**Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin** by Rahim

by dead heart on April 07, 2010, 09:40:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2105 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Bahaut koshish ki maine mager ab main muskurata nahin,
Tere bin ab mujse jeeya jata nahin,
Tadap kar rota rehta hoon har roz main,
Tujh bin mera yeh dil khushi se dhadakta bhi nahin,
Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin…

Kabhi teri baahon main khud ko dekha karte the,
Aj teri ek nazar ko taras gayi hai nigahein meri,
Kabhi teri zuban se ‘I love you’ suna karte the,
Aj kal toh tu mera haal tak puchna bhool jata hai,
Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin…

Ek waqt tha jab khushion ki barsaat thi,
Ab ashkon ki nadian behti hai,
Ek waqt tha jab dil mohobat ke geet gata tha,
Ab itna pathar ban chuka hai ke koi ehsaas nahin raha,
Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin…

Jo tha mere dil ka haqdaar,
Wohi dil ko marne(not to kill but to die) ki wajah degaya,
Jisne zindagi ko jeena seekhaya tha,
Wohi usse torrne ka kam kargaya,
Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin…
Bas bahaut ghum hai aj kal zindagi main meri,
‘Rahim’ uss ke bina bahaut adhura sa lagta hai,
Aj koi khwahish baki nahin mujh main,
Sivae iske ke who ta-umr khush rahe,
Main toh ek dinn haste haste laut jaunga Allah ke paas,
Mager wakei dukh hota hai,
Ke zindagi main uss jaisi pari ko na paa saka,
Bahaut dukh hota hai mujhe,
Kaisi thi zindagi uske saath ke saath,
Aj tassawur karne layak nahin hai uske bina,
Bas bahaut dukh hota hai mujhe,
Wakei,
Kaisi hogayi hai yeh zindagi meri tujh bin…



~Rahim~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DEKHIYE TO DUNIYA SE KAISI GHALATI HOGAYI by amaan in Shayri for Khumar -e- Ishq
**Mohobat hogayi hai** by Rahim by dead heart in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~Aadat hogayi hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Tujh bin bhi zindagi hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Kaisi Zindagi Dekhi ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2010, 04:30:37 AM »
Reply with quote
Wah wah Rahim bhai bahut dard aur khoobsurti se likha aapne.mindblowing creation Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2010, 09:24:13 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2010, 11:48:01 AM »
Reply with quote
Shukriya Madhu di aur Rajesh jee
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 08, 2010, 12:39:31 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2010, 12:50:27 PM »
Reply with quote
Shukriya Khwahish jee...Bahaut shukriya!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2010, 12:59:22 PM »
Reply with quote
kya Baat Hai Rahim Bhai.. Bahut Hi Khubsoorat Rachna Pesh Ki hai aapne.. Bahut Hi Umda Peshkash.. Bahut Khooooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 08, 2010, 01:00:00 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat kavita likhi hai aapne Rahim bhai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ek ek shabd me dard bhara hua hai... aapke dard ko main mehsoos to nahi kar sakta par haan dard mujhe bhi ho raha hai isko padhke... main aapse bas kuch kehna chahunga... ye kavita aapke kavita ko padhte hi flow me ban gaya mujhse.. pata nahi aapko pasand bhi aayegi ya nahi...

kisi k yaadon ko yun yaad kiya nahi karte,
jo chhod gaye unke ghum me jiya nahi karte,
aaj raat andheri hai to kya hai savera dur nahi,
is tarah khud pe zulam kiya nahi karte,

pal bhar ki khsuhiyaan deke wo chala gaya humse dur,
jo kar gaya hamare khwaabon ko chaknachur,
ek roz unko bhi hamari yaad tadpayegi,
us din wo bhi khoob royegi,

kehte hain hum aapse ki bhool jao saare ghamon ko,
ye bhi kehte hain ki bhool jao un yaadon ko,
ro ro k q kar rahe ho apna haal behaal,
bhool jao un guzre zamano ko,

maloom hai mujhe kehna aasaan aur karna mushkil hota hai,
dil jiska tut ta hai wo har ghadi rota hai,
hum to bas keh sakte hain ki na ho udaas tum,
par hume kya pata ki tumhe dard kitna hota hai,

duwa karenge ki jald hi tumhaari muskaan laut aaye,
tumhaari zindagi me bhi sachchi mohabbat aaye,
yun bewafai me fir kisi ka dil na tute,
har koi jahaan me bas khushiyaan hi paaye....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2010, 01:03:01 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Vikas bhaijan, Shihab bhaijan aur Kapil dost..

Kapil dost aap kuch likho aur hume pasand na aye, aisa ho nahin sakta...Bahaut ache dost!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 08, 2010, 01:15:25 PM »
Reply with quote
Shukriya Rahim bhai...!!!

Bahaut bahaut shukriya Vikas bhaijan, Shihab bhaijan aur Kapil dost..

Kapil dost aap kuch likho aur hume pasand na aye, aisa ho nahin sakta...Bahaut ache dost!!
Logged
neelgold
Guest
«Reply #10 on: April 08, 2010, 11:01:34 PM »
Reply with quote
Very nyc creation..
But very painful 2...
Bhut dard hai ismain ... anybody can feel itna acha likha hai apne..

& kapil ji myndblowing ....
too Gud !!!!!!!!!!!!!

Thnx a lot..........
God Bless u !!!!!!!!!!!!!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: April 09, 2010, 12:03:08 PM »
Reply with quote
Shukriya Neel jee.Bahaut bahaut shukriya!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: April 09, 2010, 12:09:44 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Neel...many many thanx...!!!

Very nyc creation..
But very painful 2...
Bhut dard hai ismain ... anybody can feel itna acha likha hai apne..

& kapil ji myndblowing ....
too Gud !!!!!!!!!!!!!

Thnx a lot..........
God Bless u !!!!!!!!!!!!!!!

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 18, 2024, 02:08:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer