Meri Tarah Yea Poetry bhi AK Uljan mea hai Ki Kis section mea post karun.. isliye Miscellaneous mea post kar rahi hun...
मन की व्याता, सुनाये गाता
कबहू सुख की बेला समझ पाये रे
देख दुझे की पीड़ा मेरे बाबुल
मन को मेरे चैन अब न आए रे
किस असमंजस में पड़े है पाँव
जो मेरे मन को घात लगाए रे
मन मेरा क्यूँ पूछे मुझसे प्रशन
क्यूँ उतर भी आपहु उलझ जाए रे
गूंजे ग़लत ध्वनी हर दिशाए
मस्तिष्क भी क्यूँ पथ भटकाए रे
कौन बोले है मीठे मीठे बोल यहाँ
कौन चुपके से यहाँ बाण चलाए रे
रंग ना जाए मेरे हाथ इस उलझन में
कैसे तेज़ लहरों से घर को बचाए रे
Mere iss kavita mea ak panchi( Bird) ka varnan kiya hai maine.. jo sulaj kar bhi uljan mea hai.. paida hone ke kuch ganto mea hi usko maa udna seekha deti hai.. aisi halat mea usko sahi galat ka pata bhi nahi hota... apni hi unchi udaan se woh panchi darne lagta hai uska dil kuch kehta hai aur deemaag kuch...aise mea kahi baar woh khud ko hi gaat( hurt ) kar leta hai... Dusre ki peeda ko jaane k baad woh dheere dheere sambhalne ki koshish karta hai par .. apni Maa pe bhi krodit ( angry ) ho jata hai kyun woh usko itni jaldi khud k pairo pe kada hona seekha deti hai... aur iss ke kaaran woh baad mea pachtata bhi hai...
Anth mea " रंग ना जाए मेरे हाथ इस उलझन में ,कैसे तेज़ लहरों से घर को बचाए रे " se tatparye yea hai ki khud k pairo mea khade hona jo itni jaldi usko maa seekha deti hai usse woh bechara Panchi ( Bird) dar jata hai ki.. kahin khud k pairo me kade hone ki gatna kahin usko uske parivaar se door na kar de...
Iss anthim ( last ) lino se ak aur tathparya hai ki woh panchi unn apne khawabo ki duniyaa bana leta hai yea jaante hue ki maa k saaye k begair har sapna adura hai .
( jaise ret mea hum ghar banate hai yea jaante hue bhi ki lehre usko udda denge) Dear divya bahut bahut accha likha hai tumne. aur
" रंग ना जाए मेरे हाथ इस उलझन में
कैसे तेज़ लहरों से घर को बचाए रे "
Wonderful