Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17227 times)
dead heart
Guest
«Reply #60 on: December 24, 2008, 10:12:35 PM »
Reply with quote
shukriya..

Pooja jee ne jo likha tha bas uska jawab dene ki koshish ki hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #61 on: December 25, 2008, 03:22:57 AM »
Reply with quote
tum bewaffa ho par tumhe rote hue main dekh nahin sakta,
mana ke woh yaadein hai magar apne woh pal main asani se dafnate hue dekh nahin sakta...

itne zakhm khaye hai maine ke unka hisaab main rakh nahin sakta,
tere se pyar karke hi maine gunaah kardia ab toh yeh haal ke uski maafi bhi main mang nahin sakta...

bewaffa nikli tu isiliye khuda se tere ache kaamon ka badla mang nahin sakta,
dafan hogaya dil mera teri bewaffai se ab teri kadvi baatein main sun nahin sakta...

tujhe mere sawal karne ka haq main tujhe de nahin sakta,
afsos toh iss baat ka hai ke khuda ke kehne pe bhi bewaffai karne ki saza main tujhe de nahin sakta...


 Applause Applause Applause Applause

Bahoot khoob DH JI, Bahoot acha jawab likha hai apnbe..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #62 on: December 25, 2008, 03:56:12 AM »
Reply with quote
shukriya...khushi hui yeh jan kar ke humara jawab apko acha laga...
Logged
smardia
Guest
«Reply #63 on: December 25, 2008, 07:41:45 AM »
Reply with quote
Dead Heartji.....
lagta hai abhi bhi dead-heart me bahut jaan baki hai
koi bhi shayer aapko dead-certificate de nahi sakta



tum bewaffa ho par tumhe rote hue main dekh nahin sakta,
mana ke woh yaadein hai magar apne woh pal main asani se dafnate hue dekh nahin sakta...

itne zakhm khaye hai maine ke unka hisaab main rakh nahin sakta,
tere se pyar karke hi maine gunaah kardia ab toh yeh haal ke uski maafi bhi main mang nahin sakta...

bewaffa nikli tu isiliye khuda se tere ache kaamon ka badla mang nahin sakta,
dafan hogaya dil mera teri bewaffai se ab teri kadvi baatein main sun nahin sakta...

tujhe mere sawal karne ka haq main tujhe de nahin sakta,
afsos toh iss baat ka hai ke khuda ke kehne pe bhi bewaffai karne ki saza main tujhe de nahin sakta...



Logged
dead heart
Guest
«Reply #64 on: December 25, 2008, 05:50:02 PM »
Reply with quote
Dead Heartji.....
lagta hai abhi bhi dead-heart me bahut jaan baki hai
koi bhi shayer aapko dead-certificate de nahi sakta

ohh bahaut bahaut shukriya...hum toh bas likhne ki koshish karte hai...dafan dil ka dard kagaz pe uttarne ki koshish karte hai aur jab log tarif karte hai toh dil ko jo sukun milta hai usse lavzon main shayad nahin uttar sakte hai...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #65 on: December 25, 2008, 06:01:55 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai Pank ji, jitne dil se main is thread main likh rahi hu, usi dil se shayad app jawab de rahe hai.. her ek jawab apka, ek skoon de jaata hai.. tahe dil se shukaria is thread mai sath dene ke liye!!
ek ek line zindagi ki haqiqat bayan karti hui... aor last line main Ilzaam laker bhi khud ko begunah kar gaye app.. bahoot khoob!!!


dil mera roya itna salo saal,
kuch to ansoo tum bhi ab bahne do...
khushio ke wo pal ban gaye yaadein
inhein bhi ab kahin daffan hone do...
Zakhamo tere ka, nahi koi hisaab
ho sake to, yah silsilla ab band hone do...
tadpayegi meri yaadein til til tujhko
apne gunaah kuch issi tarah kam hone do..
her khushi di maine aor badle main gum aor jillat payi hai
ajj kahti hu jo itna kadva, na kahna kuch, mujhe kahne do..
na he tujhse hai koi sawal, na de sakega tu koi bhi jawab
Dukhon apne main, ajj jo behakati hai Pooja
bna roke use koi, use khud he khud main behkane do..
 

Shukriya Pooja ji
MR. DH Nice Reply Thanx
Shukriya Soniya ji
Shukriya Smardiya Ji
Poojaji sorry ham kal nahi the yahan pe kuch prob. thi
Aapke liye reply bhi soch liya hai ,
Shayad dil se hi likha hai tongue3
I hope Pasanad aayega, Afterall Bewaafayi ka iljam jo dhona hai nachiz ko tongue3


Aap kya jano bewafi ka ilzaam kya hota hai,
Dekar ilzamo ka gunah mujhko aapka dil kitne sukun se sota hai...

Har lamhe me mera dil tadapta hai,
Har sans me dil rota hai...

Khwaboo ko aapke todne ke liye kab talak mere khwab mujhe saza denge,
Dekhte hai kab tak aapki rusvayi ka gam meri aankho ko bhigota hai...

Har dhadkan ke aakhir me maut dekhi maine,
Har raste me aapkii ummid me chlata hun thaharta hun...

Rukna nahi tha naam jis rishte ka,
Aaj usi rishte ki buniyad ke liye gam ki galiyo se gujarta hun...

~Pank~

In labzo ko likhte huye mujhe kaisa laga ye batana mushkil hai


Logged
dead heart
Guest
«Reply #66 on: December 25, 2008, 06:05:34 PM »
Reply with quote
shukriya Pank jee aur apne acha jawab likha hai...pehle ki do lines ne hi hume luth lia...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #67 on: December 25, 2008, 06:15:42 PM »
Reply with quote
bewaffai ka ilzam humse behtar kaun jan sakta hai,
dokha dia unhone aur duniya ne hume hi gunehgaar tehra dia hai...

bikhar gaye hai tudkon main aur unko lagta hai hum sukun se so rahe hai,
batadun unko ke mere ansu dikte nahin kyun ki ansuon ko mera dafan dil pee raha hai...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #68 on: December 25, 2008, 06:17:53 PM »
Reply with quote
shukriya Pank jee aur apne acha jawab likha hai...pehle ki do lines ne hi hume luth lia...

Shukriya DH ji
This one for u

Lutna kisi ko hamari fitrat nahi hai,
Aap lut gaye khud hi par ye hamari hasrat nahi hai... tongue3

Aap to bs apna ek khhubsurat naam rakh lijiye Dead Heart se badal kar,
Hame to aur kisi chiz ki koi jarurat nahi hai... tongue3

~Pank~

Logged
dead heart
Guest
«Reply #69 on: December 25, 2008, 06:22:55 PM »
Reply with quote
jo hoon usse main chupa nahin sakta,
chah ke bhi jhoot main bol nahin sakta,
naam badal ke bhi kya faeda,
khud ki parchai ki sachai se main bhag nahin sakta...

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #70 on: December 25, 2008, 06:34:44 PM »
Reply with quote
jo hoon usse main chupa nahin sakta,
chah ke bhi jhoot main bol nahin sakta,
naam badal ke bhi kya faeda,
khud ki parchai ki sachai se main bhag nahin sakta...


Nice Dh jee

Kisne kaha hai dard ko chipane ke liye,
Dard hote hai dard ko bhulane ke liye...

Naam badal kar koi jhuth na kahna mere dost,
Par har insan ka naam hota hai dosto ke dil me yaad banane ke liye...

Hai ehsas mujhe,gam tumahare bhi hai dil ko dukhane wale
Par gam bhi hamesha nahi hote dil ko dukhane ke liye...

Gamo me bhi ek sukun hota hai,aap bhi iska ehsas karo,
Dur na bhago kisi se,taiyar raho gamo ka sath nibhane ke liye...


oki DH Jee
Ham force nahi kar rahe sirf dost samjhkar gujarish kar rahe hain Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #71 on: December 25, 2008, 06:41:49 PM »
Reply with quote
dost apne kuch galat nahin kaha...bahaut logon ne naam badal ne guzarish ki hai...waise mera naam Rahim hai...ap Rahim bula sakte hai ager dead heart nahin pasand...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #72 on: December 25, 2008, 06:53:08 PM »
Reply with quote
dost apne kuch galat nahin kaha...bahaut logon ne naam badal ne guzarish ki hai...waise mera naam Rahim hai...ap Rahim bula sakte hai ager dead heart nahin pasand...
Rahim Sahab

Naam to ham bhi rakh lete koi gamo me duba huaa,
Par kya dard na hoga hame, agar hamne us dard ko chhua...

Lakho gam hai duniya me, jahar bhari zindagi jine ke liye,
Par ek muskan kafi hai usi gam ko pine ke liye...

Yahan har aankh me kisi na kisi baat ka gam hai,
Mere dost gaur se dekho har muskurate chehare ki aankhe kahi nam hai...

Nahi hai koi aaisa jo kisi baat se kafa nahi is duniya me,
Har mushkil me jo muskuraye aaise log kam hai...

Aap ne naam rakha hai apna, kisi gam ko har lamhe me jine ke liye,
Par dard hote nahi har ghut me pine keliye...

Ho sake to duniya ko dekhne ka apna nazariya thoda badaliye,
Har sans me zindagi ko dekhiye, Gamo ki barish me muskurate huye chaliye...

~Pank~


Shukriya Rahim Sahab Ye Shayari likhvane ke liye
Aur Maine Jo bate kahi uspe jara gaur dijiyega, Ham chote mote shayar hi sahi but sensitive bahoot hai...isliye liye ye labz aapko apna dost samjh ke kahe hain, kisi baat pe bura lage to maf kijiyega....
Thanx
Logged
dead heart
Guest
«Reply #73 on: December 25, 2008, 06:59:05 PM »
Reply with quote
dost....dosti main bura nahin lagaya jata...apne khoob likha hai...aur aap jis khoobsoorati se likte ho usse ap chote mote shaer bilkul nazar nahin ate hoo...aap ki baaton main gherai hai...uttar ne ki koshish kar raha hoon...gaur zarur farmaenge...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #74 on: December 25, 2008, 07:00:27 PM »
Reply with quote
Oki Rahim Sahab Shukriya Again
Meri baton ko Manne ke liye

Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:29:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer