Insaan kahaan hain !

by shara63 on November 21, 2012, 06:58:14 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1419 times)
shara63
Guest
Reply with quote
Hindu bhi yahaan hain, Musalmaan bhi yahaan hain
is bheed me na jaane Insaan kahaan hain

Pundit bhi yahan hain aur Qaazi bhi yahaan hain
Poochho to zaraa unse Eemaan kahaan hai

Ik saans tumhaari hai aur ik saans hamaari hai
in saanson me zara dhoondo, pehchaan kahaan hai

Aapas me ladwakar, khud ko kahlaate hain aaqaa
bichhdon ko mila den jo, voh nigehbaan kahaan hain

Baat baat par jhagde, bin baat ko hatyaaen
gar phir bhi ye Insaan hain to shaitaan kahaan hain

Masjid kaheen tooti, to Mandir yahaan roya
aise me ab vo Allah aur Bhagwaan kahaan hain

Hindu bhi yahan hain Musalmaan bhi yahaan hain
is bheed me na jaane Insaan kahaan hain ??...........'ainy'
Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: November 21, 2012, 07:20:49 AM »

shara jee kin alfazoN meN tareef karuN. behad umda, sachcha aur dil se kaha gaya kalaam hai dheroon daaad qubool kijiye, ek rau zaroor deta lekin aaj subhah de chuka Hun..ek se zyada nahi de sakta na ek din meN...

"Aarish"
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: November 21, 2012, 07:21:15 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
prashad
Guest
«Reply #3 on: November 21, 2012, 07:36:04 AM »
Reply with quote
bahut khoob, dhero dad
Logged
nisha bhatia
Guest
«Reply #4 on: November 21, 2012, 07:39:25 AM »
Reply with quote
v Nyc
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012

View Profile WWW
«Reply #5 on: November 21, 2012, 07:54:46 AM »
Reply with quote
Hindu bhi yahaan hain, Musalmaan bhi yahaan hain
is bheed me na jaane Insaan kahaan hain

very true

Pundit bhi yahan hain aur Qaazi bhi yahaan hain
Poochho to zaraa unse Eemaan kahaan hai

yahan Qaazi ki jagah imaam achha lagta,i think

Ik saans tumhaari hai aur ik saans hamaari hai
in saanson me zara dhoondo, pehchaan kahaan hai

Applause Applause

Aapas me ladwakar, khud ko kahlaate hain aaqaa
bichhdon ko mila den jo, voh nigehbaan kahaan hain

very nice

Baat baat par jhagde, bin baat ko hatyaaen
gar phir bhi ye Insaan hain to shaitaan kahaan hain

good one

Masjid kaheen tooti, to Mandir yahaan roya
aise me ab vo Allah aur Bhagwaan kahaan hain

mazjid mein na mandir mein
 RAB to rehta hai dil mein.

Hindu bhi yahan hain Musalmaan bhi yahaan hain
is bheed me na jaane Insaan kahaan hain ??...........'ainy'

very beautiful shara Applause Applause Applause
Logged
Sunil Malhotra
Guest
«Reply #6 on: November 21, 2012, 08:09:44 AM »
Reply with quote
bahut bahut bahut pyara ehsas...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
shara63
Guest
«Reply #7 on: November 21, 2012, 08:18:56 AM »
Reply with quote
Aarish sb, aapke ye hausla-bakhsh alfaaz hi mere liye kaee rau ke barabar hain..main to bas aap sabki tawajjo ki kwahish-khwaan hoon, aur mujhe waqai khushi hai ke itne pur-asr andaaz me aapse vo tawajje hasil hui hai...meri dili shukria qubool karen !!
Logged
shara63
Guest
«Reply #8 on: November 21, 2012, 08:29:47 AM »
Reply with quote
Yoindia ke 'Member of the Year' se apne kalaam ko recognisition aur daad milna mere lie waqai fakhr ki baat hai...Bahut bahut shukria Khwahish sb !
Logged
shara63
Guest
«Reply #9 on: November 21, 2012, 08:38:11 AM »
Reply with quote
Sahal sb bahut bahut shukria!...aapne har sher par ek alag andaaz se jo evaluation kiya hai woh waqai bemisaal aur qaabile ehsaan hai...aapke salaah ka main khairmaqdam karti hoon...Imam word waqai behtar option hota...aainda zaroor khayaal rakhoongi!!

shara 'ainy'
Logged
shara63
Guest
«Reply #10 on: November 21, 2012, 08:40:32 AM »
Reply with quote
Sunil Malhotra ji, ek saath itne sare claping smilies dekhkar mera dil bagh bagh ho gaya...mere kalaam ko uska inaam mil gaya....bahut bahut shukria in hausla bakhsh alfaz ke liye!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #11 on: November 21, 2012, 08:53:32 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 21, 2012, 08:59:01 AM »
Reply with quote
bahut waqt ke baad kisi ko is tarah se sampradaayiktaa ke upar likhte dekha hai, ahcha laga, kaafi mature peshkash hai, umeed karta hun aage v aap yuNhi shirkat karti rahengi....
Logged
shara63
Guest
«Reply #13 on: November 21, 2012, 09:25:31 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukria Prashad ji!
Logged
shara63
Guest
«Reply #14 on: November 21, 2012, 09:27:31 AM »
Reply with quote
Thankyou Nisha Bhatia ji !
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:24:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer