itnay khamosh raat k saayay (by vb)

by vb on July 22, 2011, 09:00:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1798 times)
vb
Guest
Reply with quote


Itnay khaamosh raat k saayay
Aaj tu may-kada bhe veeraan hay
Dard k bay-amaan jazeeron say
Sheher ki har gali, faseelon say
Uski jhooti shabeeh ubharti hay
Tanz karti hay, mujh pay hansti hay
Sochta hun k uthun, ghar jaaun
Ya yahin may-kaday men mar jaaun

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
KHAMOSH RAAT by SairaKhan in Shayri-E-Dard
Khamosh Raat {Thakshak by majid in Share Video
itnay khafa... (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Khamosh Raat Mein, Sannaaton ,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
guest
Guest
«Reply #1 on: July 25, 2011, 04:41:57 PM »
Reply with quote
khamoshi, veerani, jazeeray and jhooti shabeeh...who knows who is right/wrong, magar jhooti shabeeh ki har nishani ko jala kar, bhool kar, roshniyon ko awaz do
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: July 26, 2011, 08:53:45 AM »
Reply with quote


Itnay khaamosh raat k saayay
Aaj tu may-kada bhe veeraan hay
Dard k bay-amaan jazeeron say
Sheher ki har gali, faseelon say
Uski jhooti shabeeh ubharti hay
Tanz karti hay, mujh pay hansti hay
Sochta hun k uthun, ghar jaaun
Ya yahin may-kaday men mar jaaun




 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 icon_scratch icon_scratch Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: July 26, 2011, 08:54:37 AM »
Reply with quote
khamoshi, veerani, jazeeray and jhooti shabeeh...who knows who is right/wrong, magar jhooti shabeeh ki har nishani ko jala kar, bhool kar, roshniyon ko awaz do



 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: July 26, 2011, 11:55:59 AM »
Reply with quote
guest jee! ye shabeeh kisi ne apni keh kar hamen dikhai thi.. usay tu aag laga chukay hain... lakin tasavur ko bhe aag lag jaayay... dua kejay...

mashwaron ka thanx... ho saka tu amal karen gay... aakhir.. aur loug bhe tu kar he saktay hain...
Logged
guest
Guest
«Reply #5 on: July 26, 2011, 02:17:59 PM »
Reply with quote
mashwaray nahi hakeekat, har pehlo ke phases hotay hain (taras se leke nafrat tak) har phase guzar jaata hay, jaisey din aur raat..phir naya din nayi subah ke saath aata hay...patience and time are best healers...yehi un tasavuraat ko, shabeeh ko, saayay ko or uskay har aik naam-o-nishaan ko mitaayenge, bad dua na sahi, kisi ki dua ka asar ik na ik din hoga...
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: July 26, 2011, 02:45:06 PM »
Reply with quote
g.. sahi kaha aap ne... aisa he ho ga... din pata nahi kisay kehtay hain.. but din zaroor aayay ga.. hay na?  .... ::up

you know... aap ki and hamaari dictionary main kuchh definitions ka faraq hay... aap ki haqeeqat ki duniya main... din main sooraj nikalta hay... roshini ho jaati hay... hum tasavur ki duniya main rehtay hain... yahaan raat rehti hay... yahan ka din kisi ne dekha ho.. hum ne nahi dekha kabhi..... jitna andhera hota hay... utnay he chehray saaf nazar aatay hain... ye duniya aap ne nahi dekhi... wo duniya hum nahi dekhna chahtay...
hamaari duniya main din kaisa ho ga .... hum nahi jaantay... but as you said... din nikal aayay ga... us din ka intezaar rahay ga hamen...
Logged
guest
Guest
«Reply #7 on: July 26, 2011, 03:02:15 PM »
Reply with quote
zaroor hoga farak, sirf dictionaries mein he nahi...
waisey bhi, tasavur ki duniya mein bhi din jald anay kee aas hay, saaf hakeekat, koi tasavur ki dhund nahi, koi ojhal chehray nahi...yeh din jiska zikr hamne kiya na yeh is duniya se hay na us duniya say...yeh woh roshni hay jo dil mein rehti hay, jisay dhoond ke khud ko aur apne jahan ko roshan karna hota hay, sab gham and jhooteen 'shabeeh' bhula ke...
apni dictionary side pe rakh ke hamari borrow kije kuch pal ke liye, shayed definitions clear hone kuch...
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: July 26, 2011, 03:24:36 PM »
Reply with quote
ye faraq bhe sirf is liyay hay.. k aap k saamnay haqeeqat hay... wohi nazar aati hay aap ko... haqeeqat dam na tore day kahin bus... aur hamaray samnay... sirf saayay.. shabeehen... dhund.... chehron say lay kar ehsaasaat tak tasavur k marhoon hain... isi roshni ki talaash main niklay huay hain hum .... jis say shabeehen saaf nazar aanay lagen... lakin naakaam ho gayay hain... aas ne yaas ka roop dhaaar liya hay... pata nahi kitni he kirnon ki zaroorat the abhi... un-ginat kirnon ki... lekin..ake kiran tak ko taras gai aankh...kitnay baar hamen haar jaanay ka ehsaas dilaayay ga koi... hum haar gayay hain..
Logged
guest
Guest
«Reply #9 on: July 26, 2011, 04:03:04 PM »
Reply with quote
hakeekat dam na tore day?? is that what u want?

jis talaash main niklay hain, gar usnay dam tore diya?
...shaam dhalnay say tu chehray bhi nazar aanay band ho jatay hain, phir dhund, saayay sab k sab kahan ghum hotay hain koi nahi janta, aur talaash mein niklay musaafir...ki akhri manzil gharonda hoti hay...wohi musafir gar safar pe niklay talash ki bajaye, tu yeh aas, kiranon ke roop...rang nazar aatay hain, or unhein talashna nahi hota, woh aas paas hotay hain, bas zara nazariya change karna hota hay  
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: July 26, 2011, 04:26:45 PM »
Reply with quote
bura laga na kuchh...

waisay matlab aisa nahi tha...
musafir he raatay main dam na tore day... <---<

musaafir he dam tore gaya na.. tu manzilen tarsen gi tarsaanay ko... baaki raastay etc say hamen kuchh ghharaz nahi.. lakin manzil...  aur haan... har musaafir ki manzil sirf gharonda nahi hoti... saath sirf umar bhar k liyay nahi hotay....
Logged
guest
Guest
«Reply #11 on: July 26, 2011, 04:45:05 PM »
Reply with quote
bura lagna bhi hakeekat hay aur hakeekat bhi hakeekat hay...

dam koi bhi tore sakta hay, lekin kuch cheezon kabe-wakt dam torna acha nahi, aur kuch ka zinda rehna acha nahi (means na-mumkin tasavur or khwahishon ka dam torna he behtar)

sirf talaash pe nilay he tu musafir nahi hotay, zindagi khud aik safar hay, kuch ke liye manzil ka safar, kuch ke liye raaston ka safar...manzil mil chuki ho tu nayi talash mein nikalana acha nahi...

Logged
vb
Guest
«Reply #12 on: July 26, 2011, 04:59:21 PM »
Reply with quote
dam tortay tu jisay dekha, bay-waqt he dekha.... tasavuraat ko zeher pilaayaa jaa sakta ho ga... hum wo pyaalaa khud pee lena behtar jaanen gay... waisay isi na-mumkin ko hum mumkin samjhtay hain... farq sirf ye hay k aap ne bhe manzil ko ake pathar ki amaarat samajh rakha hay... aur hum ne bhe aisa he jaanaa hay.. lakin hamaara tasavur hamen kehta hay... k kaisa ho? .. k manzil musafir ko dhutkaar na rahi ho... balkay khud musafir ki taraf chal rahi ho... Nasir sahab ka sher yaad ho ga aap ko...

bus ake manzil hay boo-ul-havas ki, hazaar rastay hain ehl-e-dil k
yehi tu hay farq us men mujh men, guzar gaya main, theher gaya wo
.........
Logged
guest
Guest
«Reply #13 on: July 26, 2011, 05:57:16 PM »
Reply with quote
gar tasavuraat ko he dafan kar diya gaya hota, tu yeh zeher aur bad-duaon ki khwahishen paida hee na hoteen...
kuch cheezein na-mumkin hee theek...aur kuch pathar pe likhi lakeeron ke samaan hee hotee hain...
aik aur na-mumkin sa tasavur-manzil ko hamne apni taraf bhi kabhi chal ke aatay nahi dekha...acha hay na thehar gaya jo, mausam ki tarah badla nahi, perh ki tarah tham hi gaya jaisey
Logged
vb
Guest
«Reply #14 on: July 26, 2011, 08:54:51 PM »
Reply with quote
sahi kaha hay... hum badaltay he rahay hen but kabhe kisi k mayar par puray nahe utar sakay... experiments fail hotay rahay... Lakin koi hay jo nahe badla... tab bhe hamaray ilawa sari dunya usay share kar sakti the... ab bhe. tab bhe hamen dhakay deta raha
ab bhe...
aap ki manzil to pata nahe kya hay but musafir ap he ki taraf ata raha hay. ap ko nazar nahe aya, face more rakha hay na ap ne....

Wesay thanx... ap ki ye post hamari doosri post men zyada jachti...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 04:51:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer