Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17240 times)
pankshivam
Guest
«Reply #210 on: February 04, 2009, 06:40:34 AM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji
Shukriya Rajeshji


Kehkar bewafa sau ilzam lagaye koi,
Kaisi kashmkash hogi jab hatho ki lakire khud hi mitaye koi...

Na ho dhadhkano ki aawaz na sanse bhi sunayi de,
Nafrato ka silsila kaisa hai, ke meri muhabbat bhi bhul jaye koi...

Badh gaye kadam khamoshi se maut ki manzilon ki oor,
Ab bs itni dua hai, pyar ka kadam na badhaye koi...

Rahenge sitare gardish me meri dastan sunane ko,
Chahat rahegi meri dastan sunkar muskuraye koi...

~Pank~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #211 on: February 06, 2009, 01:09:06 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai Pank ji.... bahoot khoob..... kamaal ka likha hai yah lines to behad pasand aii

Badh gaye kadam khamoshi se maut ki manzilon ki oor,
Ab bs itni dua hai, pyar ka kadam na badhaye koi...


Tujhe bewafa kahne mai bhi,
bewafa shabd se bewafai hui lagti hai

Tere samne her ek meri fariyaad
an-sunaai hui se lagti hai

nafrato ka silsila na jaane le jaaye kaha
khud se jaise khud ki ladai hui si lagti hai

Manjile kaha ab kaha koi muskurahat
Chaht ki chadar, surakho se sajaai hui se lagti hai
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #212 on: February 06, 2009, 05:23:36 AM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji
Shukriya Rajeshji


Kehkar bewafa sau ilzam lagaye koi,
Kaisi kashmkash hogi jab hatho ki lakire khud hi mitaye koi...

Na ho dhadhkano ki aawaz na sanse bhi sunayi de,
Nafrato ka silsila kaisa hai, ke meri muhabbat bhi bhul jaye koi...

Badh gaye kadam khamoshi se maut ki manzilon ki oor,
Ab bs itni dua hai, pyar ka kadam na badhaye koi...

Rahenge sitare gardish me meri dastan sunane ko,
Chahat rahegi meri dastan sunkar muskuraye koi...

~Pank~

wah bahut khoob Pank

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #213 on: February 06, 2009, 05:26:03 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai Pank ji.... bahoot khoob..... kamaal ka likha hai yah lines to behad pasand aii

Badh gaye kadam khamoshi se maut ki manzilon ki oor,
Ab bs itni dua hai, pyar ka kadam na badhaye koi...


Tujhe bewafa kahne mai bhi,
bewafa shabd se bewafai hui lagti hai

Tere samne her ek meri fariyaad
an-sunaai hui se lagti hai

nafrato ka silsila na jaane le jaaye kaha
khud se jaise khud ki ladai hui si lagti hai

Manjile kaha ab kaha koi muskurahat
Chaht ki chadar, surakho se sajaai hui se lagti hai


wah very nice JI

Jasbir Singh
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #214 on: February 06, 2009, 09:03:36 AM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji
Bahoot Khoob Likha  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya Fir se Likhne ke Liye
Shukriya Jasbir Bhai

Kal meri bewafayi ke ye mausam na honge,
Yaad toh karoge shayad, jab ham na honge...

Ruthkar baithe ho dur mere sahilo ki pukar se,
Jab ehsas hooga tumhe, shayad ye julm-o-sitam na honge...

Aahat meri sunkar aaj chahe koi baat na karo,
Bhul jana jakhm mere, jab unki khatir koi marham na honge...

Teri panah me jeene ki aadat si ho gayi thi,
Sochkar aaj dard hota hai, ki zindagi ke liye ab koi vaham na honge...

Na soch ki koi tut raha tere bagair kahi dur tujhse,
Bs itna hai ki shayad un yaado ke saye kabhi kam na honge...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #215 on: February 06, 2009, 04:43:00 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai, Last ki char lines to bahoot kamaal ki likhi hai...


Na ho ab koi mousam, dil yahi chahta hai
patjhar ho ya ho bansat, yah dil khamosh rah jaata jaata hai

na sahil, na kinara, na doobta khud ko dekh chain atta hai
Zindagi chal rahi hai na jaane kyun, yahi samjh nahi atta hai

Ahsaas mar chuke, Zajbaat hue dafan na jaane kaha jakar
Kisi bhi zakham ka khud ko koi marhum najar nahi atta hai

Meri panah ki baat to ab rahne de, na kuch kah lubo se
bepanah tere zakhmo ka, zikar chala atta hai

Kis soch main socha, sochugi teri socho ko
her soch main, sirf ansoo ban, ankhon main utar atta hai

Na kar yaad mujhe ab, na yaad anne ka sabab ban
jaha tha kabhi pyar ka sailab, ajj wahin ek daldal ka ahsaas hua jaata hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #216 on: February 06, 2009, 05:01:22 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai Pank ji.... bahoot khoob..... kamaal ka likha hai yah lines to behad pasand aii

Badh gaye kadam khamoshi se maut ki manzilon ki oor,
Ab bs itni dua hai, pyar ka kadam na badhaye koi...


Tujhe bewafa kahne mai bhi,
bewafa shabd se bewafai hui lagti hai

Tere samne her ek meri fariyaad
an-sunaai hui se lagti hai

nafrato ka silsila na jaane le jaaye kaha
khud se jaise khud ki ladai hui si lagti hai

Manjile kaha ab kaha koi muskurahat
Chaht ki chadar, surakho se sajaai hui se lagti hai


Wah didi...

Na ho ab koi mousam, dil yahi chahta hai
patjhar ho ya ho bansat, yah dil khamosh rah jaata hai

Bahut khoob dear.

Logged
Pooja
Guest
«Reply #217 on: February 06, 2009, 05:05:11 PM »
Reply with quote
Thanks Roja!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #218 on: February 06, 2009, 05:27:29 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai, Last ki char lines to bahoot kamaal ki likhi hai...


Na ho ab koi mousam, dil yahi chahta hai
patjhar ho ya ho bansat, yah dil khamosh rah jaata hai

na sahil, na kinara, na doobta khud ko dekh chain atta hai
Zindagi chal rahi hai na jaane kyun, yahi samjh nahi atta hai

Ahsaas mar chuke, Zajbaat hue dafan na jaane kaha jakar
Kisi bhi zakham ka khud ko koi marhum najar nahi atta hai

Meri panah ki baat to ab rahne de, na kuch kah lubo se
bepanah tere zakhmo ka, zikar chala atta hai

Kis soch main socha, sochugi teri socho ko
her soch main, sirf ansoo ban, ankhon main utar atta hai

Na kar yaad mujhe ab, na yaad anne ka sabab ban
jaha tha kabhi pyar ka sailab, ajj wahin ek daldal ka ahsaas hua jaata hai

Bahoot Khoob Poojaji Applause Applause Applause

Har dard tera dil ki gehrayi tak dard jagata hai,
Jane kyun bar bar har manzar kuch bate yaad dilata hai...

Rah gayi hai aaj apni jo adhuri kahani,
Uski aahat pe dil kyu ashk bahata hai...

Dil tadapakar har pal tujhe yad karta hai,
Sanso ka rishta tut jaye,toh dil bechain nazar aata hai..

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #219 on: February 06, 2009, 05:41:23 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pank ji... bahoot dil se likhi hai apne apni lines... maafi chahti hu ki mere shabd kai baar bahoot rude ho jaate hai... is baar kuch alag likhne ki koshish ki hai

Be-intihaan dard ka sagar lagrata hai
na chahte hue bhi lahro se bhigota chala jaata hai

Na dekh dard mere, apni raah ko bas chala ja
Mera dard to mujhse, bas dardili baat bulwata hai

hai kabhi nafart, to kabhi gusaa khud se
Mera he khud ka MOH, mujhe klhoon ke ansoo rulata hai

shaitan hai wo, jise apne khoon ki bhi na hui parwaah
aor ek yah dard hai, jo kabhi khatam hone ko nahi atta hai!!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #220 on: February 06, 2009, 06:50:39 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pank ji... bahoot dil se likhi hai apne apni lines... maafi chahti hu ki mere shabd kai baar bahoot rude ho jaate hai... is baar kuch alag likhne ki koshish ki hai



Be-intihaan dard ka sagar lahrata hai
na chahte hue bhi lahro se bhigota chala jaata hai

Na dekh dard mere, apni raah ko bas chala ja
Mera dard to mujhse, bas dardili baat bulwata hai

hai kabhi nafart, to kabhi gusaa khud se
Mera he khud ka MOH, mujhe khoon ke ansoo rulata hai

shaitan hai wo, jise apne khoon ki bhi na hui parwaah
aor ek yah dard hai, jo kabhi khatam hone ko nahi atta hai!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dard ka samandar toh har lamhe me lahrata hai,
Dil me ho koi baat, toh aankho se nazar aata hai...

Ho jaye kam mera bhi dard bewafayi ke iljam se,
Thamta hun us aawaz ko dil me kuch pal, vo lamha bhi guzar jata hai...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #221 on: February 06, 2009, 06:53:00 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya jawab likha hai Pank ji... bahoot khoob!!!

Lamho-lamho main beeti zindagi
bas ek wo lamha na beet saka

thum se gai jis main zindagi
magar zindagi ko wahin na Rok saka
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #222 on: February 06, 2009, 07:15:35 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya jawab likha hai Pank ji... bahoot khoob!!!

Lamho-lamho main beeti zindagi
bas ek wo lamha na beet saka

thum se gai jis main zindagi
magar zindagi ko wahin na Rok saka

Shukriya
Aapne khoob likha Applause Applause Applause

Rokne se ruk jaye waqt,toh koi lamha dard na deta...
Har pal khushi milti mangne wale ko, har mod pe zindagi bant leta...

Na hote sune raaste mazilon ki tamnna me,
Intezar jab sadiyo ka pal bhar me kaat leta...
~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #223 on: February 06, 2009, 07:31:52 PM »
Reply with quote
Ruka waqat bhi dard deta hai,
her lamha dard se bhar deta hai

baharo se bhara hua rasta bhi na jaane kyun
Haseen manjilo ko thukra deta hai
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #224 on: February 06, 2009, 08:09:56 PM »
Reply with quote
Ruka waqat bhi dard deta hai,
her lamha dard se bhar deta hai

baharo se bhara hua rasta bhi na jaane kyun
Haseen manjilo ko thukra deta hai

Bahoot Khoob Poojaji
Bahoot Khoob  Applause Applause Applause

Rukte nahi kuch lamhe rok pane se,
Khushi milti hai chand palon ko yad karke, gam hota hai kuch lamhe yaad aane se...

Baharo ke mausam manzilon se lakh khubsurat hon,
Dard hota hai baharo ke chhutne ka, sukun bhi milta hai manzilo ko pane se...

~Pank~
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:22:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer