dil ki paak baaton mein ye Internet ye sms kuch maayine nahin rakhta Kasak ji... Niraala ji... Koyal ji... Matrix ji... aur baaki sab log bhi...
jaane hum rishte nibhaate nibhaate kaha kho jaate hain... ab wo duniya hakeekat ki ho ya Internet ki ya phir online rehne ki... har jagah bas yakeen hi hota hai jo hum ek doosre par karte hain... to phir hakeekat mein to bas chehra hi nazar aata hai.. aur jaane us chehre ke peechhe ka kya raaz hai... bas logo ka milna likha hai, chaahe jis tarah mil jaayein... dhokha aur fareb to insaan ki hi fitrat hai... phir chahe wo saamne mile ya Internet par... har insaan ek saa nahin hota aap sab jaante hi honge... aur jahaan tak Kasak ji ne wajood khone ki baat ki hai... aisa kuch nahin hai... har rang hai zindagi ke, kuch na badalta hai na khatm hota hai Kasak ji... bas Yakeen banaaye rakhiye aapas mein... aur waise bhi khud ko alag dikhaane ki jaroorat hi kya hai kisi ko... dusro ki parwaah na kar ke hum to wahi ho sakte hain na jo real life mein hain... aap sabka bahut bahut shukriya itna wakt diya padhne ko... ummeed hai ki meri baat kisi ko buri na lagi hogi...
Intezar !
Sahi kha aapne...logon ka milna likha hai...chahe jaise mil jaaye....ek baat jo acchi lagi aapki...khud ko alag dikhane ki kya jarurat hai....sach hai...hum jo hai ,wo hai...aur bas wahi hamari pehchan hai......
sabke vichaar read kiye maine aur yahi paaya ki jisne jo mehsus kiya wahi likha.....jiske saamne zindagi ka jo rang aaya usne wahi likha.....aur yahi hota hai...do insaan ek hi disha mein dekhte hai lekin alag-alag najariye se.......
aur accha kha aapne....chehra toh hota hi dokha hai....sach toh sirf vishwaas hai....nakaab har chehre par hota hai....
Jinhe mili mohabbat mein duniya unki
Unke liye pyar khuda ho gaya
Jinhe mili bewafaayi ,tanhaayi iss raah par
Unka aehsaas pyar se juda ho gaya mai sirf yahi jaanti hu...jo maine inn chaar lines mein likha