----- /// Kashmakash /// -----

by klaskar on August 26, 2010, 05:30:43 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1139 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote


kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
us pyaari si tasveer ko dil me chhipaake,
kisi aur ki tasveer sajaane chala hoon,

aankhon me sharaarat, hothon pe hasi hai,
use pyaar ki murat banaane chala hoon,
kisi aur ke naam thi zindagi meri, par
kisi aur ke sang main bitaane chala hoon,

naam-e-mohabbat ke chehre kai hain,
dil ko apne main samjhaane chala hoon,
bhoolaake kisi ki mohaabat ko main,
kisi aur se mohabbat karne chala hoon,

dur hai wo par main bhoola nahi hoon,
uski yaadon ko main mitaane chala hoon,
apni looti hui mohabbat ko main,
kisi aur pe aaj lootaane chala hoon,

raah-e-mohabbat kathin hai magar,
us raah pe main dobaara chala hoon,
thak ke haara hoon ek baar magar,
ek nayi koshish main karne chala hoon,

kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
apni khuli baahon ko failaa ke, main
kisi aur ko seene se lagaane chala hoon...


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kashmakash by thycreator in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 18 19 »
- Kashmakash - by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kashmakash by sunilastin in Shayri for Khumar -e- Ishq
kashmakash by chitralsony in Shayri for Khumar -e- Ishq
kashmakash by maninder.jeet.singh in Shayri-E-Dard
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2010, 07:40:44 AM »
Reply with quote


kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
us pyaari si tasveer ko dil me chhipaake,
kisi aur ki tasveer sajaane chala hoon,

aankhon me sharaarat, hothon pe hasi hai,
use pyaar ki murat banaane chala hoon,
kisi aur ke naam thi zindagi meri, par
kisi aur ke sang main bitaane chala hoon,

naam-e-mohabbat ke chehre kai hain,
dil ko apne main samjhaane chala hoon,
bhoolaake kisi ki mohaabat ko main,
kisi aur se mohabbat karne chala hoon,

dur hai wo par main bhoola nahi hoon,
uski yaadon ko main mitaane chala hoon,
apni looti hui mohabbat ko main,
kisi aur pe aaj lootaane chala hoon,

raah-e-mohabbat kathin hai magar,
us raah pe main dobaara chala hoon,
thak ke haara hoon ek baar magar,
ek nayi koshish main karne chala hoon,

kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
apni khuli baahon ko failaa ke, main
kisi aur ko seene se lagaane chala hoon...


*****HRIDAY*****


waah waah bahut khoob klaskar ji lekin ye koshish asli zindagi mein na karna....warna....

  kashmakash ki iss zindagi mein...,
  khud ko bhool kar khud ko talaashne chala hoon
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2010, 10:12:58 AM »
Reply with quote
kya kehna klaskar ji......
awesome its to good..... Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: August 26, 2010, 12:57:35 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya M_B ji... ji aapki salaah yaad rakhenge...!!!


waah waah bahut khoob klaskar ji lekin ye koshish asli zindagi mein na karna....warna....

  kashmakash ki iss zindagi mein...,
  khud ko bhool kar khud ko talaashne chala hoon
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 26, 2010, 12:58:00 PM »
Reply with quote
thank you so so so much Devangi ji....!!!

kya kehna klaskar ji......
awesome its to good..... Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause  Applause

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2010, 02:48:12 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Kapil
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: August 31, 2010, 05:58:34 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji....!!!

Bahut khoob Kapil
Logged
Sps
Guest
«Reply #7 on: July 05, 2012, 11:46:01 AM »
Reply with quote
ye bahot khoobsurat hai hriday ji....
kabhi kabhi jab ham apne sher likhte hai to shayad khud ki baate batane k liye,,lekin aksar is tarah kitne logo ko unke hi mann ka aaina dikha dete hai...
behad khoobsurat ...loved it...
aapki shaayri padhke hamesha hi bahot achcha lagta hai...Thanks for such beautiful poems
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: July 13, 2012, 11:50:08 AM »
Reply with quote
kitni saari yaadein fir se lehra gai jahen me ye post padhkar kp... ossum post and feelings dear.... missing all those moments.....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:28:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer