Jub vb jee uth jain gay (by vb)

by vb on September 05, 2010, 11:16:53 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1505 times)
vb
Guest
Reply with quote

Ik roze achaanak vb jee
Jub duniya say uth jain gay
Tu such kehna k aye larki
Kya yaad tumhen na aain gay?

Jub urtay patay dekho ge
Jub khazan ka mousam ayay ga
Koi sard havaaon ka jhonka
Jub zulfon ko chhoo jayay ga
Kya kuch bhe yaad na ayay ga?

Jub car ki khirki k pehlu
main haath tumhara lehraya
Jub neeli aankhon ne ghoora
Ya maze say ghutna takraya
Kya kuch bhe yaad nahi aya?

Jub internet ki duniya main
Tum apna dil behlaao ge
Is bhari bharaai duniya main
Jub khud ko tanha paao ge
Kya hum ko bhool he jao jao ge?

Jub chat ka veeran kamray main
Koi geet hijar k gayay ga
Is dil k rukhsaron ko jub
Koi sher agar sehlayay ga
Kya phir bhe yaad na aayay ga?

“vb jee tu deewaanay thay”
Tum khud ko ye samjhao ge
“Mujh ko tu un say pyaar nahi”
Par chain na phir bhe paao ge
Kya such main bhool he jao ge?

Hum deewaanay so baar sahi
Na tum ko hum say pyaar sahi
Hum dais-nagar k banjaaray
Tu saat samandar paar sahi
Hum khak junoon k aangan ki
Tu ake sunehri naar sahi
Hum rate ka telaa sahil par
Tu albeli manjhdhar sahi
Tu husn, abad tak paainda
Or apnay din do chaar sahi
Ye mulk ye mazhab kya kahiyay
Dushman saara sansaar sahi
Tu raani shehr-e-mohabbat ki
Apni qismat main daar sahi
Tu rooh-e-chaman, tu boo-e-saba
Hum is gulshan k khaar sahi
Ye ishq, mohabat, husn, adaa
Sub sood sahi, byopaar sahi
Na dil ko tumhaaray chhoo payay
Ye geet sabhi bekaar sahi
Sub dil ka behlaawa or hum
Ayaar sahi, makaar sahi
Kya such main tum ko pyaar nahi
Haan soch magar, ik baar sahi

Tum laakh kaho k jhoot hay ye
Par yaad tumhen hum aain gay
Ik roze achanak duniya say
Jub chupkay say uth jain gay

Is khoon k chheentay chehray par
Mehsoos karo gee, yaad rahay
Is paap k khooni zindaan main
Mehboos raho gee, yaad rahay


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 05, 2010, 07:12:26 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

VB jee Bahut umdaa tarke se bayaaN kiya hai aapne sare manzar e Khayaal ...... Bahut khoob Daad         
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: September 06, 2010, 03:42:45 AM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!


Vb ji ek aur khoobsurat peshkash aapki taraf se.. sach me aapke geet mere hothon pe kuch is tarha saj jaate hain ki kya bataun... aapke ek ek geet kai kai baar padhte hain hum aur is tarha padhte hain ki hamaare hothon se hote huye dilo dimaag me bas jaaye... itna khoobsurat hota hai aapka har ek geet ki hum jhoomne lagte hain... pehle ek baar hum dheere dheere padhte hain samajhne ke liye... shabdon ko pehchanne , samajhne ki koshish karte hai... dusri baar gungunaate hain aur fir kai baar gaate hain... sach dil khush ho jaata hai aapke geet padhke... aaj ka din safal ho gaya jo subah subah humne aapka likha geet padh liya... aur ek khaas baat hai aapne geeton ki.. hum in geeton ko kuch is tarha feel karte hain ki hamaare rongte khade ho jaate hain.... bahut bahut khoob likha hai aapne Vb ji.. bahut ti pyaara , bahut hi umda, maano jaise awaaz straight from the heart hai.. maano dil hi bol raha ho sab kuch... bahut pyaara geet hai... shukriya itna pyaara geet likhne ke liye aur hamare saath share karne ke liye.... bahut khoob janaab...!!!

 Thankyou !

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: September 06, 2010, 04:14:40 AM »
Reply with quote
VB ji........har ek lafz ek dard ka prichay deta hai...do geeton ka maza ek hi geet me dediya aapne ...itna khubsurat itna pyara..sach me laga jaise koi mujhe hi ye sab keh raha hai aur kal ko ye sab main bhi sehne wali hun.....

kuch dar kuch bechaini badh gai aapke iss geet se.....
kai bar dil jis baat se dar raha hota hai wo kuch iss tarah samne aajaye to kaise lagta hai wahi meri halat hai ye padhke...

kal se kai bar ye page opn kiya par padhne ki himmat nahin hui..kyun ye pata nahin...abhi kapil ji ka reply padhke himat ki k dekhun vb ji ne apne jane ki bat kyun ki hai..
aur yakeen maniye mere aansu nahin aaye lekin dil ro raha hai ajeeb se khyal se....

kanha ji aapki raksha karen aur iss tarah ka koi khyal aapke man me fir na aaye...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2010, 04:40:24 AM »
Reply with quote
O My My MY.. KYa kahun Main .. Sayad mere lafz kam pad jaaye par iss Khoobsoorat peshkas ki tareef kam na ho.... Main issko padte padte kho hi gai thi... Bahoot hi Shandaar, Khoobsoorat, Bahoot Hi Umda peshkash..

Iss Khoobsoorat peshkash ke liye aapko dero badaiya !
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: September 06, 2010, 12:10:54 PM »
Reply with quote
ParwaaZ jee! buhat shukriya waqt denay, itni taveel nazm ko parhnay or nice comments chhornay ka...
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: September 06, 2010, 12:19:37 PM »
Reply with quote
klaskar jee! aap tu buhat zyada he tareefi kalemaat likh jaatay hain.. hum ne soch rakha tha k is nazm ko phir nahi parhen gay... lakin aap ne kuch itni tareefen likh deen k hayrat-zida ho kar.. apni nazm ko parh dala.. k aakhir kya likh gay aisa hum.. or ye ghaltee hum say kaisay ho gaee...

khair.. aap ka buhat shukriya k itna time detay hain.. in tootay-phootay lafzon ko.. itna waqt nikaal kar tareefen bhe likh jaatay hain..

waisay hamen itni tareefen parh kar faqat sharmindagi he hotee hay.. so na he keya kejay.. hamaray liyay itna jaan lena he kaafi hota hay.. k hum jo jo kuch kehtay hain.. us ka koi gawaah hay.. aur bus..

thanx once again.. plz
 
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: September 06, 2010, 12:42:50 PM »
Reply with quote
*Kasak*....Dil Ki jee! buhat shukriya aap ka k itna time diya.. parha aap ne poem ko or itnay sundar comments chhoray..

"is tarha ka koi khayal dil main na ayay" ... aisa kuch nahi hay.. hum ne he kabhi likha tha kahin k...

"soen gay ab tu phir nahi uthna hamen kabhi"
kartay ho roze waada, nibha ku nahi detay

so ye waaday or ye baaten bus shaairi ki hadd tak he hain..

in geeton ko in nazmon ko, in tootay phootay lafzon ko hum nahi chaahtay k itna seriously lay koi.. inhen parh kar udaas hona.. ya khush hona.. behtar nahi..

*--------------*
aap in geeton, in nazmon k
maghmoom fasanay kya jaanen
in chikni chupri baton k
chaalaak bahaanay kya jaanen

hum aashiq, shaair kuch bhe nahi
so taareefon ko rehnay dain
ye zakhm, hamaara jeevan hain
inhen holay holay behnay dain

or waisay bhe is duniya main
ye geet na hum ko raas huvay
ik aawara say shaair hain
hum konsay 'tulsi-daas' huvay

kuch roze yahan par thehray hain
phir hum ne yahan say jaana hay
vb ka kon thikaana hay......

*-------*
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: September 06, 2010, 12:44:24 PM »
Reply with quote
Sophi jee! buhat shukriya aap ka k waqt nikaal kar phrha ap ne.. in lafzon ko.. or itnay sundar comments hamari is nazm k naam kar gaeen aap..

thanx once again...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: September 06, 2010, 06:26:06 PM »
Reply with quote
aapke geeton ki taarif karne ka haq aap mujhse nahi chhin sakte.. main ye karta rahunga... mujhe itna achcha lagta hai aapke geeton ki taarif karna ki main bas likhta chala jaaun... aapke liye jitna bhi likha jaaye kam hai... !!!

klaskar jee! aap tu buhat zyada he tareefi kalemaat likh jaatay hain.. hum ne soch rakha tha k is nazm ko phir nahi parhen gay... lakin aap ne kuch itni tareefen likh deen k hayrat-zida ho kar.. apni nazm ko parh dala.. k aakhir kya likh gay aisa hum.. or ye ghaltee hum say kaisay ho gaee...

khair.. aap ka buhat shukriya k itna time detay hain.. in tootay-phootay lafzon ko.. itna waqt nikaal kar tareefen bhe likh jaatay hain..

waisay hamen itni tareefen parh kar faqat sharmindagi he hotee hay.. so na he keya kejay.. hamaray liyay itna jaan lena he kaafi hota hay.. k hum jo jo kuch kehtay hain.. us ka koi gawaah hay.. aur bus..

thanx once again.. plz
 
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: September 06, 2010, 06:31:11 PM »
Reply with quote
*Kasak*....Dil Ki jee! buhat shukriya aap ka k itna time diya.. parha aap ne poem ko or itnay sundar comments chhoray..

"is tarha ka koi khayal dil main na ayay" ... aisa kuch nahi hay.. hum ne he kabhi likha tha kahin k...

"soen gay ab tu phir nahi uthna hamen kabhi"
kartay ho roze waada, nibha ku nahi detay

so ye waaday or ye baaten bus shaairi ki hadd tak he hain..

in geeton ko in nazmon ko, in tootay phootay lafzon ko hum nahi chaahtay k itna seriously lay koi.. inhen parh kar udaas hona.. ya khush hona.. behtar nahi..

*--------------*
aap in geeton, in nazmon k
maghmoom fasanay kya jaanen
in chikni chupri baton k
chaalaak bahaanay kya jaanen

hum aashiq, shaair kuch bhe nahi
so taareefon ko rehnay dain
ye zakhm, hamaara jeevan hain
inhen holay holay behnay dain

or waisay bhe is duniya main
ye geet na hum ko raas huvay
ik aawara say shaair hain
hum konsay 'tulsi-daas' huvay

kuch roze yahan par thehray hain
phir hum ne yahan say jaana hay
vb ka kon thikaana hay......

*-------*

ab bhi aap kehte h k kuch na kahen....ye geet khud apni tareef karta h ..hum kuch nahin kehte... happy3 happy3 happy3
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: September 07, 2010, 08:04:06 AM »
Reply with quote
klaskar jee and *KasaK*....Dil Ki jee! buhat shukriya itni izzat denay ka...


http://www.yoindia.com/shayariadab/miscellaneous-shayri/geeton-ki-neelaami-by-vb-t56210.0.html
Logged
anonymous user
Guest
«Reply #12 on: September 13, 2010, 08:32:27 PM »
Reply with quote
Very well written as always!!! Aabaad rahein!

Some thoughts came in mind, putting together as follows, not even close to your creation by the way...

Jo uth chukay hain duniyaan se
Bas kehne ka dikhlawa hay
Kya yaadein hain, kya waade hain
Pal do pal ka behkawa hay
 
Sau mausam aayay sau chale gaye
Har rutt ne naya ashak diya
Kya takrana, kya lehrana
In sard hawaon ne sabak diya

Is chall kapat kee duniyan mein
Dil ka behlana kya kahiye
Tanhayiyaan rag-rag jab basne lage
Saawan mein itrana kya kahiye

Hijr ke geet Shiv ne gaye
Marne par bhi nah apna aya koi
Rukhsaar pe wohi shayarana hansi
Sehlane pe bhi ankh nam na hoyee

Deewane thay, deewane ho tum
Bas dil mein sooratein badal gayeen
Yeh vyaar ke kissay,yeh kalambazi
Jis jis nay parhi usay choo k gayee

Log atay jatay rahenge jahan mein
dil pe nishaan rehtay hain sada
Kuch sahil pe choton ke samaan
Kuch rait pe bikhray ashar ke tarah



Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: September 14, 2010, 03:57:28 PM »
Reply with quote
Anonymous jee! buhat shukriya aap ka k parha aap ne or itni achhi poem hamari poem k naam kar dee aap ne... n specially dua ka shukriya...

poems main hum comparison k qaail nahi.. buhat khoobsurat poem likhi aap ne... parh kar buhat achha laga...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:42:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer