Kahi thi ek choti si baat

by Pooja on February 28, 2008, 11:19:22 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2880 times)
NETRAPAL
Guest
«Reply #15 on: June 04, 2008, 12:41:50 PM »
Reply with quote
Lovely...

Kehne ko kuch nahi, magar her taraf bikare hai yaad ke Nishaniyan
Her ek cheez main bhasi hai tere hi perchayiyan

Aapse hame hai pyar, hey sanam, bata kaise yakeen dilaye?
Kaise teri pyar bari baathein dilse juda karde?

 
Yaad bankar ek hansi hothoin pe aayi,
Par teri us muskaan ko yaad karke yeh aankhein bhi nam hogayi

Magar ek aap hai, phir se laut kar na aaye
Na manane ki koshish ki ..!!

Kehne ko to kuch b nahi, bas sirf ek choti si baat thi...


roja ji bahoot achaal jawwab likha hai aapne

netra..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
humney dil ki baat kahi by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dil ki baat kahi hai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
CHOTI BAAT....(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Choti Si Baat ............ Parkar by vin1984 in Ghazals
Hai to bilkul choti si baat magar...Raaj by Sunil Malhotra in Shairi - E - Zindagi
Pooja
Guest
«Reply #16 on: June 30, 2008, 05:06:23 PM »
Reply with quote
ajj kahni hai ek choti se baat,
dil kyun nahi de raha hai mera sath
Nirdai ho chuke hai tere sare zajbaat
kaya kabhi atti hai tujhko humari yaad?

ajj kahni hai ek choti se baat,
khai thi kuch kasame jab liya tha hatho mai hath
waqat ke sath toot gaya humara zindagi se pyarka saaz
kaya kabhi sunate ho tum, un beete lamho ke raag?

ajj kahni hai ek choti se baat,
hum kabhi bhoole nahi her sukh-dukh main wo tera sath
her tooti umeend karti hai ek he sawal
kaya tujhmein kahin ajj bhi hai kuch dabe zajbaat?


ajj kahni hai ek choti se baat....
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #17 on: June 30, 2008, 05:16:50 PM »
Reply with quote
Wah didi bahut accha likha hai aapne.
Roja didi, khwaish jee aap sabne bi accha likha hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: June 30, 2008, 05:21:12 PM »
Reply with quote
shukaria Sonia!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: November 26, 2008, 04:13:21 AM »
Reply with quote
kuch maine kaha, kuch meri khamoshi kah gai
sun kar sab kuch bhi, juban teri khamosh rah gai
pathar ho ya tum ho insaan nahi
kyun teri najar ajj wo najar nahi rah gai

kahi thi tumne ek choti si baat aor hum jahan chor ayye the
kyun ajj tere dil main, khud ki hi na koi aann rah gai
juda hona tha to ho jaate such kah kar
ajj sirf dil main teri jhoothi baatein rah gai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #20 on: November 26, 2008, 04:54:17 AM »
Reply with quote
Ati Sundar Likha Hai Aapne Pooja JI

Tinke ko pahaad bana dete hain yahi baat hai
Jab kuch kaha hi nahin to dil kyon udaas hai

Zid tumne kiya aur humne ki bas yahi baat hai
Dil toot gaya zid mein isi liye to woh udaas hai

Aag dono taraf barabar lagi hai yahi baat hai
Kaun jhukega pahele isi liye yeh dil udaas hai
      
Taqdeer kahan le jayegi bas yahi intezaar hai
Darar-e dil padh gaya isi liye dil udaas hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: November 26, 2008, 05:14:04 AM »
Reply with quote
Ati Sundar Likha Hai Aapne Pooja JI

Tinke ko pahaad bana dete hain yahi baat hai
Jab kuch kaha hi nahin to dil kyon udaas hai

Zid tumne kiya aur humne ki bas yahi baat hai
Dil toot gaya zid mein isi liye to woh udaas hai

Aag dono taraf barabar lagi hai yahi baat hai
Kaun jhukega pahele isi liye yeh dil udaas hai
      
Taqdeer kahan le jayegi bas yahi intezaar hai
Darar-e dil padh gaya isi liye dil udaas hai


wah kaya baat hai.. bahoot he acha jawab likha hai Rajesh ji


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #22 on: November 26, 2008, 05:17:15 AM »
Reply with quote
Thanx Pooja Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: November 26, 2008, 07:25:27 PM »
Reply with quote
Ati Sundar Likha Hai Aapne Pooja JI

Tinke ko pahaad bana dete hain yahi baat hai
Jab kuch kaha hi nahin to dil kyon udaas hai

Zid tumne kiya aur humne ki bas yahi baat hai
Dil toot gaya zid mein isi liye to woh udaas hai

Aag dono taraf barabar lagi hai yahi baat hai
Kaun jhukega pahele isi liye yeh dil udaas hai
     
Taqdeer kahan le jayegi bas yahi intezaar hai
Darar-e dil padh gaya isi liye dil udaas hai


tanhaai dil ki udaas kar jaati hai
bin baat ke ankhia bhar jaati hai

samjh sakte to samjha lete is dil ko
naumeendi main bhi, umeend ki aass jag jaati hai

Zid ki hado se bahoot door nikal ayye ab to
juda raahon main bhi, lage ki manjil mil jaati hai

choti se baat chahi thi is dil ne to sirf
bin galati ke bhi, kai baar bhari saja mil jaati hai
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:37:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer