~*~ Kabhi kuch seekh bhi lete ~*~ by Rahim

by dead heart on January 28, 2011, 10:30:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1489 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Bin hatyar kay qatl karne ka hunar rakhte ho,
Bewaffa hokar wafa dikhane ka kya faeda..

Parivar ki na sun kar der raat tak clubs main rehna,
Maa-baap ka na-sunkar doston ka sun’ne ka kya faeda..

Jhoot, sharab, tambaku, ladkiyan, aadatein bangayi zindagi ki,
Tasbih haath main rakh kar musalman samajne ka kya faeda..

Raaton ko tight jeans aur mini skirts pehen kar larrkon main gumna,
Phir larrkiyon din kay ujaale main parda karne ka kya faeda..

Nazmein toh kayi hai jo zindagi ko jeene kay falsafe seekhati hai,
Kabhi unhe parrkar kuch seekh bhi lete,
‘Khamosh’ sirf parrkar wah wahi karne ka kya faeda?

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2011, 06:13:28 AM »
Reply with quote
wah dost kya khubb bayani ki aapne.
shayd aap kuch sikayat kar rahe hain.
lekin Dost--- har kisi ki apni marzi hoti hai persnal freedom hota hai--
wo uska use kaise krta hai ye to aap unn par hi chhod do--
sab me khuda rahta hai--bina uparwale ki Desire kuch bhi nhi hota dost.
bas Aap hi Aap me sudhar kiye ja dost.
baaaki to Rabb ki marzi.
be happy always.
sukriya
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2011, 06:46:17 AM »
Reply with quote
good shayarana aandaz achha hai aap ka !@!@
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2011, 06:53:42 AM »
Reply with quote
wah dost kya khubb bayani ki aapne.
shayd aap kuch sikayat kar rahe hain.
lekin Dost--- har kisi ki apni marzi hoti hai persnal freedom hota hai--
wo uska use kaise krta hai ye to aap unn par hi chhod do--
sab me khuda rahta hai--bina uparwale ki Desire kuch bhi nhi hota dost.
bas Aap hi Aap me sudhar kiye ja dost.
baaaki to Rabb ki marzi.
be happy always.
sukriya
Hmm teh dil se shukriya apka Killbill jee..
hmm shikayat toh nahin mager kuch haqeeqatein bayan ki thi..
Aur jahan tak sawal Allah ki marzi se hone ka hai,
sahi kaha har shaks main Khuda hai mager gunaah insaan khud
karta hai..
khair, saath dene ka shukriya..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2011, 07:00:25 AM »
Reply with quote
good shayarana aandaz achha hai aap ka !@!@
Shukriya Kishan jee..
Khush rahiye..!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #5 on: January 29, 2011, 07:23:39 AM »
Reply with quote
aapne sahi kaha ki aapne haqeeqat bayan kiya.
lekin dost bura na maniyega--
agr insaan khud gunah karta hai tab KB iss baat ko khariz karta hai ki-- Insaan ke andar Khuda Basta hai !!
agr basta ho khuda dil me
to fir gunah kyun kare insaan??
fir to humara Khuda dosi hua--ya fir ye khud ko bargalane ki bekaar si baaten hain.
***
sorry bura na manna
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2011, 07:29:41 AM »
Reply with quote
bahot khoob rahim ji........

chubte huey shabd he but sab sach he aur aaj ki haqiqat bhi yahi he...

muje theme bahot hi aachi lagi rahim ji......bahot aache se ru-b-ru karwaya he apne sab ko......

keep it up
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2011, 11:51:31 AM »
Reply with quote
aapne sahi kaha ki aapne haqeeqat bayan kiya.
lekin dost bura na maniyega--
agr insaan khud gunah karta hai tab KB iss baat ko khariz karta hai ki-- Insaan ke andar Khuda Basta hai !!
agr basta ho khuda dil me
to fir gunah kyun kare insaan??
fir to humara Khuda dosi hua--ya fir ye khud ko bargalane ki bekaar si baaten hain.
***
sorry bura na manna
Isme bura man'ne wali baat hi nahin hai..
Ek general discussion hai jisme ap apna opinion rakh rahe hai..
Jahan tak apne baat kahi, kehte hai 'err is to human and forgive is to divine'..Insaan gunaah karega hi..kahin suna tha kay sabse
nek momin bhi dinn main 7 gunaah karta hai..
Toh Khuda har jagah hai, beshak mager gunaah bhi hissa hai..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2011, 11:52:22 AM »
Reply with quote
bahot khoob rahim ji........

chubte huey shabd he but sab sach he aur aaj ki haqiqat bhi yahi he...

muje theme bahot hi aachi lagi rahim ji......bahot aache se ru-b-ru karwaya he apne sab ko......

keep it up
Teh dil se shukriya Utkarsh jee..
haan sach toh chubta hi hai..
Khush rahiye..!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: January 29, 2011, 12:07:23 PM »
Reply with quote
Rahim bhai--
sachh to sachh hai--
sachh nahi chubta dost.
sabse badi chubhan hai Jhoot.
wo jhoot jab ek sachhe insaan ka shakl akhtiyar karke hame daste hain--
bas sirf jhoot aur Jhoote log se hi mai nafrat karta hun---
aur aap bahut khoobi se sachh ko utarte hain
issliye aapke fan hain hum
sukriya
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2011, 01:38:15 PM »
Reply with quote
Rahim bhai--
sachh to sachh hai--
sachh nahi chubta dost.
sabse badi chubhan hai Jhoot.
wo jhoot jab ek sachhe insaan ka shakl akhtiyar karke hame daste hain--
bas sirf jhoot aur Jhoote log se hi mai nafrat karta hun---
aur aap bahut khoobi se sachh ko utarte hain
issliye aapke fan hain hum
sukriya
Shukriya mere dost..
mujhe nahin pata tha kay mere fan bhi hai..
teh dil se shukriya..
haan jhoote logon se mujhe bhi bahaut zada shikayatein hai..
Khush rahiye..!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #11 on: January 29, 2011, 02:13:06 PM »
Reply with quote
sukriya dost
aapke fan to hum hain hi.
aur haan Jhoote login se mujhe sikayat nahi NAFRAT hai.
ek jhoot jo dil pr lag jaye to barson ki dosti khatam kr deta hun mai--
wese ye baat meri burai hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2011, 03:01:30 PM »
Reply with quote
sukriya dost
aapke fan to hum hain hi.
aur haan Jhoote login se mujhe sikayat nahi NAFRAT hai.
ek jhoot jo dil pr lag jaye to barson ki dosti khatam kr deta hun mai--
wese ye baat meri burai hai
nafrat ek bhari shabd hai isiliye istamal nahin karna chah raha tha main..
hmm mahan hai woh log jo khud keh sake 'mujh main yeh kharab hai..'
wah dost..
Khush rahiye..!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2011, 03:11:23 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Rahim Ji Acchi Soch Aur Acche Vichar Likhe Hai Aapne


Aapki Likhi Is Khubsurat C Post Ko Padhkar
Agar Koi Amal Na Kare To Phir Ye Padhne Ka Kya Fayda
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2011, 03:15:11 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Rahim Ji Acchi Soch Aur Acche Vichar Likhe Hai Aapne


Aapki Likhi Is Khubsurat C Post Ko Padhkar
Agar Koi Amal Na Kare To Phir Ye Padhne Ka Kya Fayda
teh teh dil se shukriya..
aur sahi kaha apne.. Usual Smile
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:23:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer