~*~ Iss qadar kyun dil laga liya sahib ~*~ by Rahim

by dead heart on January 08, 2011, 03:18:29 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1571 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Jiss shaks ka zikr aksar iss nadan ki nazmon main hota hai, ussi shaks ne ek baar mujhe ek drawing di thi..Ek angel ki drawing..Woh drawing meri fav hai aj tak aur usse zada khubsoorat painting kuch nahin lagti..
uss painting main woh angel udaas hai, ankhein nam hai aur haathon main ek gulab hai..
Doston woh painting jab kabhi bhi dekhta hoon, toh aisa lagta hai kay usne yeh kehte hue diya tha kay jab kabhi bhi dekhoge, yehi awaz ayegi 'Main bewaffa na thi'.. Sochta tha kay uspe kuch likhunga mager kabhi kalam ne saath na diya..Aj kuch likha hai uss par..

Kabhi kabhi kuch lavz aise hote hai kay ap chahte hai kay ap usse har nazm main use karein..I am in love with the word 'Sahib'..So I am using it again..

Hum bewaffa hargiz na the mager,
Ek wafa hi thi jo hum kar na sake sahib..

Kaun kehta hai tumhe bhoola diya hai maine,
Tumhara diya gulab aj bhi tham rakha hai sahib..

Meri ankhon main ek baar jhank kar dekh liya hota,
Tumhe apni hi tasveer dikh jati sahib..

Mana teri yaadon ka janaza utha hai zindagi se,
Kabrastan mager mere dil main hi bana hai sahib..

Galti humari nahin tumhari hi thi mere dost,
Ek insaan se kyun iss qadar dil laga liya sahib..

Har baar ek hi ek cheez likhte rehte ho nazmon main ‘Khamosh’,
Apne apko shayar bulane se pehle likhna toh seekh liya hota sahib..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gham ko gale se laga liya by SHONA in Shayri-E-Dard
~*~ Ansuon kay siva diya kya Sahib ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
<>*Teri yaadon ka marhum laga liya*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri-E-Dard
~*~ Mujhko Qadar Hoti Nahin ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Aapki Rahon Mein Chalna Is Qadar Achha Laga by pradeep srivastava raunaq in Ghazals
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 08, 2011, 04:49:02 PM »
Reply with quote
nice one
Jiss shaks ka zikr aksar iss nadan ki nazmon main hota hai, ussi shaks ne ek baar mujhe ek drawing di thi..Ek angel ki drawing..Woh drawing meri fav hai aj tak aur usse zada khubsoorat painting kuch nahin lagti..
uss painting main woh angel udaas hai, ankhein nam hai aur haathon main ek gulab hai..
Doston woh painting jab kabhi bhi dekhta hoon, toh aisa lagta hai kay usne yeh kehte hue diya tha kay jab kabhi bhi dekhoge, yehi awaz ayegi 'Main bewaffa na thi'.. Sochta tha kay uspe kuch likhunga mager kabhi kalam ne saath na diya..Aj kuch likha hai uss par..

Kabhi kabhi kuch lavz aise hote hai kay ap chahte hai kay ap usse har nazm main use karein..I am in love with the word 'Sahib'..So I am using it again..

Hum bewaffa hargiz na the mager,
Ek wafa hi thi jo hum kar na sake sahib..

Kaun kehta hai tumhe bhoola diya hai maine,
Tumhara diya gulab aj bhi tham rakha hai sahib..

Meri ankhon main ek baar jhank kar dekh liya hota,
Tumhe apni hi tasveer dikh jati sahib..

Mana teri yaadon ka janaza utha hai zindagi se,
Kabrastan mager mere dil main hi bana hai sahib..

Galti humari nahin tumhari hi thi mere dost,
Ek insaan se kyun iss qadar dil laga liya sahib..

Har baar ek hi ek cheez likhte rehte ho nazmon main ‘Khamosh’,
Apne apko shayar bulane se pehle likhna toh seekh liya hota sahib..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: January 08, 2011, 05:21:18 PM »
Reply with quote
"mana teri yaadon ka janazaa----
behtareen line Rahim bhai.
har baar ki tarah ek aur dil ko chu ti hui peshkash.
bahut rahiye
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2011, 07:02:14 PM »
Reply with quote
Shukriya Manoj jee aur KillBill jee..
Khush rahiye..!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2011, 07:36:39 PM »
Reply with quote
Rahim Sahib Aadaab!

Janab ahsaas o khayaal achche hai..
AshaaroN meiN dhale bhi bus aur thodi mehnat karte
to behad khoob kalaam ban jaati...

Khair aapki is kalaam per daad..



Kisi ko naa koi raaz bataana sahib
Be yakeeni ka hai ye zamaana sahib

Bebas na karde you humara paas aana sahib
Achcha nahi hota dil ka lagaana sahib         




Likhate rahiye..
Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2011, 09:18:07 PM »
Reply with quote
Jee shukriya Parwaaz jee..
Khoob lines..
Khush rahiye..!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: January 09, 2011, 03:12:48 AM »
Reply with quote
kya baat hai rahim bhai... Good one hai ji...

Intezar!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: January 09, 2011, 06:33:05 AM »
Reply with quote
Shukriya Intezar bhai..!
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:59:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer