Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17176 times)
Pooja
Guest
«Reply #150 on: January 04, 2009, 09:02:54 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH Pooja Ji, Pank Ji aur Sonia Ji - Bahut Bahut Bahut hii khoob!!

Ek se badh kar ek Applause Applause Applause

Thanks Deepti
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #151 on: January 04, 2009, 09:04:26 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Poojaji

Meri bewafayi tere gamo ka paimana hai,
Aahato me teri, meri khwahisho ka zamana hai...

Na baat mujhe koi jasbaat apne,
Dil to aaj bhi tera hai, jiske hisse me dard hi aana hai...

Dekhta hun aaj bhi tujhe khud se dur jab bhi,
Sochta hun aabhi kitanea aur imtehan dilana hai...

Ruthe khwab man jate gar manane se,
To ye na kehte, apni toh fitrat hi ruthe khwabo ko manana hai...

~Pank~

Shukriya Poojaji

Koi kis tarah ka pyar karta hai,
Pal bhar ki khusi ke liye, sari zindagi ko nisar karta hai...

Hotho ko seekar dil ki dastan chipata hai use dard dene se,
Apni halat ki parvah nahi karta,aur gunah-e-ishq bar bar karta hai...

Rahat hoti nahi dil ko ek pal ko bhi,
Pal bhar ki zindagi me bhi tera intezar karta hai...

Kaise bataye Koi Kis Tarah Ka Pyar Karta Hai....

~Pank~

 Applause Applause Applause

bahootkhoob pank ji... bahoot he acha likha hai apne...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #152 on: January 04, 2009, 09:06:50 AM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #153 on: January 04, 2009, 10:00:16 AM »
Reply with quote

Har Bar Mujh Ko Zakhme Na Dia Ker..
Ager Tu Nahi Mera To Dikhai Na Dia Kar..

Sach Jhoot Teri Ankhon Se Ho Jata Hai Zahir..
Qasam Na Utha Itni Safai Na Dia Kar..

Maloom Hai Rahat Hai Tum Ko Ab Mujh Se Dhur Hokar,
Pass Aa Ke Mohabbat Ki Duhai Na Dia Kar..

Ud Jaye To Phir Laut Kar Nahi Aate Wapis
Har Bar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar...


wah wah wah wah...Sonia jee wah...bahaut hi acha likha hai...


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #154 on: January 04, 2009, 10:34:17 AM »
Reply with quote

Har Bar Mujh Ko Zakhme Na Dia Ker..
Ager Tu Nahi Mera To Dikhai Na Dia Kar..

Sach Jhoot Teri Ankhon Se Ho Jata Hai Zahir..
Qasam Na Utha Itni Safai Na Dia Kar..

Maloom Hai Rahat Hai Tum Ko Ab Mujh Se Dhur Hokar,
Pass Aa Ke Mohabbat Ki Duhai Na Dia Kar..

Ud Jaye To Phir Laut Kar Nahi Aate Wapis
Har Bar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar...


Nice one Soni Bahna
Logged
Pooja
Guest
«Reply #155 on: January 04, 2009, 09:44:19 PM »
Reply with quote
Wah Soniaji
Bahoot Khoob  Applause Applause Applause
Itani safayi se aapne likha hai ke ise bar bar padhne ka dil kar raha hai

Sorry Line se alag likh raha hun Poojaji
But Bahoot mann kiya kuch likhne ka

Rahe mohabbat ki aasan nahi hoti,
Dard hai ye aaisa jise lagaye bina pehchan nahi hoti...

Gam-e-Ishq pe qurbaan hokar zindagi ki rahe,
Har dard se gujarti hai, ye anjaan nahi hoti...

~Pank~


jo dil main ayye wo bejhijhak likha kare... sorry kis liye Pank ji...

Anjaan hota hai her safar, safar koi asaan hota nahi
jaan kar bhi chale phir jo dard main, waha karaar hota nahi

Gum, Ishaq, Zkhamo ka hai naata bada dilchisap dost
bina Gum-e-zakham ke, kabhi koi Ishaq hota nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #156 on: January 04, 2009, 09:46:29 PM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji

Koi kis tarah ka pyar karta hai,
Pal bhar ki khusi ke liye, sari zindagi ko nisar karta hai...

Hotho ko seekar dil ki dastan chipata hai use dard dene se,
Apni halat ki parvah nahi karta,aur gunah-e-ishq bar bar karta hai...

Rahat hoti nahi dil ko ek pal ko bhi,
Pal bhar ki zindagi me bhi tera intezar karta hai...

Kaise bataye Koi Kis Tarah Ka Pyar Karta Hai....

~Pank~

dil chahe ab, zindagi bhar tujhko mera he intzaar rahe
jaise tadap main tamaam zindagi, waise he tera dil bekaraar rahe

na kah kuch bhi shabdo main, ab sird ahsaas ki he baat rahe
jo mere dil ko chu sake, aise teri koi to baat rahe...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #157 on: January 04, 2009, 09:57:40 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Poojaji

Meri bewafayi tere gamo ka paimana hai,
Aahato me teri, meri khwahisho ka zamana hai...

Na baat mujhe koi jasbaat apne,
Dil to aaj bhi tera hai, jiske hisse me dard hi aana hai...

Dekhta hun aaj bhi tujhe khud se dur jab bhi,
Sochta hun aabhi kitanea aur imtehan dilana hai...

Ruthe khwab man jate gar manane se,
To ye na kehte, apni toh fitrat hi ruthe khwabo ko manana hai...

~Pank~

Mera hota jo yah dil, kabhi dard hume milta nahi
hote hum khush, koi zakham dil main palta nahi

manaane se to maan jaaye rab bhi, insaan kaya hai
magar tere manaane main, wo asar dikhta nahi
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #158 on: January 04, 2009, 10:08:00 PM »
Reply with quote
dil chahe ab, zindagi bhar tujhko mera he intzaar rahe
jaise tadap main tamaam zindagi, waise he tera dil bekaraar rahe

na kah kuch bhi shabdo main, ab sird ahsaas ki he baat rahe
jo mere dil ko chu sake, aise teri koi to baat rahe...


Chahe jo tera dil khuda kare vo sab haqeeqat ho jaye,
Mai jaagu teri yaad me tadap tadap ke, aur tujeh chain ki neend aa jaye...

Rutha tu jis vajah se mere sahil,
Us gunaah ke liye meri raahe umr bhar manzilo ko taras jaye....

Ho gar tere dil ka dard kam mujhe dard dekar bhi,
To chahunga har sans me dil pe zakhmo ke naye rang nazar aaye....

Ro de agar tu meri yaad karke galti se bhi kahin,
Duaa karunga ke in hotho pe kabhi khushiyo ka koi nishan nazar na aaye...

Magta hai ye bewafa ek duaa aapni bewafi ki kasam dekha khuda se,
Ho drd tere seene me jitna, sara mere dil me utar jaaye...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #159 on: January 04, 2009, 10:58:22 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Pank ji, apke jawab ne to pal bhar ke liye dard ko kuch sakoon sa diya... magar dard aor zakham itne gahre hai ki wo pal bhar ka sakoon bhi dard dene laga..... magar apke is tarah ke jawab.. wapis likhna bahoot mushkil kar dete hai... hamesha ki tarah.... bahoot he shaandaar likha hai apne....

nind kaha ab in ankhon, gum ke ansoo rahte hai
sun kar teri aise baatein, khoon ke ghoont pi kar rahte hai

Ruthe nahi hum kabhi tujhse, khud se ruth gaye
juda ho kar bhi, tu he to dil main rahta hai

dard tera ya ho mera, mere dil main zakham banata hai
tera mere dard per kahna, ek jhootha khwab sa lagta hai

na mang kuch bhi Rub se, tere diya na chahe ab Pooja
teri her dua ka asar bhi, mujhko zehar sa lagta hai
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #160 on: January 05, 2009, 03:33:28 PM »
Reply with quote
Pank ji and Pooja di dono bahut accha likhe hei Applause

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #161 on: January 05, 2009, 06:04:15 PM »
Reply with quote
Pank ji and Pooja di dono bahut accha likhe hei Applause


Shukriya Soniaji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #162 on: January 05, 2009, 06:14:58 PM »
Reply with quote
WAH POOJA AND PANK, bahut ki pyara likha hai aap dono ney
great work

Jasbir Singh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #163 on: January 05, 2009, 06:40:22 PM »
Reply with quote
Thanks Sonia and Jas ji!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #164 on: January 05, 2009, 08:48:21 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Pank ji, apke jawab ne to pal bhar ke liye dard ko kuch sakoon sa diya... magar dard aor zakham itne gahre hai ki wo pal bhar ka sakoon bhi dard dene laga..... magar apke is tarah ke jawab.. wapis likhna bahoot mushkil kar dete hai... hamesha ki tarah.... bahoot he shaandaar likha hai apne....

nind kaha ab in ankhon, gum ke ansoo rahte hai
sun kar teri aise baatein, khoon ke ghoont pi kar rahte hai

Ruthe nahi hum kabhi tujhse, khud se ruth gaye
juda ho kar bhi, tu he to dil main rahta hai

dard tera ya ho mera, mere dil main zakham banata hai
tera mere dard per kahna, ek jhootha khwab sa lagta hai

na mang kuch bhi Rub se, tere diya na chahe ab Pooja
teri her dua ka asar bhi, mujhko zehar sa lagta hai

Bahoot Khoob Poojaji

Bankar tere aankho ka sukun,
             Tere sapno ki nayi duniya sajata,
Hota gar tujhe yakeen mujhpar,
             Toh shayad aaj mai bewafa na kehlata...

~Pank~
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:42:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer