JOSH-E-QADAM.....................MAMTA BAJPAI

by mamta bajpai on July 15, 2010, 05:09:41 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2484 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
JOSH-E-QADAM BADHTA GAYA
RAASTA GHAT-TA GAYA

GAFLATON KE BAADALON KA
DHUNDH BHI CHANT-TA GAYA

ROD.A PAHAR SA MERI
RAAH SE HAT-TA GAYA

MAI ADHOORA CHAND SA
KOI BHI PADHTA GAYA

CHAR DAANE KAAG BHI
IS DAR SE CHUGTA GAYA

IK MUKAMMAL SHAIRI
MAI NEEND ME LIKHTA GAYA

YE GAZAL MAI UNKAHI
TUM SE HI KAHTA GAYA

MATLA WOH DEEVAN SE
BAS EK HI CHUNTA GAYA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI KHWAHISH.................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
NAKAMIYON SE NISBAT.........MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
CHALTE RAHEN...............MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
ROODAD-E-WAFA..................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Qadam-Qadam Per Khudgarziya’n Hain by ishu_singh10 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: July 15, 2010, 06:51:13 PM »
Reply with quote
wah wah mamta ji.. wah... superb  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


jasbir singh
hira_company@yahoo.com
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: July 15, 2010, 08:02:20 PM »
Reply with quote
shukriya Jasbirsing ji!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: July 16, 2010, 05:51:48 AM »
Reply with quote
bahoot hi khoob likhti hain mamta ji aap...shabd to mano aapki kalam se nikal kar moti ho jaate hain...is behtreen rachna ke liye dheron dad
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2010, 06:30:40 AM »
Reply with quote
Nice creation Mamta ji. Keep it up.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: July 16, 2010, 08:03:29 AM »
Reply with quote
SANJEEV !BAHUT BAHUT DHANYAWAAD !! AAP JAISE SARAHANE WALE BHI KISI KUSHAL JOHARI SE KAM NAHI JO SADHARAN SE PATTHAR ME BHI HEERE KI SIFAT (PRABHAV,GUN) PAIDA KAR DETE HAIN.PRASANSHA KE PUSPGUCH JO AAP NE HUME BHENT KIYE UNKE LIYE PUNAH KOTISHAH DHANYAWAAD.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: July 16, 2010, 08:05:56 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA RIYAZ JI!!!
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2010, 12:18:11 PM »
Reply with quote
kya baat hai mamta ji bahut khoob

KEEP IT UP
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #8 on: July 16, 2010, 12:19:00 PM »
Reply with quote
RASTA DARTA THA MERE KADAM SE
WO JANTA THA
MAIN DOOR TAK CHALTA HOON

MANZILEN AA JATI THI KAREEB MERE
KYONKI WO JANTI THI
MAIN MANZIL PER THAHARTA HOON

WO AKSAR SATATE HAI MUJHKO MERE HI KHAYALO MAIN
KYONKI WO JANTE HAI
MAIN UNSE ISQ KARTA HOON

WO DOOR HOKAR LETE HAIN MAZA MERI BE-CHAINI KA
KYONKI WO JANTE HAI
UNKE BINA HAMESHA MAIN TADAPTA HOON
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: July 16, 2010, 12:30:25 PM »
Reply with quote
RASTA DARTA THA MERE KADAM SE
WO JANTA THA
MAIN DOOR TAK CHALTA HOON

MANZILEN AA JATI THI KAREEB MERE
KYONKI WO JANTI THI
MAIN MANZIL PER THAHARTA HOON

WO AKSAR SATATE HAI MUJHKO MERE HI KHAYALO MAIN
KYONKI WO JANTE HAI
MAIN UNSE ISQ KARTA HOON

WO DOOR HOKAR LETE HAIN MAZA MERI BE-CHAINI KA
KYONKI WO JANTE HAI
UNKE BINA HAMESHA MAIN TADAPTA HOON

wahhhhhh wahhhhhh shuruaati do sheron ki positiveness kamal hai bhai....bahoot khoob
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: July 16, 2010, 04:20:32 PM »
Reply with quote
WAAH KYA BAAT HAI MOHSIN JI !!!AAP BHI BAKAMAAL LIKHTE HAIN.

ISI SILSILE ME KUCH OR.....

SUBUKRAFTARI MERE QADAMO KI DEKH
MAI MANZIL SE BHI AAGE NIKAL GAYA
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #11 on: July 16, 2010, 04:38:15 PM »
Reply with quote
Ati sunder badhiya kavita hai aapki......Mamta-di.... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Musaafir tou kai mile raaste me mujhe
Hamsafar jo chalta saath mere mila nahi

Bindaas mein mazil ki khoj mei chalti gayee
Rahein khud-b-khud aasaan hotee gayee



JOSH-E-QADAM BADHTA GAYA
RAASTA GHAT-TA GAYA

GAFLATON KE BAADALON KA
DHUNDH BHI CHANT-TA GAYA

ROD.A PAHAR SA MERI
RAAH SE HAT-TA GAYA

MAI ADHOORA CHAND SA
KOI BHI PADHTA GAYA

CHAR DAANE KAAG BHI
IS DAR SE CHUGTA GAYA

IK MUKAMMAL SHAIRI
MAI NEEND ME LIKHTA GAYA

YE GAZAL MAI UNKAHI
TUM SE HI KAHTA GAYA

MATLA WOH DEEVAN SE
BAS EK HI CHUNTA GAYA
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #12 on: July 17, 2010, 01:00:46 AM »
Reply with quote
thanks koyal!!!

manzil ke jo shaidai hain
raaston se unki aashnai hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: July 17, 2010, 02:19:21 AM »
Reply with quote
JOSH-E-QADAM BADHTA GAYA
RAASTA GHAT-TA GAYA

GAFLATON KE BAADALON KA
DHUNDH BHI CHANT-TA GAYA

ROD.A PAHAR SA MERI
RAAH SE HAT-TA GAYA

MAI ADHOORA CHAND SA
KOI BHI PADHTA GAYA

CHAR DAANE KAAG BHI
IS DAR SE CHUGTA GAYA

IK MUKAMMAL SHAIRI
MAI NEEND ME LIKHTA GAYA

YE GAZAL MAI UNKAHI
TUM SE HI KAHTA GAYA

MATLA WOH DEEVAN SE
BAS EK HI CHUNTA GAYA

Wah! Mamta Ji
Bahut umda peshkash hai aap ki
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #14 on: July 17, 2010, 07:56:02 AM »
Reply with quote
THSNKS RAJESH JI!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:02:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer