ki puuchte hain kaise bhula paaenge?
Par kya dil mein rehne waale bhi bhulaae jaate hain?

Hum to bhatakte rehte hain tumhaari yaadon mein
Na din mein chain ,n raat ko sakoon paatein hain
Tum to aansoo bahakar gham galat kar lete ho
Hum to makhota laga haste hue jee jaate hain
Aas mein duniya jeeti hai aur jeeti aai hai
Gham na kar, judaai ki ghadiyaan bhi beet jaati hain..!!
love4
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #1 on: October 15, 2011, 06:01:39 AM »
Reply with quote
nice sharing

«Reply #2 on: October 15, 2011, 06:19:31 AM »
Reply with quote
thanks sunil ji
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2011, 06:26:50 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Indu ji
Par ehsaas aur sacchai me fark hota hai. kash hamare ehsaas SACH ho jaye..
Keep writing..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #4 on: October 15, 2011, 07:19:45 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: October 15, 2011, 07:41:24 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Indu ji kaise shuruaat karein samajh nahin aata.
kehte hain shukriya khaas doston ka kiya nahin jata.

Jo aapne farmaya hai wo sone jitna sach hai.
par aisa  sach itna jaldi apnaya nahin jaata.

Aas mein doonia jeeti zaroor hai,jeeti bhi aai hai.
Toot jaati hai, jab,aapka sarmaya nazar nahin aata.

kitna sach kaha hai aapne ke ek nazar chahiye.
Jisko ek tere siwa kuchh aur nazar nahin aata.

mohabbat ka ehsaas aur gehra hau kuch door chalte hi.
Rab jaanata hai ki humen jhooth bolna nahin aata.

Priya Suresh, tumhare ye ehsaas dil ko chuu gae,tumhaare pyaar ki phuhaar mein hum tar-batar ho gae.Hum apne khyal tumhe peshe nazar karte hain...

Vo isey judaai mante hain
Hum to isey nazdik aane ka bahaana jaante hain
Kitne anjaan hain vo kehte hain gale naa lagana
Hum kehte hain ki humaare dil hi mein hai aapka thikaana
Humse duur tum naa jaa paaoge
Pal pal humein hi paas paaoge..

Nazar lage, nazar lagane waalo ko
Hum to har nazar mein tumhaara didar karte hain
Duuriyaan mit jaatie hai,faasle simat jaatein hain
Jab bhi dil mein tumhaara khyaal karte hain
Naadan hain wo ki puuchte hain kaise bhula paaenge?
Par kya dil mein rehne waale bhi bhulaae jaate hain?

Hum to bhatakte rehte hain tumhaari yaadon mein
Na din mein chain ,n raat ko sakoon paatein hain
Tum to aansoo bahakar gham galat kar lete ho
Hum to makhota laga haste hue jee jaate hain
Aas mein duniya jeeti hai aur jeeti aai hai
Gham na kar, judaai ki ghadiyaan bhi beet jaati hain..!!
love4

Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: October 15, 2011, 08:39:40 AM »
Reply with quote
bahot khoob Indu ji--

aur Suresh ji--aapka bhi jawaab nahi Usual Smile

daaad bahot saari aap dono ke post ko.

muskurate rahie
khus rahie
Usual Smile
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #7 on: October 15, 2011, 08:40:51 AM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower
thanks a lot sarfira ji.
bahot khoob Indu ji--

aur Suresh ji--aapka bhi jawaab nahi Usual Smile

daaad bahot saari aap dono ke post ko.

muskurate rahie
khus rahie
Usual Smile
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: October 15, 2011, 08:47:19 AM »
Reply with quote
u welcm ji Usual Smile
shayd iss post ke SURESH bhi aap hi hain tongue3
icon_flower icon_flower icon_flower
thanks a lot sarfira ji.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: October 15, 2011, 08:56:35 AM »
Reply with quote
bilkul sahi samjha aapne sarfira ji.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:12:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.237 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer