Pooja
Guest
|
|
|
JO CHAHO AGAR TUM
Jo chaho agar to tum aisa karo!
Ahsaas kay saray rishtay tor do Piyaar kay saray bandhan khol do Dil say apnay bhula do mujhay Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay
Dua hai meri khuda say kayh!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay Aakash kay sitaro ko choo lo tum Khushiyan har dam tumhari raha takay Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri Kisi maqam per mujh ko yaad na karo tum Khushiyo may aisay apni magan raho Kabhi mazi kay warq na palto tum
Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!
Dil ko apnay simayt laina Aur bas yaad mujhay tum kar laina Aankho kay duwaro ko band kar laina Mehsoos mujhay tum kar laina
Aur phir yun karna kay!
Saray raaz apnay dil kay Tum mujh say keh laina Saray dard apnay dil kay Tum mujh say baant laina
Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!
Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may Ek kanhdha tumhara bhi ho (nm)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
|
«Reply #1 on: October 21, 2005, 04:28:21 AM » |
|
JO CHAHO AGAR TUM
Jo chaho agar to tum aisa karo!
Ahsaas kay saray rishtay tor do Piyaar kay saray bandhan khol do Dil say apnay bhula do mujhay Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay
Dua hai meri khuda say kayh!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay Aakash kay sitaro ko choo lo tum Khushiyan har dam tumhari raha takay Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri Kisi maqam per mujh ko yaad na karo tum Khushiyo may aisay apni magan raho Kabhi mazi kay warq na palto tum
Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!
Dil ko apnay simayt laina Aur bas yaad mujhay tum kar laina Aankho kay duwaro ko band kar laina Mehsoos mujhay tum kar laina
Aur phir yun karna kay!
Saray raaz apnay dil kay Tum mujh say keh laina Saray dard apnay dil kay Tum mujh say baant laina
Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!
Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may Ek kanhdha tumhara bhi ho (nm) good one poojaji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 21, 2005, 03:44:18 PM » |
|
Thanks bekarar ji!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nidhi_yadein
Umda Shayar
Rau: 2
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~
Posts: 5725 Member Since: Nov 2004
|
|
«Reply #3 on: October 21, 2005, 05:18:30 PM » |
|
Nice one Pooja ji.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 24, 2005, 07:50:01 PM » |
|
superbsssssssssss Pooja........ very nice wordings...... touching words......... :oops:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 24, 2005, 08:26:20 PM » |
|
thanks nidhi and waheed!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 29, 2005, 07:51:51 PM » |
|
ur welcome Pooja......................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 31, 2005, 07:14:26 PM » |
|
Dard kaisa b ho ankh nam na karo Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagatay raho Zindagi mein sada muskaratay raho
Baantni hai agar baant lo har khushi Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho (nm)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #8 on: November 11, 2005, 05:02:01 PM » |
|
nice again Pooja.............bahot khoob........
woh kahte tum apni aakhen num na kiya karo dard-e-ghum mein bhi muskuraya karo jab chot lagti hai dil per to aashman bhi rota hai mujhe woh bataye main kaise ashkon apne askon ko chupaya karoon......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #9 on: December 22, 2005, 09:11:24 PM » |
|
good one waheed!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #10 on: December 25, 2005, 07:16:28 AM » |
|
Thanxxxxxxxx Pooja Sis............. :lol:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 06, 2006, 10:54:44 PM » |
|
Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga Sabse Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga Surmayi Aankhon Ke Neeche Phool Se Khilne Lage Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga Baat Tu Khuch Bhi Na Thi Magar Uska Ekdam Haath Ko Honton Pe Rakh Kar Rokna Acha Laga Dil Mein Kitne Ehed Baandhe They bhulaane Ke Liye Wo Mila Tu Saare Eraade Todna Acha Laga Es Adoo-e-Jaan Ko Amjad Kese Mein Bura Kahoon Jab Bhi Aaya Saamne, Wo Bewafa Acha Laga (nm)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 07, 2006, 12:05:11 PM » |
|
wah wah Sis.......... bahot acchi ghazal ........hai...
Dil Tujhay Chote Ki Kami Hai Kuch Pheeki Pheeki Si Zindagi Hai Kuch
Teeragi Nay Bunay Bohut Jaalay Tairi Yaadon Ki Roshni Hai Kuchh
Khaab Say Aashana Huwi Aankhein Zindagani Dari Dari Hai Kuchh
Waqt.E.Rukhsat Uus Aankkh Ka Manzar Doobti Shaam Ki Gharhi Hai Kuchh...nm
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 10, 2006, 06:04:04 PM » |
|
thanks and good one waheed!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #14 on: January 11, 2006, 11:17:38 AM » |
|
Very nice Pooja ji !!!
Chaha the bahut ke chahtoon ko aam krengey aaye hai duniya mein to kuch dil ke kaam krengey kha jante they hum ke yhi hai farmaan e khuda apne hi dil ka bas mataam subho shaam krengey!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|