waquif ansari
Guest
|
Jafa ka sar kuchalta kyuN nahiN maiN Wafa ke rah pe chalta kyuN nahiN maiN
Tumhaari bazm ki raunaq ki khaatir Shararah ban k jalta kyuN nahiN maiN
Use takleef hai, chehre pe apne Musalsal khaak malta kyuN nahiN maiN
Jo hai aamaada-e-tarke-ta-alluq Usi ke paas chalta kyuN nahiN maiN
Bani hai dosti zahr-e-halahal Ise pal pal nigalta kyuN nahiN maiN
Kaha ye sarfaroshaan-e-adab ne Rah-e-zindaaN pe chalta kyuN nahiN maiN
Larazte haiN dar-o-deewaar lekin Sitamgar se dahalta kyuN nahiN maiN
Mujhe wo dhaalta hai shaayri meiN Arooz-o-fun meiN dhalta kyuN nahiN maiN
Tajassus ku-ba-ku phaila hai WAQUIF UjaaloN meiN nikalta kyuN nahiN maiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #2 on: April 09, 2010, 11:50:15 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #3 on: April 09, 2010, 12:46:53 PM » |
|
Marhaba Waqif sahab kya hi khoobsurat ghazal aapne likhi hai. Padhkar dil-o-jaan mehzooz ho gaye. Kitni khubsurati se alfaaz ko is tarteeb se munazzam kiya hai jaise koi memaar sange-marmar se koi tameer karta hai. Lajawab aur taghazzul se pur ye ghazal aala sukhanwari ki ek nazeer hai. Hazaron daad qubool farmayen. Allah kare ho zore-qalam aur zyada.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #4 on: April 09, 2010, 08:30:54 PM » |
|
Bahut hi umda peshkash hai aap ki Ansari Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
drpandey
Guest
|
|
«Reply #5 on: April 09, 2010, 09:23:57 PM » |
|
Jafa ka sar kuchalta kyuN nahiN maiN Wafa ki rah pe chalta kyuN nahiN maiN
Tumhaari bazm ki raunaq ki khaatir Shararah ban k jalta kyuN nahiN maiN
Use takleef hai, chehre pe apne Musalsal khaak malta kyuN nahiN maiN
Jo hai aamaada-e-tarke-ta-alluq Usi ke paas chalta kyuN nahiN maiN
Bani hai dosti zahr-e-halahal Ise pal pal nigalta kyuN nahiN maiN
Kaha ye sarfaroshaan-e-adab ne Rah-e-zindaaN pe chalta kyuN nahiN maiN
Larazte haiN dar-o-deewaar lekin Halaaku se dahalta kyuN nahiN maiN
Mujhe wo dhaalta hai shaayri meiN Arooz-o-fun meiN dhalta kyuN nahiN maiN
Ameeri choosti hai khoon WAQUIF Ghareebi dhan pe palta kyuN nahiN maiN
Janaab Waquif sahab adaab arz hai, aapki ye ghazal padhkar kitni achhi lagi ye to mere liye bata pana mushkil hai..Haan meri taraf se lakhon daad qubool karen, yahi meri khushnaseebi hogi. Ajeeb baat hai samajhta kyun nahin meiN ? Adab ki raah se gujarta kyun nahin meiN ?
Isi shahar mein rahtey hain WAQUIF sahab? Kabhi chalke unse milta kyun nahin meiN ?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #6 on: April 11, 2010, 05:23:17 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #7 on: April 11, 2010, 05:24:42 AM » |
|
Janaab Waquif sahab adaab arz hai, aapki ye ghazal padhkar kitni achhi lagi ye to mere liye bata pana mushkil hai..Haan meri taraf se lakhon daad qubool karen, yahi meri khushnaseebi hogi.
Ajeeb baat hai samajhta kyun nahin meiN ? Adab ki raah se gujarta kyun nahin meiN ?
Isi shahar mein rahtey hain WAQUIF sahab? Kabhi chalke unse milta kyun nahin meiN ?
bahut khoob pandey ji...aapney inn 4 lines main ANSARI SB KO SAHI IZZAT BAKHSHA HAI............!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
Rau: 17
Offline
Waqt Bitaya:15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608 Member Since: Apr 2010
|
|
«Reply #8 on: April 11, 2010, 06:00:28 AM » |
|
Azeezi, Waquif Saheb .. Salamwalekum ..
Mere Azeez Ye kahena Mushkil Ho chala hai ke Kaunsa Ashar Bahetar hai .. Subke Sub la jawab .. Apni hi Wazh me kya hi acha Radeef Hai Bhaijaan.. Ghazal ki tareef karna suraj ko diya dikhane wali baath hogi .. Eak mukammal Taherir, Apki ghazal nazar nawaz howi ..Ghazal ki Pazirai me bus itna kahe sakta hon ke Bahoth khuch sikhne ko mila aur Sunch ka fuqdan tha yahan to janab .. ab khuch kahena pe aamda hain .. Allah kare khuch kahe saken .. to apki nazar kardenge apni ara nawaz dena .. Allah apko hamesha khush rakhe ..
Khadim..
Qadeertoopchi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #9 on: April 11, 2010, 10:01:47 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nazar ghouri
Guest
|
|
«Reply #10 on: April 11, 2010, 11:51:40 PM » |
|
waqif sahab kaise mizaj hain..?abhi system shut down kar ke uthna hi wala tha ke ek zarori mail ke liye intezar karne baith gaya saher hone wali hai..waqt tha to socha ke aur bhi posts ko padhlinge ..isi asna main aapki gazal saamne aai ..padh ke bahot achha laga..aur aapki awaz kaanao main goonj gai laga aap fone pe hain aur mujhe gazal suna rahe hain..shukariya uss dost ka jo mail k liye mujhe intezaar main rakha.warna ek khubsoorat gazal miss hojati.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
S.hashmi
Guest
|
|
«Reply #11 on: April 12, 2010, 05:00:19 AM » |
|
Bahot khoob.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 13, 2010, 10:13:05 AM » |
|
Marhaba Waqif sahab kya hi khoobsurat ghazal aapne likhi hai. Padhkar dil-o-jaan mehzooz ho gaye. Kitni khubsurati se alfaaz ko is tarteeb se munazzam kiya hai jaise koi memaar sange-marmar se koi tameer karta hai. Lajawab aur taghazzul se pur ye ghazal aala sukhanwari ki ek nazeer hai. Hazaron daad qubool farmayen. Allah kare ho zore-qalam aur zyada.
My Dear Riyaz Aashna Ji! Aapki dilkash andaaz meiN paziraayee ka behad shukriya. Aap ne jin khayaalaat aur jazbaat ko lafzoN meiN dhaal diya hai woh apne aap meiN aik nihaayat baaligh tahreer hai. Aap nasr bhi khoob likhte haiN, ye shaayari ke ilaawah aik aisa fun hai jise apna kar koi bhi unchaaiyaaN chhoo sakta hai aur aap ki tahreer paDhkar mujhe ye laga k maiN aik munfarid andaaz meiN likhne waale musannif ke ehsaas-o-jazbaat paDh raha hooN. Aapka aik baar phir bahut bahut shukriya k aap ne mujh naacheez k liye itni haseen tahreereN likhiN. Thank you very much.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #13 on: April 13, 2010, 10:14:58 AM » |
|
Bahut hi umda peshkash hai aap ki Ansari Ji
janab Rajesh Harish Ji! Aapka is andaaz meiN ghazal saraahne ka shukriya ada karta hooN. Thank you very much for your appreciation.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 14, 2010, 11:32:27 AM » |
|
Humesha ki tarah ek behad khoobsurat ghazal Waquif Ji..Bohot bohot khoob !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|