Matla khoobsurat raha...
Dusre sher ke kya kehne....bohat khoob.
Teesra sher Ghazal se juda juda sa laga...shuruaat mohabbat se bhara tha aur is sher me khud ko mohabbat ke ehsas se hi marhoom kar diya aapne
Chauthe sher me kahi baat kuch samajh me nahi aayee...wazahat kar dete to aasani hoti samajhne me.
Aakhri sher ke dusre misre ke lafz "Kaarname" ne thoda pareshaan kiya hai.......karname achche bhi hote hai aur bure bhi, is sher me bayani thodi kamzor lagi.
JANAB SAJID SAHAB ,
SALAAM ALAIKUM,
AAPKE TANQEED KA BAHUT BAHUT SHUKRIA ,
1. YE MERI SOCH HAI SHAYAD MAIN GHALAT BHI HO SAKTA HOON
YANI MUJHE MOHABBAT KA EHSAAS TO HAI PAR IS KO PAWAAN KAISE CHADHAYE NAHIN MALOOM...MAZEED IS KE BAARE LOG APNA APNA KHYAL RAKHTE HONGE...PAR MERI SAMAJ SE YE BAHAS KA MUDDA NAHIN HAI..PESONAL HAI
2. PAISE KI ISS DUNIYA MEIN KOI IZHAAR-E- MOHBBAT GHARIB SE NAHIN KARTA...MERA MATLAB HAI SYMPATHIZED HOGA PAR QURBAN NAHIN KAREGAA KHUD KI AZDAWAJI ZINDAGI USKE LIYE
AUR YAHAAN GHAREEBI ZYADA HAI AUR MOHABBAT KA RATIO BHI USI TARAH HAI..YE SAWAAL MUJH MEIN KHUD SE UTHA KI SAMAJ KA NAZARIA TO MOHABBAT PAR PAISE KO TARJIH DETA HAI....MERA AISA MAANNA HAI
KISI AUR KA AUR NAZARIYA HO SAKTA HAI...BAHR HAAL MAIN ISS BARE APNI EK SOCH RAKHTA HOON..
3.YE BHI OPER KE SHER SE WABASTA HAI..ABB TO YE ALAM HAI RISHTE.NATE...AUR JO BHI RELATION HAI INSAANI KOI ATTACHEMENT NAHIN HAI..KHUDGHARZI HAI..USKE BAWAJOOD BHI ISHQ PARWAAN CHARTA HAI AAJ BHI..YAHAAN KARNAME MAINE POSITIVE SENSE MEIN LIYA HAI.. LEKIN AAP HALLAT KE HISAAB SE NEGATIVE BHI LE SAKTE HAI...JAISE DO MOHABBAT KARNE WALON..KO MAAR BHI DIYA JAATA HAI...SAY HONOUR KILLING ...ETC JAISA KI CASTE, RELIGION KA MUDDA LEKAR...
ISS SOCH PAR MAINE YE SHER KAHA HAI..
MAIN NAHIN JAANTA KI AAP KITNA ITTEFAQ RAKHTE HAI MERE ISS KHAYAAL SE...PAR MAINE APNI NIJI SOCH KE MUTABIQ YE GHAZAL LIKHA HAI...HOSAKTA HAI GHAZAL MEIN KOI TECHNICAL GHALTI HO..MUJHE NAHIN PATA....PAR MAIN ISME KOITABDILI NAHIN KAROON GAA YE MERI KHAALIS SOCH HAI AUR KOI BAHAS KA MUDDA NAHIN..
ALLAH HAFIZ
MB