JAFA KA SAR KUCHALTA KYUN NAHIN MAIN

by waquif ansari on April 09, 2010, 10:53:02 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1536 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #15 on: April 15, 2010, 10:15:00 AM »
Reply with quote
Janaab Waquif sahab adaab arz hai, aapki ye ghazal padhkar kitni achhi lagi ye to mere liye bata pana mushkil hai..Haan meri taraf se lakhon daad qubool karen, yahi meri khushnaseebi hogi.

Ajeeb baat hai samajhta kyun nahin meiN ?
Adab ki raah se gujarta kyun nahin meiN ?

Isi shahar mein rahtey hain WAQUIF sahab?
Kabhi chalke unse milta kyun nahin meiN ?

Janab drpandey ji! Adaab! Aapki paziraayee ka behad shukriya ada karta hooN. Meri bhi kushnasibi hai k meri hi shahr meiN aik munfarid andaaz se sher kahne wali shakhsiyat rahti hai, jiska deedaar nahin ho saka abhi tak. Main ummeed karta hooN k bahut jald wo khadi bhi aayegi jab hum mil baithenge do yaar. Apne ashaar k zariye bhi aapne daad-o-tehseen se nawaaza, iska bhi shukriya ada karta hooN. I, once again, thank you for your sensitive gestures.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
(Kyun Main na sahe kaha na) shairi ka bara main plz. read by muneeb in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
~~~~ ///***(((KYUN NAHIN JATA )))***///~~~~ by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
{ { ...nahin royee nahin hoon main.....} } by -Kashish- in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
**Kyun nahin???** by dead heart in Miscellaneous Shayri
KYUN KARTAA HAI MAIN MAIN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
waquif ansari
Guest
«Reply #16 on: April 15, 2010, 10:17:28 AM »
Reply with quote
tumhari bazm ki raunaq.......bahut khoob ansari sahab Applause Applause Applause Applause
Janab adil bechain ji! Adab!aapki khoobsurat tahreeroN ka behad shukriya. Isi tarah daad-o-tehseen se nawaazte rahiye aur apni beshqeemti raaye se bhi nawaazte rahiye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #17 on: April 23, 2010, 11:06:11 AM »
Reply with quote
Azeezi, Waquif Saheb .. Salamwalekum ..

Mere Azeez Ye kahena Mushkil Ho chala hai ke Kaunsa Ashar Bahetar hai .. Subke Sub la jawab .. Apni hi Wazh me kya hi acha Radeef Hai Bhaijaan.. Ghazal ki tareef karna suraj ko diya dikhane wali baath hogi .. Eak mukammal Taherir, Apki ghazal nazar nawaz howi ..Ghazal ki Pazirai me bus itna kahe sakta hon ke Bahoth khuch sikhne ko mila aur Sunch ka fuqdan tha yahan to janab .. ab khuch kahena pe aamda hain .. Allah kare khuch kahe saken .. to apki nazar kardenge apni ara nawaz dena .. Allah apko hamesha khush rakhe ..


Khadim..

Qadeertoopchi
Janab Qadeer Junaid Saheb!AOA!
Aapki dilkash paziraayee ka bahot bahot shukriya. Aap jaisi sukhan-aashna aur qaabil-e-qadr shakhsiyatoN ke zer-e-acar hi sukhan parwaan chadhta haiN. DilaafreeN daad-o-tehseen ke badaulat hi funkaar ko hausla milta hai aur woh behtar se behtar takhleeque pesh karne ki koshish karta hai. Aapki hausla-afzaaaii ka dil se mashkoor hooN. Isi tarah apni nawazisoN se nawazte rahiye. Thank you very much again.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: April 26, 2010, 10:05:21 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Ansari ji.very beautiful gazal.excellent creation. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
dear madhuwesh! thank you for your appreciation.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:34:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer