khubsurat morr de kar chorr dena acha

by Pooja on September 18, 2009, 07:50:38 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 17494 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #15 on: September 19, 2009, 04:19:33 AM »
Reply with quote
bahut achche didi
magar aapne sach main bicchhadne ko khoobsurat bana diya hai
bahut bahut khoob


humein intzaar raha uska jo ghar nahin aaya
jiski yaad main har raat palkon ne maatam manaya
uska kehna tha kii kii woh lautega,main intzaar karoon
uski oos baat ka jaado ab tak hai mere jehan par chhaya


Bahoot bahoot Khoob Saahil !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUM KHUBSURAT HO by BHONDU in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Qatl Gaah Chorr Gaye.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
**Chorr ke kyun gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Haath chorr chala~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Chorr gaye sab yaar by Iftakhar Ahmad in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #16 on: September 19, 2009, 05:07:42 AM »
Reply with quote


Khwaabon Se Juda Hona, Asaan Nahin Hota,
Judaai Ka Ghum Seh Jaana Asaan Nahin Hota,
Koi Kaise Muskura Ke Kahe Alwida Bolo,
Kaanch Sa Dil Pathhar Kabhi Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Jin Raahon Pe Chale The Door Tak, Humraah,
Tanha Nazar Aaate Hain Wahi Raaste Sahra,
Pal Pal Ki Yaadain Satati Hain, Rulati Hain,
Yaadon Se Khaali Ye Daaman Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Anjaam Mohabbat Ka Judaai Hai Bhala Kyun,
Aankhon Main Ashkon Ki Lagti Hai Jhadi Kyun
Kyun Talwaar Si Hoti Hai Rasm-e-Zamaana,
Bhool Jaayen Use Muskura Ke, Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !


ek ek lafz such... ek ek lafz rula dene wala... yah wo he samjh sakte hai jo is raah se nikale hai...

Celmira too good.. wah kaya khoob likha hai...   Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: September 19, 2009, 05:14:19 AM »
Reply with quote

Simply Fantastic.. Full of emotions... Sach mea Di.. Dard Bare ehsaaso ko bakoobi lafzo ka roop diya hai... Hamesha ki tarah Bahoot Hi laajawaab !

Mohabaat k raste hamesa Muskil hote hai
Bichne ka ehsaas kabhi ,Kabi aasaan nahi hota
Dil Rota hai aaj bhi Usko raat kar raato mea
Yaado mea raat Guzarna , Yun aasaan nahi hota

Mehfil mea jab Koi leta apni Mohabbat ka naam
Apne Dard ko , Lafzo mea daalna itna aasan nahi hota
Bhul jaaye koi apni Mohabbat ko kisi k liye yun
Magar Tanhai mea Unn Yaado lo Bulana aasan nahi hota

!Divya!

wah wah wah Divya kaya baat hai.... bahoot khoob!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: September 19, 2009, 05:15:09 AM »
Reply with quote
bahut achche didi
magar aapne sach main bicchhadne ko khoobsurat bana diya hai
bahut bahut khoob


humein intzaar raha uska jo ghar nahin aaya
jiski yaad main har raat palkon ne maatam manaya
uska kehna tha kii kii woh lautega,main intzaar karoon
uski oos baat ka jaado ab tak hai mere jehan par chhaya


WAH WAH WAH kaya khoob ikha hai lil bro...........
Logged
cara
Guest
«Reply #19 on: September 19, 2009, 09:40:01 AM »
Reply with quote
Mere ek dost ne kuch din pahle mujhe sms kiya in lines ke sath

"Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha"


aor kaha ki main is per kuch bhi likhu...
waqat ki tangi ki wajah se maine dhayan nahi diya.. magar ajj abhi najar parri to kuch lines man mai aa gai.. Likhne ja rahi hu:

Jise anzaam tak laana na ho mumkin
Use ek khubsurat morr de kar chorr dena acha!..!!

Chorna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Bichadna kabhi khubsurat ho nahi sakta
Jis morr ke baad, aye ansoo ki barsaat
Wo barsaat ka mosam acha ho nahi sakta

Dard rahta hai dil main, morr kitne he paar ho jaaye
Sathi ke bichudne ka dard, kabhi khatam ho nahi sakta
Shabdo ka jaadu hai, jadugari se behka do
Koi bhi behak jaana, umarbhar chal nahi sakta

Saalo baad bhi tees uthati hai aor ankhein ro deti hai
Ankhon ka dard main rona, kabhi acha ho nahi sakta
Judai ka zakham, her khushi main bhi Rulata hai
Khushio ka dukh main badal jaana, khubsurat ho nahi sakta

Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…
Bichardna kabhi khubsurat ho nahi sakata…


kya baat hai pooja ji.......

JISE ANJAAM TAK LAANA NA HO MUMKIN,
USEY EK KHUBSURAT MORR DEKAR CHOD DENA ACHA.

KITNA ASAAN HAI KHE DENA JAB MILKAR JEE NAHIN SAKHTE,
TAB BICHAD KAR JEENE MEIN HI HAI ACHA,

KYA TUM HAMARE BIN JEE PAOGEY,
YAAN HUM AAP KE BIN JEE PAYEGEY.

PYAAR KIYA HAI,SAATH JEENE MARNE KI KASAM KHAYI HAI,
AGAR ZAMAANA SAATH JEENE NAHIN DETA,
TOH IS PYAAR KO KHUBSURAT ANJAAM DENA HI HAI ACHA.

AUR IS SEY KHUBSURAT KYA ANJAAM HO SAKHTA HAI,
KI IS ZALIM DUNIYA KO CHOD,SAATH MAR JAANA HI HAI ACHA.
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #20 on: September 19, 2009, 12:36:56 PM »
Reply with quote


Khwaabon Se Juda Hona, Asaan Nahin Hota,
Judaai Ka Ghum Seh Jaana Asaan Nahin Hota,
Koi Kaise Muskura Ke Kahe Alwida Bolo,
Kaanch Sa Dil Pathhar Kabhi Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Jin Raahon Pe Chale The Door Tak, Humraah,
Tanha Nazar Aaate Hain Wahi Raaste Sahra,
Pal Pal Ki Yaadain Satati Hain, Rulati Hain,
Yaadon Se Khaali Ye Daaman Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !

Anjaam Mohabbat Ka Judaai Hai Bhala Kyun,
Aankhon Main Ashkon Ki Lagti Hai Jhadi Kyun
Kyun Talwaar Si Hoti Hai Rasm-e-Zamaana,
Bhool Jaayen Use Muskura Ke, Ho Nahin Sakta
Bichadna Kabhi Khoobsurat Ho Nahin Sakta !


Wah wah wah wah bohat ache aapi just amezing very true bohat khooob....  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #21 on: September 19, 2009, 12:47:19 PM »
Reply with quote
Quote
Mohabaat k raste hamesa Muskil hote hai
Bichne ka ehsaas kabhi ,Kabi aasaan nahi hota
Dil Rota hai aaj bhi Usko raat kar raato mea
Yaado mea raat Guzarna , Yun aasaan nahi hota

Mehfil mea jab Koi leta apni Mohabbat ka naam
Apne Dard ko , Lafzo mea daalna itna aasan nahi hota
Bhul jaaye koi apni Mohabbat ko kisi k liye yun
Magar Tanhai mea Unn Yaado lo Bulana aasan nahi hota

!Divya!


Bohat khooooob divya ji wah very very nice... Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #22 on: September 19, 2009, 01:10:36 PM »
Reply with quote
Superb Pooja ji...khoob kha aapne bichadna kabhi khoobsurat nahi ho sakta....
Tooooooo good Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Celmira ji bahoot khoob saath diya aapne Pooja ji ka....bahoot khoob
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahoot khoob Sophi ji...aapne bhi rang jamaa diya yha
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Saahil ji aapki char lines hi kamaal kat gayi....bahoot khoob
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Cara ji kya khoob alfaaz likhe hai aapne.....bahoot acche
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: September 22, 2009, 05:57:07 PM »
Reply with quote
kya baat hai pooja ji.......

JISE ANJAAM TAK LAANA NA HO MUMKIN,
USEY EK KHUBSURAT MORR DEKAR CHOD DENA ACHA.

KITNA ASAAN HAI KHE DENA JAB MILKAR JEE NAHIN SAKHTE,
TAB BICHAD KAR JEENE MEIN HI HAI ACHA,

KYA TUM HAMARE BIN JEE PAOGEY,
YAAN HUM AAP KE BIN JEE PAYEGEY.

PYAAR KIYA HAI,SAATH JEENE MARNE KI KASAM KHAYI HAI,
AGAR ZAMAANA SAATH JEENE NAHIN DETA,
TOH IS PYAAR KO KHUBSURAT ANJAAM DENA HI HAI ACHA.

AUR IS SEY KHUBSURAT KYA ANJAAM HO SAKHTA HAI,
KI IS ZALIM DUNIYA KO CHOD,SAATH MAR JAANA HI HAI ACHA.


bahoot khoob cara ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: September 22, 2009, 05:57:37 PM »
Reply with quote
Superb Pooja ji...khoob kha aapne bichadna kabhi khoobsurat nahi ho sakta....
Tooooooo good Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Celmira ji bahoot khoob saath diya aapne Pooja ji ka....bahoot khoob
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahoot khoob Sophi ji...aapne bhi rang jamaa diya yha
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Saahil ji aapki char lines hi kamaal kat gayi....bahoot khoob
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Cara ji kya khoob alfaaz likhe hai aapne.....bahoot acche
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thank you so so so much Nikhaar ji!!!
Logged
shams ansoo
Guest
«Reply #25 on: December 15, 2010, 03:12:56 PM »
Reply with quote
sufaid libas usay passand bohat tha mere jism par shams....
Aaj kafan mai lepta hu to wo rota kio hai
contact:- 0312-9108000
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:32:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer