~*~ Kash aisa koi mehboob tera hota ~*~ by Rahim

by dead heart on May 09, 2011, 08:31:30 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3043 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Uss shaks kay bare main jab bhi aj sochta hoon, toh Faraz ka ek ashaar yaad ata hai..

Ungliyan aj bhi issi soch main gum hai Faraz,
Usne kaise naye haath ko thama hoga..

Doston, ager kisi ko apse mohobat hai na, toh uss mohobat ko khone na dena..Kyun ki hum kise chahte hai woh zaruri nahin hai..Kaun hume chahta hai, yeh zaroori hai.. jo kisi se toot kar mohobat kar sakta hai na, woh phir ussi shiddat se nafrat ya usse bhoola bhi sakta hai..

Issi baat par kuch lines yaad agayi kay:

Mohobat itni karoun kay koi hadd na rahe,
Bharosa itna karoun kay koi shak na rahe,
Aur jo aj diya dokha tumne mujhe toh sun lo,
Nafrat itni karoun kay phir mohobat na rahe..



Beet’ta gaya iss raftar se kay juda hue hum aur bhi,
Kash unn dino waqt kuch waqt kay liye thera hota..

Jo tha uske dil main mere liye woh mit gaya yunhi,
Kash mere liye uska pyaar thorra aur gehra hota..

Jo cheez meri zindagi main hai shamil wusulon ki tarha,
Kash uske dil pe bhi yunhi ek wafa ka sehra hota..

Jahan kabhi rehta tha main ab wahan kisi aur ka basera hai,
Kash uske dil kay aas paas ‘no entry’ jaisa koi pehra hota..

Kisi aur ki mahek mehsoos ki maine aj tujse milke ae Zalim,
Kash teri nigahon main aj bhi ‘Khamosh’ ka hi chehra hota..

Koi apne phone contacts main jaan kay naam se tujhe save karta,
Raaton ko der tak tujhe sms karta, tere hi khayalon main woh khoya rehta,
Tujse hi woh shuru hota aur tujhpe khatam hota, sirf aur sirf tujse mohobat karta,
Kash iss mukhtasir zindagi main ‘Khamosh’, aisa koi mehboob tera hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2011, 10:06:07 PM »
Reply with quote
 Hats off to you! :hatsoff:Bahut khoob Rahim bhai,ehsaas bhai khoobsurat peshkash,bahut pasad aayi aapke poem.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2011, 10:35:11 PM »
Reply with quote
Hats off to you! :hatsoff:Bahut khoob Rahim bhai,ehsaas bhai khoobsurat peshkash,bahut pasad aayi aapke poem.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Apka teh teh dil se shukriya..
Bas yunhi saath dete rahiye..
Khush rahiye..!
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: May 10, 2011, 12:58:22 AM »
Reply with quote
bht khoob mere dost…
khus rahiye
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #4 on: May 10, 2011, 07:58:59 AM »
Reply with quote
bht bht khoob rahim...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 10, 2011, 09:59:48 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2011, 11:03:57 AM »
Reply with quote
wah.... bahut bahut khub... rahimji...

 Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: May 10, 2011, 12:14:05 PM »
Reply with quote
bht khoob mere dost…
khus rahiye
Bahaut bahaut shukriya Nirala dost..
Khush rahiye..!

Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: May 10, 2011, 12:15:28 PM »
Reply with quote
bht bht khoob rahim...

Bahaut bahaut shukriya di..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: May 10, 2011, 12:16:33 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahaut bahaut shukriya Dost..
Khush rahiye..!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #10 on: May 10, 2011, 12:16:57 PM »
Reply with quote
Uss shaks kay bare main jab bhi aj sochta hoon, toh Faraz ka ek ashaar yaad ata hai..

Ungliyan aj bhi issi soch main gum hai Faraz,
Usne kaise naye haath ko thama hoga..

Doston, ager kisi ko apse mohobat hai na, toh uss mohobat ko khone na dena..Kyun ki hum kise chahte hai woh zaruri nahin hai..Kaun hume chahta hai, yeh zaroori hai.. jo kisi se toot kar mohobat kar sakta hai na, woh phir ussi shiddat se nafrat ya usse bhoola bhi sakta hai..

Issi baat par kuch lines yaad agayi kay:

Mohobat itni karoun kay koi hadd na rahe,
Bharosa itna karoun kay koi shak na rahe,
Aur jo aj diya dokha tumne mujhe toh sun lo,
Nafrat itni karoun kay phir mohobat na rahe..



Beet’ta gaya iss raftar se kay juda hue hum aur bhi,
Kash unn dino waqt kuch waqt kay liye thera hota..

Jo tha uske dil main mere liye woh mit gaya yunhi,
Kash mere liye uska pyaar thorra aur gehra hota..

Jo cheez meri zindagi main hai shamil wusulon ki tarha,
Kash uske dil pe bhi yunhi ek wafa ka sehra hota..

Jahan kabhi rehta tha main ab wahan kisi aur ka basera hai,
Kash uske dil kay aas paas ‘no entry’ jaisa koi pehra hota..

Kisi aur ki mahek mehsoos ki maine aj tujse milke ae Zalim,
Kash teri nigahon main aj bhi ‘Khamosh’ ka hi chehra hota..

Koi apne phone contacts main jaan kay naam se tujhe save karta,
Raaton ko der tak tujhe sms karta, tere hi khayalon main woh khoya rehta,
Tujse hi woh shuru hota aur tujhpe khatam hota, sirf aur sirf tujse mohobat karta,
Kash iss mukhtasir zindagi main ‘Khamosh’, aisa koi mehboob tera hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~


RAHIM BHAI ACHI NAZM HAI.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2011, 12:18:54 PM »
Reply with quote
wah.... bahut bahut khub... rahimji...

 Applause Applause Applause
Bahaut bahaut shukriya Manju jee..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: May 10, 2011, 12:19:43 PM »
Reply with quote

RAHIM BHAI ACHI NAZM HAI.
Shukriya shukriya KA jee..
Khush rahiye..!
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #13 on: May 10, 2011, 12:59:18 PM »
Reply with quote
Uss shaks kay bare main jab bhi aj sochta hoon, toh Faraz ka ek ashaar yaad ata hai..

Ungliyan aj bhi issi soch main gum hai Faraz,
Usne kaise naye haath ko thama hoga..

Doston, ager kisi ko apse mohobat hai na, toh uss mohobat ko khone na dena..Kyun ki hum kise chahte hai woh zaruri nahin hai..Kaun hume chahta hai, yeh zaroori hai.. jo kisi se toot kar mohobat kar sakta hai na, woh phir ussi shiddat se nafrat ya usse bhoola bhi sakta hai..

Issi baat par kuch lines yaad agayi kay:

Mohobat itni karoun kay koi hadd na rahe,
Bharosa itna karoun kay koi shak na rahe,
Aur jo aj diya dokha tumne mujhe toh sun lo,
Nafrat itni karoun kay phir mohobat na rahe..



Beet’ta gaya iss raftar se kay juda hue hum aur bhi,
Kash unn dino waqt kuch waqt kay liye thera hota..

Jo tha uske dil main mere liye woh mit gaya yunhi,
Kash mere liye uska pyaar thorra aur gehra hota..

Jo cheez meri zindagi main hai shamil wusulon ki tarha,
Kash uske dil pe bhi yunhi ek wafa ka sehra hota..

Jahan kabhi rehta tha main ab wahan kisi aur ka basera hai,
Kash uske dil kay aas paas ‘no entry’ jaisa koi pehra hota..

Kisi aur ki mahek mehsoos ki maine aj tujse milke ae Zalim,
Kash teri nigahon main aj bhi ‘Khamosh’ ka hi chehra hota..

Koi apne phone contacts main jaan kay naam se tujhe save karta,
Raaton ko der tak tujhe sms karta, tere hi khayalon main woh khoya rehta,
Tujse hi woh shuru hota aur tujhpe khatam hota, sirf aur sirf tujse mohobat karta,
Kash iss mukhtasir zindagi main ‘Khamosh’, aisa koi mehboob tera hota..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Bht Hi Khoob Rahim Ji.. Dil Se Daad ..  Thumbs UP Thumbs UP Yeh Line Zayada Hume Zayada Acha Laga.. Aur Aakhari Wala Bhi..   Usual Smile
Jahan kabhi rehta tha main ab wahan kisi aur ka basera hai,
Kash uske dil kay aas paas ‘no entry’ jaisa koi pehra hota..



-SKY-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: May 10, 2011, 02:08:43 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Bht Hi Khoob Rahim Ji.. Dil Se Daad ..  Thumbs UP Thumbs UP Yeh Line Zayada Hume Zayada Acha Laga.. Aur Aakhari Wala Bhi..   Usual Smile
Jahan kabhi rehta tha main ab wahan kisi aur ka basera hai,
Kash uske dil kay aas paas ‘no entry’ jaisa koi pehra hota..



-SKY-
Bahaut bahaut shukriya Sky tears jee..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:55:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer