Khabar apne gireba.n ki

by riyaz106 on July 16, 2010, 12:23:29 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1870 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahaadur hai wo ek baar maraa karta hai

Koi zardaar ho, raaja ho ya ho taaqatwar
Maut jab aati hai, koi bhi nahi bachta hai

Zindagi mein na wo paayega kabhi dil ka sukoon
Qadr jo apney buzurgo.n ki nahi karta hai


Riyaz Ashna
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaho apne dil ki baat apne YoIndian friends se by deepika_divya in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 15 16 »
Apne Apne Pyaar Ki Paribhasha**** by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq
**Apne Apne Naseeb** by SairaKhan in Shayri for Dard -e- Judai
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 16, 2010, 12:31:32 PM »
Reply with quote
Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai


Riyaz Ashna

bahoot khoob riyaz ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 16, 2010, 12:38:40 PM »
Reply with quote
Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahadur hai wo ek baar maraa karta hai


Riyaz Ashna

Riyaz Bhai, bahut Bahut Khoob Likha Hai Aapne..

Pehle Sher Par To Hazaaro Dad..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2010, 03:19:37 PM »
Reply with quote
Bekarar ji aapka tah e dil se shukriya ke aapne meri koshish ko pasand kiya
bahoot khoob riyaz ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2010, 11:37:32 PM »
Reply with quote
Khwaish ji aapka behad shukria ke  aapne meri is rachna ko pasand kiya.
Riyaz Bhai, bahut Bahut Khoob Likha Hai Aapne..

Pehle Sher Par To Hazaaro Dad..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: July 17, 2010, 04:59:16 AM »
Reply with quote
Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahaadur hai wo ek baar maraa karta hai

Koi zardaar ho, raaja ho ya ho taaqatwar
Maut jab aati hai, koi bhi nahi bachta hai

Zindagi mein na wo paayega kabhi dil ka sukoon
Qadr jo apney buzurgo.n ki nahi karta hai


Riyaz Ashna

Very Impressive creation ......Riyaz Ji......dil se daad.... !
Logged
SHABBIR AHMED HASHMI
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2010, 04:08:14 PM »
Reply with quote
ASSALAAM-O-ALIAKUM RIYAZ SAB,
           BOHOTH HI KHUBSURAT GHAZAL PEYESH KI HAI AAPNE HER EK ASHAAR WAZANDAR HAI SPECIALLY "MATLA" AUR "MAQTA" BADHYA HAI DIL KO CHOOKAYI HAI BHAI AAPKI SHAYERI ALLAH AAPKO AUR AAP KE GHAR WALON KO KHUSH RAKHE. AMEEN.........

 wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav                                                                       Hats off to you!
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: July 18, 2010, 02:16:47 AM »
Reply with quote
Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahaadur hai wo ek baar maraa karta hai

Koi zardaar ho, raaja ho ya ho taaqatwar
Maut jab aati hai, koi bhi nahi bachta hai

Zindagi mein na wo paayega kabhi dil ka sukoon
Qadr jo apney buzurgo.n ki nahi karta hai


Riyaz Ashna
Waah ! Riyaz Sahab bahoot khoob, andaze-bayan aur fankari ki bemisal ghazal, aap ka kya kahna!!

I remember my teacher's quote "...follow my advice not because I know more than you but I have more experience of failure"
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: July 18, 2010, 09:47:22 AM »
Reply with quote
Naresh Sahab aapka bahot bahot shukriya ke aapko meri ye ghazal pasand aai.
Very Impressive creation ......Riyaz Ji......dil se daad.... !
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: July 19, 2010, 01:53:18 AM »
Reply with quote
Shihab bhai aapka behad shukriya ke aapne ghazal ko pasand kiya. Hamesha khush rahiye.
Riyaz Bhai Aadab Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge.
Aur Kya Kahun Bhai Aapto Hain Hi Lajwaab Humesha Kuch
Na Kuch Naya Sikhne Ko Milta Hai Aapse Hume...
Bade Hi Khoobsurat Andaz Aur Sadgi Ke Saath Saaf Saaf
Lafzon Mein Har Baar Aap Badi Se Badi Baat Aasani Se Likh Jaate Hai.
Aapki Har Peshkash Mein Koi Na Koi Sikh Jarur Hoti Hai
Har Baar Mujh Jaise Na Samajhko Aapse Bahut Kuch Sikhne Ko Milta Ha..
Har Baar Ki Tarah Is Baar Bhi Aapko Parhke Dil Baagh Baagh Ho Gaya
Aagaz Se Lekar Anjaam Tab Bas Behtareen Hi Behtareen...
Kashkar Mujhe Aakhir Ki 4 Lines Bahut Achchi Aur Sachchi Lagi
Bahut Hi Khooburat Peshkash Hai Bhai Mere...

Hazaron Dad ...

ALLAH Pak Aapko Aur Hunar Se Nawaaze Dilon Mein Ghar Kar Jane Ke.
Yun Hi Bazm Ko Roshan Karte Rahiye...


ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...


~Shiab~

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: July 19, 2010, 05:12:41 AM »
Reply with quote
Shabbir Bhai aapka behad shukriya ke aapne meri ye ghazal pasand ki aur tareef ki. Allah aapko khush rakhe.
ASSALAAM-O-ALIAKUM RIYAZ SAB,
           BOHOTH HI KHUBSURAT GHAZAL PEYESH KI HAI AAPNE HER EK ASHAAR WAZANDAR HAI SPECIALLY "MATLA" AUR "MAQTA" BADHYA HAI DIL KO CHOOKAYI HAI BHAI AAPKI SHAYERI ALLAH AAPKO AUR AAP KE GHAR WALON KO KHUSH RAKHE. AMEEN.........

 wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav wav                                                                       Hats off to you!
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2010, 10:40:07 AM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Baat Hai Riyaz Bhai
Samajh Nahi Aa Raha Kaise Tareef Karun
Ek Betareen Aur Khoobsurat Peshkash
Bahut Kuch Sikh Deti Hui Yeh Ghazal
Bahut Hi Achchi Ban Padi Hai Janaab
Dad Hazir Karta Hoon
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: July 19, 2010, 12:46:48 PM »
Reply with quote
Pandey sahab kin alfaaz mein aapka shukriya adaa karun. Aap hamesha mera hausla badhate hain. Ghazal pasand karne ke liye aapka tah e dil se shukriya. Aapse guzarish ke aap bhi kuchh is bazm ko ataa farmayen.
Waah ! Riyaz Sahab bahoot khoob, andaze-bayan aur fankari ki bemisal ghazal, aap ka kya kahna!!

I remember my teacher's quote "...follow my advice not because I know more than you but I have more experience of failure"

Logged
Riyaz_106
Guest
«Reply #13 on: July 19, 2010, 05:05:15 PM »
Reply with quote
Shabbir bhai aapne ghaur se ghazal parhi, waqt diya aur pasbnd kiya iske tahe dil se shukria. Hamesha khush rahiye.
Wah Wah Kya Baat Hai Riyaz Bhai
Samajh Nahi Aa Raha Kaise Tareef Karun
Ek Betareen Aur Khoobsurat Peshkash
Bahut Kuch Sikh Deti Hui Yeh Ghazal
Bahut Hi Achchi Ban Padi Hai Janaab
Dad Hazir Karta Hoon

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #14 on: July 20, 2010, 09:49:37 PM »
Reply with quote
wah wah riyaz sb bahot hi umda janab. shabbir ahmed hashmi sb ne  matla aur maqta ko saraha .. mujhe bhi bahot pasand aaye ,,hazaro daad janab hamari janib se qubool kijiega.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 12:22:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer