Jhoothe Rishte

by Pooja on February 14, 2008, 07:22:42 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 17387 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: February 19, 2008, 08:38:37 PM »
Reply with quote
jahan mil jaaye soch wahan raahein nahi milati
Rub ke majak, is dil ko nahi hai samjhaye jaate

Ghar mera hi hua hai mujhse anjaana
Apne hi kamre mai ab aor apne gum nahi sunaye jaate

Jazbaat bhi ajj is had tak ro chuka Pooja
Dekh aaina ab aor ansoo, nahi bahaye jaate




BAHUT KHOOB POOJA, YEH LINES DIL KO CHU GAYI...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jhoothe waade by desikuri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
To All Politicians:Yeh Jhoothe Nakaab Kab Tak Rahenge by Devdas_online in Miscellaneous Shayri
jhoothe moothe chand sitaare by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
***Jhoothe Aansu*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
***Jhoothe Waade*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
Pooja
Guest
«Reply #16 on: February 19, 2008, 08:45:16 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 19, 2008, 08:50:34 PM »
Reply with quote
JO NUKSAAN DE AAPKO, WOH SAUDA NA KARO
PAR KISI KE MOHABBAT KO YUH RUSWA TO NA KARO...

KOI KISI KA DARD AUR GHAM BHI SUNA CHAHATA HAI
SIRF APNE AAP KO HI SUNAYA NA KARO...

KAB TAK CHUPA PAAOGE HAAL-E-DIL USS DIWANE SE
JO BAAT NAHI CHUP SAKTI,USSE CHUPAYA NA KARO...

JAHAN SOCH MIL JAAYE, WAHA RAAHEIN NAHI MILTI
YEH BAAT BILKUL SACH HAI PAR YEH SOCHKAR,
ZINDAGI KA EK HASEEN MAUKA HAATH SE YUH GAWAYA NA KARO...

AANSU AANKHON MEIN REH JAAYE TO USKI KADAR HAI
YUH AANSUO KO AANKHON SE BAHAYA NA KARO...

KABHI-KABHI ZINDAGI MEIN AISE MOD BHI AATE HAI
JAHAN KHUD KI PARCHAAI BHI SAATH NAHI DETI
HAR JAGEH APNI PARCHAAI KO APNE SAATH PAYA NA KARO...

AAJ PHIR WAHI BAAT KEHTA HOON JO EK BAAR KAHI THI
BAAT EK HO,JAZBAAT EK HO, KHAYALAT EK HO
TO KAISE JUDA KAR PAAOGE APNE AAP KO KISI SE...
ZARA SOCH KAR JAWAAB DENA ISS BAAT KA..
JAHAN DIL KI BAAT CHAL RAHI HO WAHA
DEEMAG KO LAYA NA KARO....

KISI KO APNA BANA KAR PHIR RAAHON MEIN
KAHIN CHOD JAAYA NA KARO....





Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: February 19, 2008, 10:37:40 PM »
Reply with quote
Muhobat hui hai khud ki ruswa
Her ilzaam mujh per hi ayya hai

Soda nahi kiya karte hum kabhi
Yah khayal apko kaha se ayya hai

Apne dard main nasha hai itna
Kisi aor per dhayan hi nahi jaata

Chupane ki chahat main bhi
Yah dard chupaya nahi jaata

Her moka gawaya maine
Na jaane kyun yah darr nahi jaata

Rah jaate hai kuch ansoo ankhon main hi
Her ek ansoo bhi to bahaya nahi jaata

Her mod per khud ko tanha paaya hai
Koi sath, na jaane kyun banaya nahi jaata

Kaha hai ab dil, kaha hai deemag
Dono ko ek sath samjhaya nahi jaata

Dil ki baat sunte hai bade armaano se hum
Magar kisi ka sath ab nibhaya nahi jaata!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: February 20, 2008, 10:16:00 PM »
Reply with quote
JAB RAAHEIN DONO KI JUDA HO
TO PHIR SAATH CHALNE KI ZIDD AAKHIR KARTE KYON HO??

JAB PATA HAI KE JUDAAI HI ISS SAFAR KA AAKHRI MUKAAM HOGA
TO MERE KADAM KE SAATH APNE KADAM AAKHIR MILATE KYON HO??

APNE JAZBAATON KI KADAR KOI KARTA HAI YAA NAHI
INN SOCHO SE APNE AAP KO ITNA PARESHAAN AAKHIR KARTE KYON HO??

HAR EK BAAT KI EK WAJEH HOTI HAI DOST
BIN SAMJHE APNE DIL KO ITNA DARD SE TAAR-TAAR KARTE KYON HO??

JAB PATA HAI AAPKO KE YEH UMEED KA DIYA
TEZ HAWAON MEIN BUJH JAAYEGA
PHIR UMEED KA CHIRAG AAKHIR DIL MEIN JALAATE KYON HO??

MAIN TO HAMESHA SA HI DARD KI BASTI KA BASHINDA RAHA HOON
AAJ MERE DARD PAR ITNE SAWAAL UTATE KYON HO??

JAB BICHADNA HI APNI MANZIL HAI
TO PHIR AAP HI KAHO...
ANJAAM PATA HO KAR BHI ISS
NACHEEZ KO ITNA CHAAHTE KYON HO??

RISHTO KA ARTH BAHUT GEHRA HAI
PAANI AAPKE AANKHON MEIN AAKAR
SADIYO SE TEHRA HAI....

SAB PATA HAI MUJHE PHIR BHI... 
AAP MUJHI SE CHUPAATE KYON HO???

Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: February 20, 2008, 11:02:55 PM »
Reply with quote
Juda hai rahein yah jaante hai hum
Dil kayak are bahoot unko apna mante hai hum

Safar ka mukam malum hai, magar badlna chahte hai hum
Kadam se kadam mila kar, khud ko ajmaana chahte hai hum

Jazbaato ki kadar kar payege kaise, tu hi bata
Her ek uske jazbaato ko sambhalna chahte hai hum

Umeend ka diya hota jar aha hai kamjor
Phir bhi na jaane kis umeend per jiye ja rahe hai hum

Her ek mila sirf dard ka bashinda hume to
Phir bhi dekho dard – dard kiye j arahe hai hum

Rishto ka arth, bichdne per hi atta hai samjh
Ab to yahi samjhe ja rahe hai hum

Chupaya kaya aor bataya kaya kuch khayal nahi hume
Hum to apni dhun mai, unhi chale ja rahe hai hum!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 21, 2008, 07:17:11 PM »
Reply with quote
Dard dekar khud ko, kaya paoge tum
Na chalo us raah, jahan koi manjil na paoge tum

Maana asaan nahi hai, jazbaato ko rokna
Magar ek din inhi jazbaato ko bahoot rulaoge tum

Soch hai yah teri, khud ko badal de ajj hi
Deri jo ho gai to, bahoot pachtaoge tum

Kaha jo zamane ne, hum samjh rahe the wo
Aise hi to raato ki, nind nahi gawaoge tum

Dard dekar khud ko, kaya paoge tum
Na chalo us raah, jahan koi manjil na paoge tum
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: February 21, 2008, 07:40:14 PM »
Reply with quote
KISI KE PAAS JAANE SE MEHSOOS HOTA HAI
KE FIZAAON MEIN BAHAAR AA GAYI
BERANG ZINDAGI THI MERI KABHI
AB NAYE RANG PEHNA GAYI

JIN AANKHON MEIN KABHI ASHQ BEHTE THE
AAJ SAPNO KI DUNIYA KHILA GAYI

KOI HAI JO ISS DUNIYA MEIN SACH MAAYNE MEIN
MERA APNA HAI, YEH YAKEEN DILA GAYI...

SAU WAJEH HONGE UNKE PAAS
MUJHSE NA MILNE KE
PAR MERI EK WAJEH UNKE
UNN SAU WAJOH PE CHAA GAYI

AB MAIN KABHI MUSKURA LETA HOON
YUH SAMJHO UMEED KA CHIRAG
DIL MEIN WOH JALA GAYI

HUM NAHI MIL SAKTE YEH TO MUKADDAR KA FAISLA HAI
PAR ZINDAGI KHOOBSURAT SI LAGTI HAI
SACH KEHTA HOON, KUCH BAATEIN UNKI AISI THI
JO "KHWAISH" KO JEENA SEEKH LA GAYI...

MUJHE EK SAWAAL KA JAWAAB
DENA NAA AAYA TO KYA HUA
MAIN JAANTA HOON...
MERI KHAMOSHI BHI YAKEENAN
KUCH UNHE BATLA GAYI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: February 21, 2008, 07:44:04 PM »
Reply with quote
wah wah wah!! khwaish ji.. jawab dena koi apse sikhe.. bahoot khoob!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: February 21, 2008, 07:49:57 PM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA...BAS JO DIL MEIN HOTA HAI KEH DETA HOON...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: February 21, 2008, 08:20:15 PM »
Reply with quote
Rishto mai suchaai laai nahi jaati
Humse ab koi umeend jagai nahi jaati

Her ek ke man mai sawarth dekh kar
Humse apni baat sunaai nahi jaati

Ajnabi rishto main ajnabi si baatein hai
Kaya hai yah ahsaas, dil ko yah baat samjhai nahi jaati

Ek tark kyun so tark ko deta hai jhuthla
Itani si suchaai bhi jhuthlaai nahi jaati

Khamoshia sun kar bhi, hum kyun rah gaye khamosh
Khud se yah baat, ab dohraai nahi jaati....
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: February 22, 2008, 03:01:26 AM »
Reply with quote
wah bahoot khoon khwaish ji!! bahoot hi acha likha hai apne!!!

In ankhon mai rahti thi muhobaat
Ajj ansuo ka sath rahta hai
Intzaar karta tha yah dil besabri se
Ajj ek ajeeb sa dar rahta hai

Chah kar bhi pyar na hua mehsoos
Ajj ek tanhaai ka ahsaas rahta hai
Dekh rahi hu tera badta hua hath
Magar phir se tere kho jaane ka dar lagt ahai

Rishto per hui bahoot baatein
Magar kaha tera mera wo rishta rahta hai
Nazdeek jitna bhi karna chaha tujhe
Tere dhoko ka utna hi dar lagta hai

Ab dil toot.ta nahi, bas murjha sa jaata hai
Zakhmo ko ab kaha, koi sadma lagta hai
Apnapan jitna bhi wo ab dikhaye
Dil ko ek ajnabi sa lagta hai

Jis per kiya be-intihan vishwaas
Ajj apne hi us vishwaas se dar lagta hai
Mere ghar mai, mera hi saya
Mujhe bahoot bebas, lachaar lagta hai

Gumo se rishta mera kaya hai yah kabhi socha nahi
Magar her ek dard mujhe, behad apna sa lagta hai!!!



wow what a beautiful creation didi... All lines
really touched me. Keep up.
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: February 22, 2008, 03:04:39 AM »
Reply with quote
Na raah mili na chah mili
Bas ek anchahi aah mili
Ik dard basa ik tees uti
Maangi thi usha per saanj mili

Ik deep jalaya tha maine
Per neh bina na aanch jali
Yeh deep-shikha sheetal hi rahi
Bas ek anchahi aah mili

Raahon se raahein kat.thi hai,
Gumraah wahan mann hota hai
Pag pag per kante hai bikhre
Mann bebas hokar rota hai
Ik manzil chahi thi maine
Per mujhko sooni raah mili

Ik chaya chahi thi maine
Per ek anchahi aah mili..

 Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: February 25, 2008, 05:16:34 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria Roja!!! Bahoot hi acha likha hai apne bhi!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: February 25, 2008, 06:50:13 PM »
Reply with quote
Excellent work Pooja and Khwaish...! Roja you also have written beautifully.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:30:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer