jurrat-e-qalam

by Tasleem ahmad Tasleem on March 30, 2010, 07:39:11 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1348 times)
Tasleem ahmad Tasleem
Guest
Reply with quote
aalam-e-takhyyul par kiska kya ijara he
soch he muhabbat ki aur qalam hamara he

na khuda sazish he aur na kaam gulchin ka
titliyon ko phoolon ki dillagi ne mara he

nakhuda ki sazish ne hi dubo diya warna
muntazir hamara to aaj bhi kinara he

unke shokh aanchal mein anginat bahrien hein
aansuon se tar daaman hijr mein hamara he

unse door rehna to maslehet he e tasleem
warna zindagi aisi kab hamein gawara he
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2010, 08:12:05 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Applause  icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2010, 11:00:30 AM »
Reply with quote
Tasleem sahab is ghazal ke baare mein kya kahun, bezuban saa ho gaya hun. Aisi purkashish, umdah, murassa aur taghazzul se pur  ghazlein bahut kam padhne ko milti hain. Aala meyar ki aala ghazal hai ye. Ahsaasat ko bahut asardaar lahje mein piroya hai. Marhaba.
aalam-e-takhyyul par kiska kya ijara he
soch he muhabbat ki aur qalam hamara he

na khuda sazish he aur na kaam gulchin ka
titliyon ko phoolon ki dillagi ne mara he

nakhuda ki sazish ne hi dubo diya warna
muntazir hamara to aaj bhi kinara he

unke shokh aanchal mein anginat bahrien hein
aansuon se tar daaman hijr mein hamara he

unse door rehna to maslehet he e tasleem
warna zindagi aisi kab hamein gawara he
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2010, 10:42:33 PM »
Reply with quote



 

nakhuda ki sazish ne hi dubo diya warna
muntazir hamara to aaj bhi kinara he

unse door rehna to maslehet he e tasleem
warna zindagi aisi kab hamein gawara he
[/quote]riyaaz saheb ne itna likh diya ke hum lafzaao'n ke liye taras rahe hain..you r truely deserve for such a compliments ..jst i can say its an ultimate ghazal.yeh do shair to hifazat ke laaeq hain ,mere khayal se.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 31, 2010, 02:07:43 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Tasleemji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Tasleem ahmad Tasleem
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2010, 02:09:32 PM »
Reply with quote
 hello2 hello2 :hello2:Riyaz Sahab Aur nazar Sahab aap hazraat ne jo is talib-e-ilm ki housla afzai ki he uska badal mere paas nahi he! bas ek duaiya matla hazir har raha hun
ya rab mere qalam ko tu aisa kamal de
Jiski zamana hashr ke din tak misaal de
ummid karta hun ke aap ko behad pasand aayega
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: April 03, 2010, 07:50:58 PM »
Reply with quote
Wah wah Tasleem ji,bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.mindblowing creation.
lovely lines Nazar ji. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
Tasleem ahmad Tasleem
Guest
«Reply #7 on: April 05, 2010, 04:49:25 AM »
Reply with quote
shihab ji aur Madhuwesh ji housla afzai ka shukria
aur jo aap ne rabb-e-kareem se jo dua mere haq mein ki he khuda apko ajre azeem ata kre ameen
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:10:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer