jaane kaise..................

by purani_jeans_aur_guitar on September 21, 2006, 12:16:38 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1240 times)
purani_jeans_aur_guitar
Guest
Reply with quote
jaane kaise unki nazro se kuch raaz nikal gaye
   jaane kaise unke hontho ke alfaz badal gaye
         jaane kaise mere dil per gum ka badal baras gaya
           zami man ki sukhi rahi,amber ruh ka taras gaya
       per hua chahe kaise bhi ye dil to phir tut hi gaya na
        bandha tha jo ummido ka daman akhir chut hi gaya na
        aur phir ghir aayi hai ye faqat tanhayi .....jisse hardam maine wafa hai paayi.....
       dil chahta hai gungunaalu main bhi PHIR wahi nazm...........jo gungunaate hai'AKSAR' MAIN AUR MERI TANHAYI

.....................@fahi@...............................
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2006, 01:40:34 PM »
Reply with quote
Good one Fahi !!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: September 22, 2006, 05:10:56 AM »
Reply with quote
Very nice Fahi.... =D>
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 22, 2006, 05:39:42 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Fahi ......too good... Usual Smile

baldale masum chahye kitne
per yah dil ke andaaz na badlenge
jurra hai jab yeh preet ka bandhan
toh yeh mizaaz fir kaise badalenge
kar le chahye tu kitni bhi berukhi hamse
yeh lafaz fir bhi tere hi geet likhenge
hai tanah sabhi is zindagi ke safar mein
yeh chand alfaaz hi hamsafar ab tere mere humsafar banenge!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2006, 11:53:18 AM »
Reply with quote
shukriya aapka.................

       in chand alfaazo ko.......jinhe aaj, aap apna keh rahe hai
 wahi alfaaz jo mere dil mai aaj jeene ka surur bankar beh rahe hai

  kabhi dil mai mere chubhe the teer bankar,
 ankhon se bahe katro mai neer bankar
dil mera ahista se toda bhi inhi ne tha
 zindagi se muh moda bhi inhi ne tha

per meri dil ki lagi ne inhe phir dillagi ka naam diya
jaane kaise ,magar......... jaati hui jeene ki tamanna ko ruh mai thaam liya
bhulakar inse sikwe gile,lagaya inhe haskar gale

 aur, zindagi ki raaho per phir se chalne lage hum
 mili jo khusiya khud se unme dhalne lage hum
 aur bhul gaye ki kabhi in alfaazo ne mujhe kya uphaar diya tha..............sayad jeete jee hi maar diya tha.............haan jeete jee hi mujhe maar diya tha.

.................@fahi@.........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: September 24, 2006, 03:44:05 AM »
Reply with quote
kisi ke dil ke saath guajre do pal bhi sakoon de jaate hain'
jeete hain hum kabhi apne liye bhi hum aksar yeh kyu bhul jaate hain

kuch ehsaas jo kabhi mere dil ke murjha gaye hain
teri baato se naye hosale naye rasate mujhe dikh jaate hain

kabhi koi margtrishana si payaas mere dil mein jagi
toh tere yahi lafaz mujhe apne andar behte dariya se mila jaate hain

tu hi  hai saath mere in lafazo mein chipa hua .........
yeh baat soch kar hum har baat dil ki jubaan se keh jaate hain!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: September 24, 2006, 06:33:04 AM »
Reply with quote
Gr8 JOb Fahi and Ranju.... :D
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #7 on: September 26, 2006, 10:23:54 AM »
Reply with quote
thanx gaurav bhai ...................

    phir dil se aaj humne kuch alfaazo ko nikalkar
     rakh diya hai unke saamne sirf is guman ke saath
 ki samjhenge woh meri aaho aur siskiyo mai dabi unki khusi ki tamanna ko
 aur chod kar jaayenge bich safar apne haatho se mera haath

 aur sayad tab is dil ko woh junun mil payega
 jisse meri pyaasi ruh ko ek adad sukun mil jaayega.

...................@fahi@.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: September 27, 2006, 12:24:19 PM »
Reply with quote
jaane kya baat thee woh unkahi
jo tum keh ke bhi keh na paaye
kar diya hame apne se juda
aur kiya kya thaa hamne
hum yeh bhi na jaan paaye

baante they kabhi hamne kuch pal zindagi ke
kyu tujhe woh beete lamhe bhi yaad na aaye !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #9 on: September 30, 2006, 08:14:32 AM »
Reply with quote
naa koi sikwa tha ,naa hi koi wajah thi
 tujhe dard dena to sanam meri ada thi
 
 seerat per marne lagi jaane kyun
  naa dekhe asal rang mere
na rakhna kabhi yaad woh lamhe
 jo bitaaye maine sang tere
   
 main dil nahi rakhta hoon
    naa ahsaaso se mera vaasta hai
 bhale mile ek safar mai hum
 per alag alaga apna raasta hai

maanta hoon main ye beshak
  mujhe tujhse na gum mila hai
per tu bhi to soch tujhe aise
  mujhse dard kya kam mila hai
dardbhari teri raahe banana waala main hoon
tujhe behlaakar usper chalanewaala main hoon
    haan main hi hoon jisne aaj
 toda tera nazuk dil hai
     phir kyun mujhko chod dena
 lagta tujhe mushkil hai

 mile na mukammal jahan tujhe
  sayad usme  hi meri khusi hai
per yeh jo zindagi hai saamne
 woh to sirf teri hai.....................haan sirf teri hai.

bhulakar saari baaton ko ,mujhe man se nikaal de
samjhakar dil ko apne ,tu khudko phir shambhal le

 mere jaise insaan per na rona tu wewajah
 na karna gum kisi baat ka na khudko dena saza

meri niyat ko pehchaan le
aur baat tu bhi ye maanle

to jo bhi gila karegi ,woh samajhna meri takat hai
zalim hoon sitamgar hoon,dil todna meri aadat hai


.....................@fahi@.......................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:53:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer