ILM {Knowledge}

by Jaanasheen on May 25, 2009, 11:47:15 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 6001 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote

Ilm insaniyat ka paiqar hai
Ilm ik raushni hai rahbar hai

Ilm fikr o aman ki chadar hai
Ilm darasl ik samandar hai

Ilm qaumo ka taj hotah ai
Ilm beshak samaj hota hai

Ilm haqqaniyat ka parcham hai
Ilm wahdaniyat ka parcham hai

Ilm insaniyat ka parcham hai
Ilm apnaiyat ka parcham hai

Ilm chahat ka hai alambardar
Ilm se aayi hai jaah.n me bahar

Ilm kirdar ki alamat hai
Ilm hi me chupi hidayat hai

Ilm fanno adab ki zeenat hai
Ilm ki char su hukumat hai

Ilm se har taraf ujala hai
Ilm ‘Kavish’ baland o bala hai

Ilm rakhta hai qaum ko aabaad
Ilm mazloom ki sune fariyad

Ilm amn o aman ka gahwara
Ilm hai sabki aankh ka tara

Ilm hi se hui jahalat door
Ilm anwar e haye kooh e toor

Ilm ne bakhsha zindagi ko shaoor
Ilm zahn o dil hue masroor

Ilm rabb e Jahan ka farmaan
Ilm hai wajah e surat e imaan

Ilm hai aitmaad ka baani
Ilm ki kijiye kadardaani.

Ilm rasta bhi aur Manzil bhi
Ilm kashti bhi aur sahil bhi

Ilm rab ki taraf se ik tohfa
Ilm ho to na khao tum dhokha.

Ilm hota hai qaum ki pahchan
Ilm se aadmi bana insaan

Ilm se aasmaa.n me kar parwaz,
Ilm ‘Kavish’ ye deta hai aawaaz..

-NM-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2009, 09:06:17 PM »
Reply with quote
bahaut khoob Azeem bhiajan... Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2009, 02:21:18 AM »
Reply with quote
Nice sharing Azeem Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2009, 03:32:41 AM »
Reply with quote
very nice sharing azeem ji,thanx, Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2009, 05:07:43 AM »
Reply with quote

Ilm insaniyat ka paiqar hai
Ilm ik raushni hai rahbar hai

Ilm fikr o aman ki chadar hai
Ilm darasl ik samandar hai

Ilm qaumo ka taj hotah ai
Ilm beshak samaj hota hai

Ilm haqqaniyat ka parcham hai
Ilm wahdaniyat ka parcham hai

Ilm insaniyat ka parcham hai
Ilm apnaiyat ka parcham hai

Ilm chahat ka hai alambardar
Ilm se aayi hai jaah.n me bahar

Ilm kirdar ki alamat hai
Ilm hi me chupi hidayat hai

Ilm fanno adab ki zeenat hai
Ilm ki char su hukumat hai

Ilm se har taraf ujala hai
Ilm ‘Kavish’ baland o bala hai

Ilm rakhta hai qaum ko aabaad
Ilm mazloom ki sune fariyad

Ilm amn o aman ka gahwara
Ilm hai sabki aankh ka tara

Ilm hi se hui jahalat door
Ilm anwar e haye kooh e toor

Ilm ne bakhsha zindagi ko shaoor
Ilm zahn o dil hue masroor

Ilm rabb e Jahan ka farmaan
Ilm hai wajah e surat e imaan

Ilm hai aitmaad ka baani
Ilm ki kijiye kadardaani.

Ilm rasta bhi aur Manzil bhi
Ilm kashti bhi aur sahil bhi

Ilm rab ki taraf se ik tohfa
Ilm ho to na khao tum dhokha.

Ilm hota hai qaum ki pahchan
Ilm se aadmi bana insaan

Ilm se aasmaa.n me kar parwaz,
Ilm ‘Kavish’ ye deta hai aawaaz..

-NM-





verii verii naaaice sharing AZEEM BHAI...OUT STANDING....YEHI TO EK DAULAT HAI KOI CHORI NAHI KAR SAKTAA HAI
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2009, 11:00:15 AM »
Reply with quote
Very nice...very meaningful....Nice sharing, Azeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 26, 2009, 11:08:01 AM »
Reply with quote
waah behatareen aur behad achhi sharing Azeem just grt  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Kaash Ji,.

bahaut khoob Azeem bhiajan... Applause

Shukriya Rahim Bhai,.

Nice sharing Azeem Ji
SARVESH RASTOGI

Shukrioya Sarwesh Ji,.


very nice sharing azeem ji,thanx, Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Madhuwesh Ji./




verii verii naaaice sharing AZEEM BHAI...OUT STANDING....YEHI TO EK DAULAT HAI KOI CHORI NAHI KAR SAKTAA HAI

Sahi Kaha Aapne K A Bhai, And Thank U,.

Very nice...very meaningful....Nice sharing, Azeem

Shukriya Talat Sis,.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #7 on: July 06, 2009, 07:46:00 AM »
Reply with quote
 
BAHUT ACHCHI SHARING ILM PER AZEEM SAHAB Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 07, 2009, 03:44:38 AM »
Reply with quote

BAHUT ACHCHI SHARING ILM PER AZEEM SAHAB Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:59:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer