ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN - SARVESH RASTOGI

by SARVESH RASTOGI on May 04, 2009, 01:20:51 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4230 times)
SARVESH RASTOGI
Guest
Reply with quote
Dosto Steel (ISPAT) ek basic material hai jiske bina sabhyata nahin panap sakti.   Loha taqat ka ek roop hai.  Loha lena, lohe ke chane chabana aadi muhabare bhi chalan me hain.  Isi Lohe aur Ispat per main apni ye khubsurat kavita pesh kar raha hun.  Is kavita me ISPAT apne source, condition, process, history, use/misuse, science aur mythology ke adhaar per apna parichay khud de raha hai.  Dosto, aapke comments ka intazar rahega:


MAIN SABHYATA KA CHINH HUN MAIN PRAGATI KA AADHAR HUN
MAIN SHANTI KI AWAZ HUN MAIN KRANTI KA HATHIYAR HUN

SAUHARD ME MAIN MITRA HUN VAISHAMYA ME UTPAAT HUN
ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN

BHUGARBH MERA SHROT MERA AADI LAUH AYASK HAI
MANAV YUGON SE AAJ TAK MERE KHANAN ME VYAST HAI

KAISE AYASK SWAROOP SE YEH ROOP HAI MUJHKO MILA
HAI ATI KATHIN NIRMAN SHODH VIKAS KA YEH SILSILA

IS KARYA ME HAI GARV MUJHKO AGRANI BHARAT RAHA
DELHI KA LAUH STAMBH HAI ISKI GAWAHI DE RAHA

SANYANTRA ME LA PRATHAM LAUH AYASK KO KOOTA GAYA
PHIR KOYALE KE SAATH BHATTI ME USE THOOSA GAYA

BHISHAN TAPISH KE BAAD PHIR DRAV ROOP ME MAIN BAH CHALA
UNNAT BAHUT HAI AAJ MUJHKO SHUDDHA KARNE KI KALA

TAP AGNI ME SONA CHAMAKATA YEH PURANI BAAT HAI
JO AAG ME JAL KAR NIKHARTA AAJ WOH ISPAT HAI

MAIN HI ASHOK STAMBH HUN SANSAR KE UDDHAR KO
MAIN HI BHAWANI KHADG HUN DURDAITYA KE SANGHAR KO

JO PAPION KO KAAT DE SHRI KRISHNA KA WOH CHAKRA HUN
KURUKSHETRA ME TAN-TRAN KO MAIN PARTH RATH KA CHHATRA HUN

VIDYUT SADRASH JISKI CHAMAK SE SHATRU-DAL THA KAAMPTA
HAI GARV MUJHKO MAIN WOHI HUN BHAAL VEER PRATAP KA

MAIN HUN GADA HANUMAN KI TRIPURARI KA TRISHUL HUN
MAIN PHOOL HUN MAIN SHOOL HUN ANUKOOL HUN PRATIKOOL HUN

JALYAAN VAYUYAAN ROCKET UPAGRAH YA RAIL HO
HAI KAUN SA WOH UPAKARAN JISME NA MERA KHEL HO

UDYOG KRASHI VYAPAR RAKSHA SURAKSHA SHIKSHA TATHA
VIGYAN AUR TAKNIK HAI NIRBHAR MUJHI PER SARVATHA

JO CHAND PER PAHUNCHA PRATHAM WOH YAAN MERA ANSH THA
JAPAN PER BOMB ROOP ME MAINE KIYA VIDHWANS THA

YADI DURUPYOG KIYA GAYA TO PRALAY KA TOOFAN HUN
SAD-KARYA ME UPYOG HO TO PRAKRATI KA VARDAN HUN

MAIN BANSURI BAN KAR BAJUN TO KOKILA KI KOOK HUN
JO CHEER GAI GANDHI KA SEENA MAIN WOHI BANDOOK HUN

ANTIM GUJARISH HAI YAHI MERA UCHIT UPYOG HO
SANSAR KI SEWA NIHIT BAS SHANTI-PURN PRAYOG HO

MAIN PURNIMA KA CHANDRA HUN MAIN HI AMAVAS RAAT HUN
ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN

SARVESH RASTOGI
PHONE 9810391523
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
IS WATAN KE LIYE - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shairy-E-Watan
KUCHH SHER (PT-1) - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
CHAURAHE PE MAIN RUK KE - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Aa jao ki ab in aankhon main barsaat utarti jati hai - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
ISPAT-KARMI (STEELMEN) - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Occassion Specific Poetry
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2009, 05:29:58 AM »
Reply with quote
Dosto Steel (ISPAT) ek basic material hai jiske bina sabhyata nahin panap sakti.   Loha taqat ka ek roop hai.  Loha lena, lohe ke chane chabana aadi muhabare bhi chalan me hain.  Isi Lohe aur Ispat per main apni ye khubsurat kavita pesh kar raha hun.  Is kavita ki lambai ko dekhte hue ise do part me post karunga.  Is kavita me ISPAT apne source, condition, process, history, use/misuse, science aur mythology ke adhaar per apna parichay khud de raha hai.  Dosto, aapke comments ka intazar rahega:


PART-I

MAIN SABHYATA KA CHINH HUN MAIN PRAGATI KA AADHAR HUN
MAIN SHANTI KI AWAZ HUN MAIN KRANTI KA HATHIYAR HUN
SAUHARD ME MAIN MITRA HUN VAISHAMYA ME UTPAAT HUN
ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN

BHUGARBH MERA SHROT MERA AADI LAUH AYASK HAI
MANAV YUGON SE AAJ TAK MERE KHANAN ME VYAST HAI
KAISE AYASK SWAROOP SE YEH ROOP HAI MUJHKO MILA
HAI ATI KATHIN NIRMAN SHODH VIKAS KA YEH SILSILA
IS KARYA ME HAI GARV MUJHKO AGRANI BHARAT RAHA
DELHI KA LAUH STAMBH HAI ISKI GAWAHI DE RAHA

SANYANTRA ME LA PRATHAM LAUH AYASK KO KOOTA GAYA
PHIR KOYALE KE SAATH BHATTI ME USE THOOSA GAYA
BHISHAN TAPISH KE BAAD PHIR DRAV ROOP ME MAIN BAH CHALA
UNNAT BAHUT HAI AAJ MUJHKO SHUDDHA KARNE KI KALA
TAP AGNI ME SONA CHAMAKATA YEH PURANI BAAT HAI
JO AAG ME JAL KAR NIKHARTA AAJ WHO ISPAT HAI


                              to be continued in Part-II
SARVESH RASTOGI
PHONE 9810391523


S.R AAPNEY TO STEEL KAA EK REAL VALUE DIKHAAYAA HAI...BAHAUT ACHCHA
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #2 on: May 04, 2009, 07:22:25 AM »
Reply with quote
Shukriya Khamosh Ji
Is poem ka second part aur bhi khubsurat hoga jo ek-do dino me post karunga.
Thanks again
SARVESH RASTOGI
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: May 04, 2009, 07:40:41 AM »
Reply with quote
Wah Bhoot hi khoob.Aapki kavita mea sachai bakoobi bayan hoti hai...

waiting for next part. (Plz post in the same thread Usual Smile )
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #4 on: May 04, 2009, 09:13:30 AM »
Reply with quote
Shukriya Sophi Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 04, 2009, 09:22:23 AM »
Reply with quote
BOhat Achche Sarvesh Bhaiya, A
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: May 04, 2009, 02:01:33 PM »
Reply with quote
ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN


PART-II

MAIN HI ASHOK STAMBH HUN SANSAR KE UDDHAR KO
MAIN HI BHAWANI KHADG HUN DURDAITYA KE SANGHAR KO

JO PAPION KO KAAT DE SHRI KRISHNA KA WOH CHAKRA HUN
KURUKSHETRA ME TAN-TRAN KO MAIN PARTH RATH KA CHHATRA HUN

VIDYUT SADRASH JISKI CHAMAK SE SHATRU-DAL THA KAAMPTA
HAI GARV MUJHKO MAIN WOHI HUN BHAL VEER PRATAP KA

MAIN HUN GADA HANUMAN KI TRIPURARI KA TRISHUL HUN
MAIN PHOOL HUN MAIN SHOOL HUN ANUKOOL HUN PRATIKOOL HUN

JALYAAN VAYUYAAN ROCKET UPAGRAH YA RAIL HO
HAI KAUN SA WOH UPAKARAN JISME NA MERA KHEL HO

UDYOG KRASHI VYAPAR RAKSHA SURAKSHA SHIKSHA TATHA
VIGYAN AUR TAKNIK HAI NIRBHAR MUJHI PER SARVATHA

JO CHAND PER PAHUNCHA PRATHAM WOH YAAN MERA ANSH THA
JAPAN PER BOMB ROOP ME MAINE KIYA VIDHWANS THA

YADI DURUPYOG KIYA GAYA TO PRALAY KA TOOFAN HUN
SAD-KARYA ME UPYOG HO TO PRAKRATI KA VARDAN HUN

MAIN BANSURI BAN KAR BAJUN TO KOKILA KI KOOK HUN
JO CHEER GAI GANDHI KA SEENA MAIN WOHI BANDOOK HUN

ANTIM GUJARISH HAI YAHI MERA UCHIT UPYOG HO
SANSAR KI SEWA NIHIT BAS SHANTI-PURN PRAYOG HO

MAIN PURNIMA KA CHANDRA HUN MAIN HI AMAVAS RAAT HUN
ISPAT HUN ISPAT HUN MAIN JAAN LO ISPAT HUN

SARVESH RASTOGI
PHONE 9810391523
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: May 04, 2009, 02:57:20 PM »
Reply with quote
Quote
MAIN HUN GADA HANUMAN KI TRIPURARI KA TRISHUL HUN
MAIN PHOOL HUN MAIN SHOOL HUN ANUKOOL HUN PRATIKOOL HUN

JALYAAN VAYUYAAN ROCKET UPAGRAH YA RAIL HO
HAI KAUN SA WOH UPAKARAN JISME NA MERA KHEL HO

UDYOG KRASHI VYAPAR RAKSHA SURAKSHA SHIKSHA TATHA
VIGYAN AUR TAKNIK HAI NIRBHAR MUJHI PER SARVATHA

 Applause Applause Applause
Atisunder .... Superb
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: May 04, 2009, 03:05:15 PM »
Reply with quote
Mindblowing Sarvesh ji.. sach kaha aapne. yea rachna tho behad khubsurat hai.. bahoot hi sunder ashaar se aapne isko sajaya hai..

Dont worry. aapki anumati k bina main yea merge nahi karungi Usual Smile
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #9 on: May 04, 2009, 03:52:58 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Atisunder .... Superb

Shukriya Roja Ji
Meharbani
SARVESH RASTOGI
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2009, 03:25:48 AM »
Reply with quote
Shukriya Sophi Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2009, 03:26:50 AM »
Reply with quote
Shukriya Jaanasheen
SARVESH RASTOGI
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: May 05, 2009, 10:51:25 AM »
Reply with quote
bahut khoob Sarvesh ji Applause Applause
aapki next post ka bhi intezaar rahega...
Logged
salma786
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2009, 11:02:36 AM »
Reply with quote
Behtareen Clapping Smiley
Ek naya vishay .... nayi bhavna, bahoot acha likha hai apne Sarvesh ji... Applause Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #14 on: May 05, 2009, 11:58:02 AM »
Reply with quote
bahut khoob Sarvesh ji Applause Applause
aapki next post ka bhi intezaar rahega...


Shukriya Diya Ji
Aapki Tarif aur Talian shayar ka inam hain, Thanks.
Is kavita ka second part aur bhi jyada khubsurat hai, zaroor padhiye.  ISPAT HUN - SARVESH RASTOGI ke naam se Miscellaneous Shayri me post kiya ja chuka hai.  Kindly do post your comments.  Main aapke jawab ka muntazir hun. 
All the Best.
SARVESH RASTOGI
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:35:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer