sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
Kisko ilzaam dooN maiN khud kee tabaahee ke liye. Sab ke aaye haiN payaam apnee safaai ke liye.
Mujhko farmaan sunaayaa hai ibaadat n karo. Maine maangee jo duaa sab kee bhalaai ke liye.
Aaj bhee mujhko chidhaayeN vo gulaabee kangan. Jo khareede the kabhee uskee kalaai ke liye.
Jaan detaa hai hameshaa hee vo raajaa ke liye. Koi raajaa n sunaa martaa sipaahee ke liye.
Do ghadee baith too bhee naam khudaa kaa lele. Zindagee saaree padee khoob kamaai ke liye.
Aaj bhaai hee banaa jaan kaa dushman kaisaa. Jaan detaa thaa jo bhaai kabhee bhaai ke liye.
Zurm karke bhee vo inaam ke haqdaar bane. Aur achhaai bachee meree buraai ke liye.
Kaun se bil meN chhupe jaa ke bataao ‘saini’. Roz aataa hai mahaajan jo ugaahee ke liye.
Dr.Surendra Saini
किसको इलज़ाम दूँ मैं ख़ुद की तबाही के लिए । सब के आये हैं पयाम अपनी सफ़ाई के लिए ॥
मुझको फ़रमान सुनाया है इबादत न करो । मैंने माँगी जो दुआ सबकी भलाई के लिए ॥
आज भी मुझको चिढायें वो गुलाबी कंगन । जो ख़रीदे थे कभी उसकी कलाई के लिए ॥
जान देता है हमेशा ही वो राजा के लिए । कोई राजा न सुना मरता सिपाही के लिए ॥
दो घड़ी बैठ तू भी नाम खुदा का लेले । ज़िंदगी सारी पडी ख़ूब कमाई के लिए ॥
आज भाई ही बना जान का दुश्मन कैसा । जान देता था जो भाई कभी भाई के लिए ॥
जुर्म करके भी वो इनआम के हक़दार बने । और अच्छाई बची मेरी बुराई के लिए ॥
कौन से बिल में छुपे जाके बताओ 'सैनी' । रोज़ आता है महाजन जो उगाही के लिए ॥
डा० सुरेन्द्र सैनी
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
aqsh
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 17, 2013, 03:26:28 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shihab
Yoindian Shayar
Rau: 27
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:29 days, 4 hours and 51 minutes.
Maut To Ek Shuruaat Hai...
Posts: 2082 Member Since: Dec 2006
|
|
«Reply #2 on: October 17, 2013, 03:32:19 PM » |
|
Wah Kya Kehne Sahab Jawaab Nahi.Marhaba Marhaba Dil Khush Ho Gaya Parhkar. Bahut Khub Shuru Se Akhir Tak Sabhi Ashaar Bahut Hi Achchey Lagey Mujhey Is Khubsoorat Kalaam Par Dil Ki Gehraaiyon Se Ba Aawaz E Buland Dad Kabul Farmaaye :clapping Shad o Aabaad Rahiye Shihab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sidra04
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 17, 2013, 03:36:42 PM » |
|
Aaj bhee mujhko chidhaayeN vo gulaabee kangan. Jo khareede the kabhee uskee kalaai ke liye
Faqat is sher ne mujhe itnaamutassir kiyaa hai Saini saab, ke main bataa nahi sakti.... waaqai aapki ghazleN apne aap me ek meyaar hain... behad aalatareen, lajawaab asarangez ghazal rahi hai aapki.. bahot jhakjhor ke rakh rakh diye ehsaas aapke... salutes to u sir... do keep writing.
Sidra
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Advo.RavinderaRavi
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 17, 2013, 04:38:38 PM » |
|
आज भाई ही बना जान का दुश्मन कैसा । जान देता था जो भाई कभी भाई के लिए ॥ Bahut Khoooooooooooooob Sir.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
kittoo
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 17, 2013, 04:43:52 PM » |
|
Bahot bahot bahot hi Khubsoorat andaaz hai apka. Badhaii ho sir ji.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #6 on: October 17, 2013, 04:47:58 PM » |
|
bohut khub saini sir bohut umda peshkash waaah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
SURESH SANGWAN
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 17, 2013, 04:49:58 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 17, 2013, 05:07:09 PM » |
|
Mujhko farmaan sunaayaa hai ibaadat n karo. Maine maangee jo duaa sab kee bhalaai ke liye.
Aaj bhee mujhko chidhaayeN vo gulaabee kangan. Jo khareede the kabhee uskee kalaai ke liye.
....khubsurat ashaar hain . magar neeche diye gaye sher ka matlab samajhne ki koshish kar raha hoon :
MaiN qalam khoon-e-jigar meN hee dubaa kar aksar. Roz likhtaa rahaa hooN unko siyaahee ke liye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ram Saraswat
Khususi Shayar
Rau: 26
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:10 days, 7 hours and 12 minutes.
Posts: 999 Member Since: Apr 2008
|
|
«Reply #9 on: October 17, 2013, 06:23:46 PM » |
|
Aaj bhaai hee banaa jaan kaa dushman kaisaa. Jaan detaa thaa jo bhaai kabhee bhaai ke liye. Zurm karke bhee vo inaam ke haqdaar bane. Aur achhaai bachee meree buraai ke liye. MaiN qalam khoon-e-jigar meN hee dubaa kar aksar. Roz likhtaa rahaa hooN unko siyaahee ke liye. Waah Dr. Saini bahut khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #10 on: October 17, 2013, 06:28:26 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
RAJAN KONDAL
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 17, 2013, 06:39:25 PM » |
|
MaiN qalam khoon-e-jigar meN hee dubaa kar aksar. Roz likhtaa rahaa hooN unko siyaahee ke liye. Kaun se bil meN chhupe jaa ke bataao ‘saini’. Roz aataa hai mahaajan jo ugaahee ke liye wha wha bhut khub bhut khub
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
Rau: 109
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 20 hours and 34 minutes.
खुश रहो खुश रहने दो l
Posts: 4127 Member Since: Feb 2013
|
|
«Reply #12 on: October 17, 2013, 07:01:14 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Iftakhar Ahmad
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 17, 2013, 09:10:40 PM » |
|
Aaj bhee mujhko chidhaayeN vo gulaabee kangan. Jo khareede the kabhee uskee kalaai ke liye.
Do ghadee baith too bhee naam khudaa kaa lele. Zindagee saaree padee khoob kamaai ke liye.
Waah waah sir bahut achhi ghazal rahi, in ash'aar ka jawaab nahiN, bahut pasand aae. DheroN daad aur ek Rau meri taraf se.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|