Sabhi ko zindagi main, ek baar hi sahi, sachi mohobat karni chahiye..Ek maza, ek nasha, ek ehsaas hai..uss ehsaas main..
Aur mohobat kay saath saath, ek dua karni chahiye, kay woh shaks jisse apne chaha hai, woh kabhi juda na ho..Kyun ki woh ehsaas, sabhi ehsaason se zyada dard bhara hota hai.. Dua karein, saath saath, uss shaks ki qadr bhi..Especially uski, jo hume chahta hai..
Ek shaks ko kabhi humne bhi chaha tha mager, na usse ehsaas hua, na qadr..Sabse zyada dukh iss baat ka hota hai kay, woh vaade karke, mukar gaya..Aj lakh koshish kar loun, usse bhoola nahin pata..Faraz ne khoob kaha hai kay:
"Mohobat kay baad mohobat mumkin hai Faraz,
Toot kar chahna mager..ek baar hota hai.."Mera yeh introduction, bas ek dil ki zubani hai.. Aur yeh kalam, kuch khwaishon aur ek sachayi ko jorr kar, likhi gayi hai..
Laga kar gale hume uss shaks ne,
Mano humare jism ko hi usne, be-jaan kar diya..
Woh humari zindagi main kuch yun chhane laga kay,
Jan’ne laga hume, aur hume apne apse, anjaan kar diya..
Uske nashe main yun doobe kay ussi ka khayal rehta tha,
Khuda se mohobat ki raah main, usne hume yun shaitan kar diya..
‘khayal nahin rakhoge apna, toh baat nahin karungi’,
Dil ko cheer ne wale, yeh kaisa usne farmaan kar diya..
Humara wusul hai kay maaf nahin karta bewaffaon ko, ‘Khamosh’,
Uski mohobat ne dekho, hume apne dil se hi, be-imaan kar diya..
Faraz ne kabhi kaha tha ek shaer, dil ko bahaut choo jata hai,
“Bas itna hi kaha tha kay sadiyon kay pyaase hai Faraz,
Honthon pe rakh kay honth, usne ‘KHAMOSH’ kar diya..”
~..Rahim..~..A Silent Heart..~