~Kash main..~by Rahim

by dead heart on December 10, 2010, 07:35:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1241 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Main ko yeh likte hue bahaut maza aya hai..Muskurakar likha hai maine yeh..Ap bhi tassawur karke parre toh shayad ap sabhi ko maza ayega..

Kash main fizaon main behti mahek hota,
Teri har sans kay saath tere ander hota,
Tu chah kar bhi mujhe khud se alag na kar pati,
Kash main woh mahek hota..

Kash main teri diary ka ek pan’na hota,
Tu muj par tere ehsaas, jazbaat aur raaz bahati,
Phir mujhe parr kar tu hassa bhi karti aur roya bhi karti,
Kash main woh pan’na hota..

Kash main tere pairon main chamakti jhooti hota,
Tu sabko mujhe shaan se dikhati, meri tariff bhi karti,
Koi ladka chedta toh tu mujhe hatyar kay taur par istamal kar jati,
Kash main woh jhooti hota..

Kash main tere se lipat’ti chadar hota,
Teri baahon main rehta, tere ashkon ko ponchta,
Har raat bas teri hi panahon mein main sota,
Kash main woh chadar hota..

"Sab kuch banjaega 'Rahim' sivae kisi aur ka,
Iss qadar tujse mohobat karta hoon main.."

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kash main... by dead heart in Miscellaneous Shayri
~Kash main ek parinda hota~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Kash kabhi aisa bhi hojaye ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Woh Hain Main Hoon .......Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
~*~ Kash tera ho sakta ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 10, 2010, 07:42:12 PM »
Reply with quote
wah Rahim ji wah---kya feel karaya aapne. wakai bahut maza aya.
bhot khubsurat
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: December 10, 2010, 07:44:32 PM »
Reply with quote
Shukriya Killbill jee..!
Khush rahiye.!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2010, 12:15:20 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2010, 03:04:16 PM »
Reply with quote
Teh dil se shukriya Rajesh jee..!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2010, 03:10:49 PM »
Reply with quote
Main ko yeh likte hue bahaut maza aya hai..Muskurakar likha hai maine yeh..Ap bhi tassawur karke parre toh shayad ap sabhi ko maza ayega..

Kash main fizaon main behti mahek hota,
Teri har sans kay saath tere ander hota,
Tu chah kar bhi mujhe khud se alag na kar pati,
Kash main woh mahek hota..

Kash main teri diary ka ek pan’na hota,
Tu muj par tere ehsaas, jazbaat aur raaz bahati,
Phir mujhe parr kar tu hassa bhi karti aur roya bhi karti,
Kash main woh pan’na hota..

Kash main tere pairon main chamakti jhooti hota,
Tu sabko mujhe shaan se dikhati, meri tariff bhi karti,
Koi ladka chedta toh tu mujhe hatyar kay taur par istamal kar jati,
Kash main woh jhooti hota..

Kash main tere se lipat’ti chadar hota,
Teri baahon main rehta, tere ashkon ko ponchta,
Har raat bas teri hi panahon mein main sota,
Kash main woh chadar hota..

"Sab kuch banjaega 'Rahim' sivae kisi aur ka,
Iss qadar tujse mohobat karta hoon main.."

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Bahut khoob rahiim  n thnx ki tumne kuch khumar se bhara likha..bahut khoob...take care..Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: December 11, 2010, 03:14:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob rahiim  n thnx ki tumne kuch khumar se bhara likha..bahut khoob...take care..Usual Smile
Bas di apna kaha tha toh sun liya..
koshish karunga yeh kalam dard na bahaye..
teh dil se shukriya..!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2010, 01:15:02 AM »
Reply with quote
Kash keh aisaa hotaa.........
humari duaayeN aap ke saath haiN.......
Rahim jee....bahut khoob!
Logged
hasham
Guest
«Reply #8 on: December 13, 2010, 04:40:12 AM »
Reply with quote
waah Raheem ji kitna achcha likhte hain aap good job

Jo Bichard gaya us par gham na kar...
Aankhein khol ke tujhe duniya dekhni hai....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: December 13, 2010, 05:29:55 AM »
Reply with quote
Wah bahut baddiya Rahim bhai ek alag andaaz mein likha aapne.great creation,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: December 13, 2010, 10:54:30 AM »
Reply with quote
Kash keh aisaa hotaa.........
humari duaayeN aap ke saath haiN.......
Rahim jee....bahut khoob!
Bahaut bahaut shukriya Mamta jee..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2010, 10:56:55 AM »
Reply with quote
waah Raheem ji kitna achcha likhte hain aap good job

Jo Bichard gaya us par gham na kar...
Aankhein khol ke tujhe duniya dekhni hai....
Shukriya jee..
bahaut achi lines..!
 Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: December 13, 2010, 10:59:29 AM »
Reply with quote
Wah bahut baddiya Rahim bhai ek alag andaaz mein likha aapne.great creation,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Teh dil se shukriya di..!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #13 on: December 14, 2010, 08:11:51 AM »
Reply with quote
bahut badhiya rahim bhaii..apni ek bahut purani poem ka ek para pesh karta hun..

rahe na rahe ye jawwani mere hamnasheen
main fir bhi tera intezar karta jauga
jo maut bhi mili tujhse pehle mujhe
mai wapas auga main is kadar tujhse mohabbat karke jauga~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: December 14, 2010, 03:17:27 PM »
Reply with quote
Teh dil se shukriya mere bhai..
Aur kya khoob para hai yeh..
Kya baat hai..
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 08:41:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer